Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai


    Tari yaad jo ati hai to kuch asi aada hoti hai



    Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to


    Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai



    Ab ya duniya mari muha veeran si lagti hai


    Khushboo tari na hoti hai na tari sada hoti hai


    Jis des bhi jao tum who des tumhara ho

    Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai...!!

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      jis ghari chaand namoodar hoa kerta hai...
      kiya tujhe ae dil beemar hoa kerta hai...

      log waisay hi nahin baatein banaya kerte...
      kuchh na kuchh to pas-e-deewar hoa kerta hai..

      haath apnon ka hoa kerta hai aksar shamil...
      pusht se jab kabhi waar hoa kerta hai...

      umar ka aakhri hissa ho kisi manzil per...
      maut se barsar-e-pekaar hoa kerta hai...

      jis ko mein hijar se tashbee diya kerta hoon...
      jaan leva wohi azaar hoa kerta hai...

      har cheez ki qeemat hai yaqeenan koi...
      har zaroorat ka khareedar hoa kerta hai...

      faisla qat-e-taaluq karo ya na karo...
      pyaar to bas aik baar hoa kerta hai...

      Comment


      • Adhoorey Chaand

        Adhoorey Chaand Ki Woh Adhoori Raat
        Hontoo Per Dum Torrti In Kahi In Suni

        Woh Adhoori Baat Woh Kuch Ajnabi Sa
        Woh Kuch Shanasa Se Rahi Adhoori Mulaqat

        Dil Ney Kuch Khoya Dil Ney Kuch Paya
        Ajnabi In Chahi Adhoori Woh Shaam

        Ley Ker Ghum Sarey Merey Badley Mein
        Ghum Bhi Apna Na Diya Kiya Dosti Kiya Pyaar

        Kaisey Deta Woh Is Rishtey Ko Koi Naam
        Bus Sub Gumnaam Bey Naam Anjaan!

        Adhoori Mulaqat Adhoori Her Baat!
        Adhoorey Chaand Ki Woh Adhoori Raat

        Comment


        • zamaane guzar gaye

          ai maut! unhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye
          aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

          O jaane vaale aa ki tere intazaar me.n
          raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

          Gam hai na ab Khushii hai na ummiid hai na yaas
          sab se najaat paaye zamaane guzar gaye

          kyaa laayaq-e-sitam bhii nahii.n ab mai.n dosto.n
          patthar bhii ghar me.n aaye zamaane guzar gaye

          jaane bahaar phuul nahii.n aadamii huu.N mai.n
          aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

          kyaa kyaa tavaqqo_at thii aaho.n se ai 'Khumar'
          ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye

          Comment


          • Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey

            Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
            Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

            Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
            Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

            Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
            Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

            Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
            Aur kuch roz tere saath guzara karkey

            Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
            Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

            Comment


            • kuchh tabiyat hii milii thii aisii

              kuchh tabiyat hii milii thii aisii chain se jiine kii suurat na hu_ii
              jis ko chaahaa use apanaa na sake jo milaa us se muhabbat na hu_ii

              jis se jab tak mile dil hii se mile dil jo badalaa to fasaanaa badalaa
              rasme.n duniyaa kii nibhaane ke liye hamase rishto.n kii tijaarat na hu_ii

              duur se thaa vo ka_ii cheharo.n me.n paas se ko_ii bhii vaisaa na lagaa
              bevafaa_ii bhii usii kaa thaa chalan phir kisii se hii shikaayat na hu_ii

              vaqt ruuThaa rahaa bachche kii tarah raah me.n ko_ii khilaunaa na milaa
              dostii bhii to nibhaa_ii na ga_ii dushmanii me.n bhii adaavat na hu_ii

              Comment


              • vo bulaaye.n

                vo bulaaye.n to kyaa tamaashaa ho
                ham na jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

                ye kinaaro.n se khelane vaale
                Duub jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

                bandaa_parvar jo ham peh guzarii hai
                ham bataaye.n to kyaa tamaashaa ho

                aaj ham bhii terii vafaao.n par
                muskuraaye.n to kyaa tamaashaa ho

                terii suurat jo ittefaaq se ham
                bhuul jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

                vaqt kii chand sa'ate.n 'Sagar'
                lauT aaye.n to kyaa tamaashaa ho

                Comment


                • so ab bholta nahi...

                  munzil ka rasta tha......... so ab bholta nahi...
                  woh shaks ashna tha ........so ab bholta nahi...

                  kehnay ko to kuch din hi guzaray thay os k saath..
                  sedioN ka wasta tha......... ..so ab bholta nahi...

                  chend pel refaqatoon k beetaey thay os k seng.....
                  pur-lutf, dil-ruba tha......... so ab bholta nahi...

                  manoos ajnabi tha ,yaan dil ka woh chor tha.....
                  jo bhi tha bes bhala tha.....so ab bholta nahi...

                  baton main saat reng thay,lehjay main tha waqar..
                  humdum tha, humnawa tha......so ab bholta nahi...

                  kaali, tareek raatoN kaa roshaan chiraag thaa.....
                  mundair ka dia tha........so ab bholta nahi....

                  kuch reng apnay seng woh laya tha ghair ker....
                  kuch hum ko day gaya tha....so ab bholta nahi...

                  kuch din khushi k hum ko osi say hoey naseeb....
                  kuch din mayra reha tha....so ab bholta nahi....

                  tha yoon to ajnabi mager kitna ajeeb tha....
                  mujh main hi bolta tha...so ab bholta nahi....

                  woh kehkahay,woh shokhian,woh bankpen...
                  kehnay ko ik bala tha........so ab bholta nahi...

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Be-Aitbaar Waqt Par Jinjila Ke Ro Pade
                    Kho Kar Kabhi Usse Tau Kabhi Pakar Ro Pade

                    Khushiya Hamare Paas Kaha Mustaqil Rahi
                    Bahar Kabhi Hanse Tau Ghar Aa Ke Ro Pade

                    Kab Tak Kisi Ke Sog Mei Royenge Baith Kar
                    Hum Khud Ko Kitni Baar Ye Samja Ke Ro Pade

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      haath apnon ka hoa kerta hai aksar shamil...
                      pusht se jab kabhi waar hoa kerta hai...

                      bhAII WAH............KYA BAAT KAHI HAI SHAYER NEYY

                      Comment


                      • Re: so ab bholta nahi...

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        munzil ka rasta tha......... so ab bholta nahi...
                        woh shaks ashna tha ........so ab bholta nahi...
                        kehnay ko to kuch din hi guzaray thay os k saath..
                        sedioN ka wasta tha......... ..so ab bholta nahi...
                        chend pel refaqatoon k beetaey thay os k seng.....
                        pur-lutf, dil-ruba tha......... so ab bholta nahi...
                        manoos ajnabi tha ,yaan dil ka woh chor tha.....
                        jo bhi tha bes bhala tha.....so ab bholta nahi...
                        baton main saat reng thay,lehjay main tha waqar..
                        humdum tha, humnawa tha......so ab bholta nahi...
                        kaali, tareek raatoN kaa roshaan chiraag thaa.....
                        mundair ka dia tha........so ab bholta nahi....
                        kuch reng apnay seng woh laya tha ghair ker....
                        kuch hum ko day gaya tha....so ab bholta nahi...
                        kuch din khushi k hum ko osi say hoey naseeb....
                        kuch din mayra reha tha....so ab bholta nahi....
                        tha yoon to ajnabi mager kitna ajeeb tha....
                        mujh main hi bolta tha...so ab bholta nahi....
                        woh kehkahay,woh shokhian,woh bankpen...
                        kehnay ko ik bala tha........so ab bholta nahi...

                        bauht khobsoorat ....

                        Comment


                        • Re: vo bulaaye.n

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          vo bulaaye.n to kyaa tamaashaa ho
                          ham na jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

                          ye kinaaro.n se khelane vaale
                          Duub jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

                          bandaa_parvar jo ham peh guzarii hai
                          ham bataaye.n to kyaa tamaashaa ho

                          aaj ham bhii terii vafaao.n par
                          muskuraaye.n to kyaa tamaashaa ho

                          terii suurat jo ittefaaq se ham
                          bhuul jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

                          vaqt kii chand sa'ate.n 'Sagar'
                          lauT aaye.n to kyaa tamaashaa ho

                          bauht khoob

                          Comment


                          • Re: vo bulaaye.n

                            Originally posted by aquari View Post
                            bauht khoob
                            Thanx:blush:

                            Comment


                            • Re: vo bulaaye.n

                              Originally posted by musaddaq View Post
                              Thanx:blush:
                              u r :welcome:

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Mashallah Kya Bath Hai.
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X