Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Musaddaq Ki Choice

    Hum keh thehre ajnabi kitni madaratoon keh baad,
    Phir banain ge aashna, kitni mulakatoon keh baad,

    Kab nazar main aaye gi bedagh sabzai ki bahar,
    Khoon keh dhabe dhulain ge kitni barsatoon keh baad,

    Dil to chaha per shikast-e-dil ne mohlat hi na di,
    Kuch gila shikwa bhi ker leta manajatoon keh baad

    Phir bohat bederd lamhe khatam-e-dard ishaq keh,
    Thin bohat be mehar subhain meherbaan ratoon keh baad,

    Un se jo kehna gaya tha faiz jaan sadqa kiya
    Unkahi hi keh gayin who baat sab bataon keh baad.

    Hum keh thehre ajnabi kitni madaratoon keh baad,
    Phir banain ge aashna, kitni mulakatoon keh baad,

  • #2
    Hum keh thehre ajnabi

    Hum keh thehre ajnabi kitni madaratoon keh baad,
    Phir banain ge aashna, kitni mulakatoon keh baad,

    Kab nazar main aaye gi bedagh sabzai ki bahar,
    Khoon keh dhabe dhulain ge kitni barsatoon keh baad,

    Dil to chaha per shikast-e-dil ne mohlat hi na di,
    Kuch gila shikwa bhi ker leta manajatoon keh baad

    Phir bohat bederd lamhe khatam-e-dard ishaq keh,
    Thin bohat be mehar subhain meherbaan ratoon keh baad,

    Un se jo kehna gaya tha faiz jaan sadqa kiya
    Unkahi hi keh gayin who baat sab bataon keh baad.

    Hum keh thehre ajnabi kitni madaratoon keh baad,
    Phir banain ge aashna, kitni mulakatoon keh baad,

    Comment


    • #3
      Safar Tanha nahi kertay

      Safar Tanha nahi kertay
      Suno Aisa nahi kertay
      Chalo tum raz ho apna
      Tum ko afsha nahi kertay
      Suno jis ka muqaddar ho
      Osay chora nahi kertay
      Jisay rekhna ho shafaf
      Osay maila nahi kertay
      Jo bus jata hay dharkan main
      Osay bhoola nahi kertay
      Kasi ko dil detay waqat
      Bohat soocha nahi kertay
      Jo pehlay say he tanha ho
      Usay tanha nahi kertay
      Suno yadain stain ge
      Magar roia nahi kertay
      Sono tum bohat yad aatay ho
      Aur hum soya nahi kertay
      Safar tanha nahi kertay
      Sono aisa nahi kertay

      Comment


      • #4
        Re: Safar Tanha nahi kertay

        Assalam-0-Alaikom:rose
        :welcome: on board
        designed section mein woh kalaam share kia ja ta hai jo aap khud design kartay hain.....
        poetry share karnay kay liye :bazm-e-Shairi" ka section maojod hai .....:)
        wahan aap poetry share kar saktay hain .........
        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • #5
          Re: Hum keh thehre ajnabi

          Assalaam-0-Alaikom:rose

          kalaam bay shak buht zabardast hai .....lakin Bazme-shairi main share kijiye ...:rose
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #6
            Re: Safar Tanha nahi kertay

            sorry i was unaware. next time i will be careful

            Comment


            • #7
              Re: Hum keh thehre ajnabi

              ok i was finding but couldnot find so next time i will send it here, thanx for guidance

              Comment


              • #8
                Aik Lakeer Terey Naam Ki

                Aik Lakeer Terey Naam Ki




                kuch udaas kuch khamosh
                kuch bebas see lakeerien merey

                haath ki?
                Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main
                Aik lakeer tere naam ki
                Kuch maloom bhi hey
                Kuch dil bhi janta hey
                Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
                Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
                Aksar ek lakeer tere naam ki
                Aik lakeer

                terey naam ki....

                Comment


                • #9
                  Re: Safar Tanha nahi kertay

                  khush amdeed musaddaq ji ... :welcome:

                  kia khoob sharing hai app ki ..shukariaa .. khush rahi :rose
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Safar Tanha nahi kertay

                    Thanx, and this community is very nice, i m checking the sharing from different users.That's wonderfull too

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aik Lakeer Terey Naam Ki

                      hmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm good shearing

                      Comment


                      • #12
                        Chamakte Chaand Ko Toota Hua Taara Bana Daala

                        CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
                        MERI AAWARGI NE MUJHKO AAWAARA BANA DAALA
                        BARA DILKASH BARA RANGEEN HAI YEH SHAHER KAHETE HAIN
                        YAHAN PAR HAIN HAZAARON GHAR GHARON MAIN LAUG RAHETE HAIN
                        MUJHE IS SHAHER NE GALION KA BANJAARA BANA DAALA
                        CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
                        MAIN IS DUNIYA KO AKSAR DEKH KAR HERAAN HOTA HOON
                        NA MUJHSE BAN SAKA JHONKA SA HAR DIN RAAT ROTA HOON
                        KHUDAYEA TUNE KAISE YEH JAHAN SAARA BANA DAALA
                        CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
                        MERE MAALIK MERA DIL KION TARAPTA HAI SULAGTA HAI
                        TERI MARZI TERI MARZI PE KIS KA ZOR CHALTA HAI
                        KISI KO GUL KISI KO TUNE ANGAARA BANA DAALA
                        CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
                        YEH HI AAGHAAZ THA MERA YEH HI ANJAAM HONA THA
                        MUJHE BARBAAD HONA THA MUJHE NAKAAM HONA THA
                        MUJHE TAQDEER NE TAQDEER KA MAARA BANA DAALA
                        CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
                        MERI AAWARGI NE MUJHKO AWARA BANA DAALA
                        CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA

                        Comment


                        • #13
                          Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

                          Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
                          woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
                          kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
                          phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya
                          jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
                          to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya
                          kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
                          us nay churaaya haath to sehra badal gaya
                          koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
                          jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya
                          ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal
                          wo be niaaz saara ka saara badal gaya
                          uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
                          parda utha to saara tamaasha badal gaya
                          hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
                          baaton main apni baat ko kaisay badal gaya
                          kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
                          ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya
                          shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
                          manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya
                          qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
                          tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya
                          manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
                          jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya
                          andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
                          us no bahaar naaz ka chehra badal gaya
                          aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
                          woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee
                          apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
                          amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aik Lakeer Terey Naam Ki

                            Thanx

                            Comment


                            • #15
                              Re: Aik Lakeer Terey Naam Ki

                              good shearing!

                              Comment

                              Working...
                              X