Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    dayaar-e-dil ki raat mein chiraaG saa jalaa gayaa
    milaa nahiin to kyaa huaa vo shaql to dikhaa gayaa

    judaaion ke zaKhm dard-e-zindagi ne bhar diye
    tujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gayaa

    ye subah ki safediyaaN ye dopahar ki zardiyaaN
    ab aaiine men deKhataa huuN main kahaaN chalaa gayaa

    pukaratii hain fursatein kahaaN gaii vo sohabatein
    zamiin nigal gai unhein yaa aasmaan khaa gayaa

    vo dosti to Khair ab nasiib-e-dushmanaaN hui
    vo choTi choTi ranjishon kaa lutf bhi chalaa gayaa

    ye kis Khushi kii ret par Gamon ko nind aa gai
    vo lahar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gayaa

    gaye dinoon ki laash par pare rahoge kab talak
    uTho amal kashooon uTho ki aafataab sar pe aa gayaa
    Last edited by musaddaq; 7 May 2007, 11:49.

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by musaddaq View Post
      dayaar-e-dil ki raat mein chiraaG saa jalaa gayaa



      milaa nahiin to kyaa huaa vo shaql to dikhaa gayaa
      Haa kabhi kabhi ek zara sa deedar bhi machaltey howey jazboo ko thanda kr diya krta haii or kuch waqt k liyaa asra bhi dey deta hai.


      judaaion ke zaKhm dard-e-zindagi ne bhar diye
      tujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gayaa
      Aisa hi hota haii zindagi guzar hi jati hai or sabr bhi aa hi jata haii


      ye subah ki safediyaaN ye dopahar ki zardiyaaN
      ab aaiine men deKhataa huuN main kahaaN chalaa gayaa

      Kabhi kabhi hum kisi aisi raah pr bhi chal partey hain jis pr humain khud nahii maloom hota k yeh hmari manzil ko jati bhi hai k nahi

      pukaratii hain fursatein kahaaN gaii vo sohabatein
      zamiin nigal gai unhein yaa aasmaan khaa gayaa
      Waqt bauht si cheezaina oney under zum kr leta hai k phr jin ko dhoondtey bhi hain pr woh nahi miltii
      vo dosti to Khair ab nasiib-e-dushmanaaN hui
      vo choTi choTi ranjishon kaa lutf bhi chalaa gayaa
      kuch loogo sey ranjishain bhi achi lagti hain kunk hum kisi na kisi taulq sey un sey jodey rehna chahtey hian


      gaye dinoon ki laash par pare rahoge kab talak
      uTho amal kashooon uTho ki aafataab sar pe aa gayaa
      is sey pehley k waqt humain guzar dey aql mandi yehi haii k hum apnmey waqt ko apni mansha sey na sahii pr apn dastaras sey guzarain

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by musaddaq View Post
        dayaar-e-dil ki raat mein chiraaG saa jalaa gayaa

        milaa nahiin to kyaa huaa vo shaql to dikhaa gayaa

        judaaion ke zaKhm dard-e-zindagi ne bhar diye
        tujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gayaa

        ye subah ki safediyaaN ye dopahar ki zardiyaaN
        ab aaiine men deKhataa huuN main kahaaN chalaa gayaa

        pukaratii hain fursatein kahaaN gaii vo sohabatein
        zamiin nigal gai unhein yaa aasmaan khaa gayaa

        vo dosti to Khair ab nasiib-e-dushmanaaN hui
        vo choTi choTi ranjishon kaa lutf bhi chalaa gayaa

        ye kis Khushi kii ret par Gamon ko nind aa gai
        vo lahar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gayaa

        gaye dinoon ki laash par pare rahoge kab talak
        uTho amal kashooon uTho ki aafataab sar pe aa gayaa


        bohat khoabsurat janab
        :thmbup: :rose

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          :)

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye,
            Bikhar gaye hain Tera Intizaar karte hoye

            To Mai b Khush hoon koi us se ja k keh de,
            Agar wo Khush hai Mujhe Be-Qarar karte hoye

            Mai Muskurata hua Aaine mai ubhrunga,
            Wo Ro parega Achanak Singhaar karte hoye

            Tujhe Khabar hi nahi Toot gaya hai koi,
            Mohabbat ko boht Paaidar karte hoye

            Wo Keh rahi thi Samandar nahin hai Aankhon mai,
            Mai un mai Doob gaya Aitbaar karte hoye

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              nice 1 keep sharing bro's and sis's
              :welcome: :welcome: www.jandanwala.com:welcome::welcome:

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                nice poetry...:x :x

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Ab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Humne
                  Us Ki Her Baat Bhula Di Humne

                  Ek , Ek Phool Bohat Yaad Aaya
                  Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Humne

                  Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
                  Baat Woh Kab Ki Bhula Di Humne

                  Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
                  Aag Jab Dil Ki Bujha Di Humne

                  Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
                  Aaj Phir Us Ko Dua Di Humne

                  Koi To Baat Hai Us Main
                  Her Khushi Jis Pay Luta Di Humne

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    nice poetry mussaduq
                    keep it up
                    ~~~duaoon main dua yeah hay k bus mil jaein tujh ko he~~~~
                    ~~~merey naseeb main likhi Khuda ney jo bhi khushiyan hon~~~

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Dard apanaataa hai paraa_e kaun
                      kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun
                      kaun doharaa_e vo puraanii baat
                      Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun
                      vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
                      kaun dukh jhele aazamaa_e kaun
                      ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
                      lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun
                      aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
                      dekhiye aaj yaad aa_e kaun
                      Last edited by musaddaq; 13 May 2007, 17:21.

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Haal uskaa tere chehre pe likhaa lagtaa hai
                        vo chup chaap khadaa hai teraa kyaa lagtaa hai
                        yuun to har chiiz salaamat hai merii duniyaa mein
                        ek ta'alluq hai jo tuutaa huaa lagtaa hai
                        main ne sochaa thaa ke aabaad huun ek shahar mein main
                        yaan to har shakhs kaa andaaz judaa lagtaa hai
                        muddatein biit gaiin tay na huii manzil-e-shauq
                        ek aalaam mere raste mein padaa lagtaa hai
                        ai mere jazbaa-e-dauron mujh mein kashish ha itnii
                        jo khaataa hotaa hai vo tiir bhii aa lagtaa hai
                        jaane kaun sii pastii mein giraa huun
                        suuraj bhii is qadar duur hai ke diyaa lagtaa hai

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          yuun to har chiiz salaamat hai merii duniyaa mein
                          ek ta'alluq hai jo tuutaa huaa lagtaa hai
                          ..zaberdast

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Abhi woh dard baaki hai
                            Agarche waqt marham hai
                            Magar kuch waqt lagta hai
                            Kisi ko bhool jaane main
                            Doobara Dil basane main
                            Abhi kuch waqt lagna hai
                            Abhi woh waqt baaki hai
                            Main kaise nayi Ulfat main
                            Apni zaat ko gum kardoon
                            Ke mere jism o wajda main
                            Abhi woh fard baaki hai
                            Abhi us shaks ki mujh per
                            Nigaah -e- sard baaki hai
                            Abhi to Ishq ke raaston ki
                            Mujh per gard baaki hai
                            Abhi woh dard baaki hai
                            Last edited by musaddaq; 17 May 2007, 13:31.

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              yeh barish khoobsoorat hai
                              ik arse baad
                              meri rooh mian
                              sairaab hone ki tamana jaag uthi hia
                              magar badal keh raste mian
                              bohat se pairrr aate hain
                              main pal bhar keh liya shaadab hoon
                              or apni baqi umer
                              sehra mian qatoon?????

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Originally posted by musaddaq View Post
                                Abhi woh dard baaki hai

                                Agarche waqt marham hai
                                Magar kuch waqt lagta hai
                                Kisi ko bhool jaane main
                                Doobara Dil basane main
                                Abhi kuch waqt lagna hai
                                Abhi woh waqt baaki hai
                                Main kaise nayi Ulfat main
                                Apni zaat ko gum kardoon
                                Ke mere jism o wajda main
                                Abhi woh fard baaki hai
                                Abhi us shaks ki mujh per
                                Nigaah -e- sard baaki hai
                                Abhi to Ishq ke raaston ki
                                Mujh per gard baaki hai
                                Abhi woh dard baaki hai
                                BAUHT khoobsoorat:clap:
                                Pr dard hamesha baqi hi reh jata haii

                                Comment

                                Working...
                                X