Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Hum Safar Mila Hota

    Saath chalne main jo maza hota
    Woh humain bhi kabhi mila hota

    Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
    Saath apne koi chala hota

    Hum bhatakte rahe the raahon mein
    koi rasta pata chala hota

    Thaam leta humain bhi barh ke koi
    Haath hum ko koi mila hota

    Hum ulajhte nahi zamane se
    Ek jo Humsafar mera hota

    Hum na thakte safar mein gar
    Saath apne koi chala hota

    Comment


    • #62
      Mere chara-gar

      Mehak uthi hay aey charah-gar
      Meray dard ki tujhay kya khabar.

      Tu mere safar ka shareek hay?
      Nahi humsafar. . .

      Mere chara-gar, mere chara-gar

      Tere haath say mere haath tak. . .
      Who jo haath bhar ka tha faasla,
      Kayi mosamon main badal gaya
      Usay naaptay, usey kat'tay,
      Mera sara waqt nikal gaya !

      Nahi jis pay koi nishan-e-paa
      Mere saamnay hay who raah guzar
      Mere chara-gar...
      Mere dard ki tujhay kya khabar !


      Yeh jo rag-e-dasht- e-firaq hay
      Mere raaston main bichhi huyi,
      Kisi morr par rukay kahi,
      Yeh jo raat hay mere chaar so
      Magar is ki koi sehar nahi.

      Na hi chhaaon hay, na samar koi !
      Main nay chhaan dekha shajar shajar,
      Mere chara-gar
      Mere dard ki tujhay kya khabar !!!

      Comment


      • #63
        Kahan Dil Choor Aye Hoo ?????

        Comment


        • #64
          Re: Kahan Dil Choor Aye Hoo ?????

          okay... so these are the symptoms lol

          nice sharing (Y)
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #65
            Re: Kahan Dil Choor Aye Hoo ?????

            buhat khoobsorat nazam /rose
            Udasi Rooh kay ander kahi per
            Tumhara naam lhik ker rhak gai hai ....!!!!

            Comment


            • #66
              Re: Kahan Dil Choor Aye Hoo ?????

              Nice poetry

              Comment


              • #67
                Re: Kahan Dil Choor Aye Hoo ?????

                Thanx Dear:)

                Comment


                • #68
                  kahan aa kar rukay thay rastay

                  kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
                  woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja
                  woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
                  dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja
                  main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
                  saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..
                  kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
                  tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja.....
                  na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
                  dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
                  yeh jo din raat ka hai khial sa,ussay daikh ,us pay yakeen na kar
                  nahin aks koi bhee mustakil,sar- e-ainaussay bhool ja...
                  jo bisat-e-jaan he ulat gaya,woh jo rastay say he palat gaya
                  ussay roknay say hasool kiya,usay mat nila, ussay bhool ja ussay bhool ja

                  Comment


                  • #69
                    Re: kahan aa kar rukay thay rastay

                    Nice Thanks For Shairing......
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • #70
                      Humsafar mera hota

                      Saath chalne main jo maza hota
                      Woh humain bhi kabhi mila hota
                      Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
                      Saath apne koi chala hota
                      Hum bhatakte rahe the raahon mein
                      koi rasta pata chala hota
                      Thaam leta humain bhi barh ke koi
                      Haath hum ko koi mila hota
                      Hum ulajhte nahi zamane se
                      Ek jo Humsafar mera hota
                      Hum na thakte safar mein gar
                      Saath apne koi chala hota

                      Comment


                      • #71
                        Jo tu naheen hai to phir tera intezaar kyun

                        Bila-jawaz rakhein khud ko beqarrar kyun
                        Jo tu naheen hai to phir tera intezaar kyun

                        Akaile pan ka safar jab mera muqadar hai
                        To phir Aye wada shikan teri rahguzaar kyun

                        Usse ganwa'n ke raho ab khizaaon ki dhoop mein
                        Jo woh naheen hai to phir mosam-e-bahar kyun

                        Ager bhulaye hue uss ko ek umar ho gayi
                        To phir aaj tabiyet hai soogowar kyun

                        Woh jin ke labon pe yaqeen-e-wafa mehek na sake
                        Phir un ke lams ki khowahish aik baar kyun

                        Jab uss ko shooq tha raston ki dhool hone ka
                        Palat ke dekhta jaata tha bar bar kyun

                        Comment


                        • #72
                          Re: Jo tu naheen hai to phir tera intezaar kyun

                          Wah Wah Nice

                          Comment


                          • #73
                            Wafa ruswa nahi karna

                            Suno aisa nahi karna

                            Mai pehle hi akela hu


                            Muje tanha nhi karna,

                            Judai aa b jaye to


                            Ye dil chota nhi karna

                            Bohat musroof ho jana


                            Muje socha nhi karna,

                            Barosa b zarori hai


                            Magar sub ka nhi karna

                            Muqadar to muqadar hai


                            kabi shikwa nahi karna

                            Meri takmeel tum se hai

                            muje adha ni karma

                            Comment


                            • #74
                              Kabhi nazar se giraa diyaa

                              Kabhi nazar se giraa diyaa,

                              Kabhi dil mein basaa liyaa,

                              Mohabbat mein tumne, humein,

                              Kabhi hasaa to kabhi rulaa diyaa



                              Kabhie pyaar be_shumaar kiya

                              Kabhi dard be_intehaa diya

                              Apni dewaangee mein tumne, humein
                              ,















                              Kis mukaam par puhancha diya


                              Kabhi mausam_e_bahaar se mila diya,

                              Kabhi sehra mein tanha kar diya

                              Dil ko khilona samajh kar tumne,

                              Humein Har khel mein hara diyaa



                              Kabhi umeedon ko barhaa diya

                              Kabhi mayoosiyon ne jeena dushwaar kiya,

                              Phir bhi humdam humne, tumhein

                              Pyaar ki had se. hai ziyada pyaar kiyaa !!!

                              Comment


                              • #75
                                Yaadon se rabta

                                Phool guldaan main saja rakhna

                                Un ke yaadon se rabta rakhna

                                Zindagi husn ka tabassum hai

                                Lab tabassum se ashna rakhna

                                Dham na ghut jaye band kamre main

                                Kuch hawa ka bhi rasta rakhna

                                Khamoshi ho tho khouf aata hai

                                Guftugu ka bhi silsila rakhna

                                Roshni ke talab rahe na rahe

                                Ghar main lekin ek diya jala rakhna

                                Comment

                                Working...
                                X