Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Adhoora Chaand

    pata nahi mera laptop main kafi arse se pari hui thi yeh,kafi arsa pehle likhi thi kissi site se

    Comment


    • #47
      le chalaa jaan merii ruuTh ke jaanaa teraa

      le chalaa jaan merii ruuTh ke jaanaa teraa
      aise aane se to behatar thaa na aanaa teraa

      apane dil ko bhii bataa_uu.N na Thikaanaa teraa
      sab ne jaanaa jo pataa ek ne jaanaa teraa

      tuu jo ai zulf pareshaan rahaa karatii hai
      kis ke uja.De hue dil me.n hai Thikaanaa teraa

      ye samajh kar tujhe ai maut lagaa rakhaa hai
      kaam aataa hai bure vaqt me.n aanaa teraa

      apanii aa.Nkho.n me.n bhii kau.Ndh ga_ii bijalii sii
      ham na samajhe ki ye aanaa hai ki jaanaa teraa


      'Daag' ko yuu.N vo miTaate hai.n ye farmaate hai.n
      tuu badal Daal huaa naam puraanaa teraa

      Comment


      • #48
        Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha

        Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
        Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.



        Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,
        Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.



        Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,
        Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.


        Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,
        Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.



        Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,
        Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.



        Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,
        Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha.



        Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya, Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka,
        Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha

        Comment


        • #49
          manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi

          Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi
          manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi
          Socha tujhay ,dekha tujhay,chaha tujhay, pooja tujhay
          meri khata, meri wafa ,teri khata kuch bhi nahi
          Jis per humari aankh ne moti bichaiay raat bhar
          bheja wohi kaghaz usay hum ne likha kuch bhi nahi
          Aik shaam k saaiay talay bethay rahay woh der tak
          aankhon se ki batain bahut muun se kaha kuch bhi nahi Ahsas ki khusboo kahan awaaz k jugnoo kahan
          khamosh yaadon k siwa ghar main raha kuch bhi nahi
          Do char din ki baat hai dil khak main mil jaiay ga
          jab aag per kaghaz rakha baqi bacha kuch bhi nahi

          Comment


          • #50
            Re: manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi

            very niceeeeeeee....:rose
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • #51
              Kehnay ko us say mera koi waasta nahin

              Kehnay ko us say mera koi waasta nahin
              amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin

              darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey
              main jaag to raha hoon magar jaagta nahin

              aashaftagi say uski usay beywafa naa jaan
              aadat ki baat or hay dil ka bura nahin

              tanha udaas chaand ko samjho naa beykhabar
              hur baat sun raha hay magar bolta nahin

              khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahaar soo
              nikla kub aaftaab mujhay to pata nahin

              amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar
              un main koi bhi aks meray naam ka nahin!!

              Comment


              • #52
                Re: manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi

                i too love this poetry, :)

                Comment


                • #53
                  Yaad

                  ajj kia bethey bithaey gham e jaan yaad ayya
                  aik yaad aye tu phir ik jahaan yaad ayya


                  jabb kooi phool girra jabb kooi patta toota
                  tujh see patt jharr main bicharney ka samaan yaad ayya


                  khul gaey ruhh ki galioon main terey chaap ke phool
                  jabb tera rangg kafey-e-paey rawaan yaad ayya


                  tujh koo dekha tu larazney laggi panddar ki loo
                  be sabab talaqh noey ka ziyaan yaad ayya


                  kitni saddioon ke muqaddar main terey deed na thi
                  hum terey muntazer-e-deed they haan yaad ayya


                  sehrey ablagah main kia zehmey sukhan tha hum koo
                  kudh pey guzri tu ghamey ehley faghaan yaad ayya


                  barhaa parsish ehwaal pe sajjad pehroon
                  aik ik harif ka andaaz-e-biaan yaad ayya

                  Comment


                  • #54
                    Re: manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi

                    bohat khoob
                    one of my fav

                    Comment


                    • #55
                      Re: Kehnay ko us say mera koi waasta nahin

                      again bohat zaberdast
                      lagta hy app ki aur meri pasand kafi milti jolti hy

                      Comment


                      • #56
                        Re: Kehnay ko us say mera koi waasta nahin

                        bohat khoob
                        nice sharing
                        If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                        Happy moments, praise Allah.
                        Difficult moments, seek Allah.
                        Quiet moments, worship Allah.
                        Painful moments, trust Allah.
                        Every moment, thank Allah.



                        Comment


                        • #57
                          Re: manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi

                          thanks for liking:),or ager aap ki bhi aisi hi choice hia to it means keh waqi hi milti hia

                          Comment


                          • #58
                            Suno Tum Laut aao na

                            Wo Dekho Chand nikla hai, Sitare Jagmagaye hain
                            Hamari Muntazir Aankhain, Duain mangti Aankhain

                            Tumhein hi sochti Aankhain, Tumhein hi dhondti Aankhain
                            Tumhain wapis Bulati hain, Ye Dil jab b Dharakta hai

                            Tumhara Naam leta hai, Ye Aansu jab b behte hain
                            Tumhare Dukh mai Behte hain, K Barish jab b hoti hai

                            Tumhain hi yaad kerti hai, Khushi koi jo aaye b
                            Tumhare bin Adhuri hai, Suno Tum Laut aao na

                            Laut aao na.....

                            Comment


                            • #59
                              Re: Suno Tum Laut aao na

                              bohat Khub Janab !!!
                              Bohat Achi Wording He I Like It !!!

                              Comment


                              • #60
                                Re: Suno Tum Laut aao na

                                :)

                                Comment

                                Working...
                                X