Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Tujhay kya khabar

    zaber10 good shearing

    Comment


    • #32
      Re: Tujhay kya khabar

      Shukria :)

      Comment


      • #33
        Yeh zindagi bari ajeeb si

        Yeh zindagi bari ajeeb si Kabhi gulzar si kabhi bezar Si

        Kabhi khushi hamaray sath sath Kabhi gammon ki Barsat si

        Yeh zindagi bari ajeeb si

        Kabhi to tofanon main Bhi hain rastay Kabhi manzilon ka pata nahi

        Kabhi do Kadam pay zindagi Kabhi saddeuon tak intizar si

        Yeh Zindagi bari ajeeb si Kabhi her pal emtihan hai

        Kabhi Bin mangay Inaam hai Kabhi kuch nahi Kabhi sab kuch si

        Yeh zindagi bari ajeeb si Kabhi gulzar si kabhi bezar si

        Comment


        • #34
          Kabhi Yuh Bhi Aa Meri Aankh Mein

          Kabhi Yuh Bhi Aa Meri Aankh Mein,
          Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho,
          Mujhe Ek Raat Nawaz De,
          Magar Us Ke Baad Saher Na Ho,
          Who Bada Nahi Who Karim Hai,
          Mujhe Yeh Shifat Bhi Ata Kare,
          Tujhe Bhoolne Ki Dua Karo,
          To Dua Mein Meri Asar Na Ho,
          Kabhi Din Dhoop Mein Zhum Ke,
          Kabhi Shab Ke Phool Ko Chum Ke,
          Yuh Hi Saath Saath Chale Sada,
          Kabhi Khatm Aapna Safar Na Ho,
          Mere Paas Mere Habib Aa,
          Jara Aur Dil Ke Karib Aa,
          Tujhe Dhadhkano Me Basa Lu Mein,
          Ke Bichadne Ka Kabhi Daar Na Ho

          Comment


          • #35
            Re: Kabhi Yuh Bhi Aa Meri Aankh Mein

            buht khoob jinab...
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #36
              Re: Yeh zindagi bari ajeeb si

              haa!! buhat khoob.. keep it up:rose
              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

              :pr:

              Comment


              • #37
                Re: Tumhain jana'an ijazat hay

                beautiful sharing






                Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
                muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
                sath hamare ye jahaaN tha sara
                par na jane kio kisi ki kami si thi....


                Comment


                • #38
                  Re: Tumhain jana'an ijazat hay

                  nice

                  Comment


                  • #39
                    Re: Yeh zindagi bari ajeeb si

                    thanx:)

                    Comment


                    • #40
                      Re: Tumhain jana'an ijazat hay

                      Thanx:)

                      Comment


                      • #41
                        Dushman ko bhi seenay

                        Dushman ko bhi seenay say lagana nahi bhoolay,
                        Hum apnay wasal ka zamana nahi bhoolay !
                        Tum aankhon ki barsaat bachaye huye rakhna,
                        Kuch loag abhi aag lagana nahi bhoolay !
                        Yeh baat alag; haath Qalam ho gayey apnay,
                        Hum aap ki tasveer banana nahi bhoolay ,
                        Ik ummar huyi main to hansi bhool chuka hoon,
                        Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahi bhoolay !
                        Dushman ko bhi seenay say lagana nahi bhoolay,
                        Hum apnay wasal ka zamana nahi bhoolay!!!
                        Last edited by musaddaq; 16 May 2007, 11:42.

                        Comment


                        • #42
                          Adhoora Chaand

                          Adhoorey Chaand Ki Woh Adhoori Raat
                          Hontoo Per Dum Torrti In Kahi In Suni

                          Woh Adhoori Baat Woh Kuch Ajnabi Sa
                          Woh Kuch Shanasa Se Rahi Adhoori Mulaqat

                          Dil Ney Kuch Khoya Dil Ney Kuch Paya
                          Ajnabi In Chahi Adhoori Woh Shaam

                          Ley Ker Ghum Sarey Merey Badley Mein
                          Ghum Bhi Apna Na Diya Kiya Dosti Kiya Pyaar


                          Kaisey Deta Woh Is Rishtey Ko Koi Naam
                          Bus Sub Gumnaam Bey Naam Anjaan!

                          Adhoori Mulaqat Adhoori Her Baat!
                          Adhoorey Chaand Ki Woh Adhoori Raat

                          Comment


                          • #43
                            Re: Adhoora Chaand

                            Assalaam-0-Alaikom:rose
                            nice one...
                            waisay poet kon hai

                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • #44
                              Bahoot Bar Kehna Chahta Tha Main Par

                              Hamari dosti aur pyaar ke bhich ki patli lakir
                              Kab mein par ki nahi pata
                              Un nazdekiyo ka sabab batana chaha tha meine par...tum nahi samjhi

                              Sang Chata tha tumahare, saada ke liye
                              Kyonkar kaise kehta tumse
                              Tumahare liye apna pyaar jatana chaha tha meine par...tum nahi samjhi

                              kabhi jhakkar meri aankho mein dekha hota
                              Saari dasta pad lete tum
                              Beintehaa pyaar jhalakta tha tumhare liye inmein par...tum nahi samjhi

                              Badlo ko par kar, taaro ke chadar se jab chalkti chandni chuti mukhko
                              To lagta Baho mein bhar liya tumne
                              Mein tadpta raha tumahare liye par iss tadap ko...tum nahi samjhi

                              Apna kaam, Apne dost, Apne sapno mein khoyi rahi,
                              Apni Masrufiyat se tumhe na waqt mila,
                              Mere sapne, meri aarzoo, mere armano ko...tum nahi samjhi

                              Mere armano ko daphnakar tum kisi aur ki hui
                              Mere aasuo ko pochti tum, mujhe samjhati rahi
                              Un aasuo ka kaaran, apna pyaar khone ki tadap,
                              Meri Adhuri kahani ko...tum nahi samjhe

                              Comment


                              • #45
                                Qurbaton Mai bhi Judai

                                Qurbaton mai b Juda'ee ke Zamane mange
                                Dil wo Be-Mehr ke Roney ke Bahaney mange

                                Apna ye Haal ke Dil Haar chuke, Mitt bhi chuke
                                Aur Mohobbat wo hi Andaaz Puraane mange

                                Hum na hotey to kisi aur ke Charchey hotey
                                Khulqat-e-Shehr to Kehney ko Fasaney mange

                                Ye hi Dil tha ke Tarasta tha Marasim ke lye
                                Ab ye hi Tark-e-Talluk ke Bahaney mange

                                Mai wo Mehroom ke, jese koi Weerana hoon
                                Tuu wo Khush-fehm, Kharabon se Khazaney mange

                                Zindagi Hum Tere DaghoN se rahe Sharminda
                                Aur Tuu hai ke Sada Aaina khaney mange

                                Dil kisi Haal per Maaney hi nahin Jaan-e-"Faraz"
                                Mil gaye Tum bhi to kya aur na jaane mange

                                Comment

                                Working...
                                X