Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Wafa who shakhs mera sath bhi na ker paya
    Bicherta waqt mulaqaat bhi na ker paya

    Sitare tor keh lana to ghair mumkin tha
    Who to mera haq main koi baat bhi na ker paya

    Yeh dukh nahi keh rahain bad-dumanian Tabish
    Yeh ranj hai keh shikayat bhi na ker paya

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Mausam-e-Hijar me Barish ka brasna kesa?
      Ek sehra se samandar ka guzarna kesa?
      Ae mere DiL na pareshan ho, Tanha ho kar!
      Wo tere sath chala kab tha,
      Bicharna kesa?
      Log kehte hen ke Gulshan ki tabahi dekho!
      Me to viran sa jangal tha,
      Ujarna kesa?
      Dekhne me to koi dard nahi,
      Dukh bhi nahi!
      Phir ye Ankhon me in Ashkon ka Ubharna kesa?
      Bewafa Kehne ki Jurrat bhi krun to kesy?
      US ne iqrar kiya kab tha,
      mukarna kesa??

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by musaddaq View Post
        Koan se dukh ki kareen baat zara yah to bata

        Mosmoon , serd hawaoon ki masihai ka dukh

        Rah ki dhuul main bikhri hui benaai ka dukh

        Sang k shaher main khud se shanasai ka dukh

        Ya bhagi bersaat main tanhai ka dukh

        Koan se dukh ki kareen baat kah dil ka derya

        Itni tughyaani ki zaad per hai kah kuch yaad nahin

        Kab hamain bhuul gia koan se herjai ka dukh

        Tum to bas aik hi dukh puchty hoo.....
        :thmbup::phool:one of my fav:
        sigpic

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Dil dharakne ka sabab yaad aya
          Woh teri yaad thi ab yaad aya

          Aaj mushkil tha sambhalna aye dost
          Tu museebat mein ajab yaad aya

          Din guzara tha bari mushkil se
          Phir tera wada-e-shab yaad aya

          Haal-e-dil hum bhi sunate lekin
          Jab woh rukhsat hua tab yaad aya

          Beth kar saaya-e-gul mein "Nasir"
          Hum bahut roye woh jab yaad aya

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            buht khoob
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Woh jisse samajhta tha zindagi,
              Meri Dharkano ka faraib tha...

              Mujhe Muskurana sikha k Woh,
              Meri Rooh tak ko Rula gaya...

              Ajeeb Shakhs tha woh aye Zindagi,
              Jisse samajh kar bhi na samajh saka...

              Mujhe Chahta bhi Ghazab ka tha,
              Mujhe Chor kar bhi Chala gaya...

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by musaddaq View Post
                Usey kehna.....
                Usey hum......
                YAD KARTEY HAIN!
                Diye jab sham ki deheliz pe
                Jalane aatye
                Hain......
                Sitare aasman Pe
                Jab timtimate
                Hain........
                Zamin
                pe
                chandni pholon
                Pe
                Parti hai.......
                Bohat hi khob lagti hai!
                Hum us dam
                Apni ankhon main
                Usey abad kartye
                hain........
                USEY KEHNA
                USEY HUM
                YAAD KARTEY
                HAIN.
                haa ussey hum yaad krey hain in tamam lamhoo main....!
                :)

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Originally posted by musaddaq View Post

                  Mujhe Muskurana sikha k Woh,
                  Meri Rooh tak ko Rula gaya...

                  Ajeeb Shakhs tha woh aye Zindagi,
                  Jisse samajh kar bhi na samajh saka...

                  Mujhe Chahta bhi Ghazab ka tha,
                  Mujhe Chor kar bhi Chala gaya...
                  dil ko choo gai yeh shairi..!

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Originally posted by musaddaq View Post
                    Dyaare Gher mein kese tujhe Sada Dete
                    Tu mil bhi jata to akhir tujhe gunwa dete
                    humein yeh zom raha ab wo pukarein gay
                    uneih yeh zid thi ke har bar hum sada dete
                    tumein bhulana to awal dastras mein hi nahi
                    jo ikhtiyar bhi hota to kiya bhula dete
                    my all time fav...:salam:

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Muqaddar K Sitaroon Par,
                      Zamanay K Isharoon Par,
                      Udasi K Kinaroon Par,
                      Kabhi Veraan Shehroon Main,
                      Kabhi Sunsaan Rastoon Par,
                      Kabhi Hayraan Aankhoon Main,
                      Kabhi Bayjaan Lamhoon Par,
                      Tumhari Yaad Holay Say,
                      Koi Sargoshi Karti Hay,
                      Ye Palkain Bheeg Jati Hain,
                      Do Aansoon Toot Girtay Hain,
                      Main Palkoon Ko Jhukata Hoon,
                      Bazahir Muskurata Hoon,
                      Faqat Itna Hi Kehta Hoon,
                      Mujhay Kitna Satate Ho,
                      Mujhay TUM bohat Yaad Aate Ho...!!!

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by aquari View Post
                        haa ussey hum yaad krey hain in tamam lamhoo main....!
                        :)
                        Originally posted by aquari View Post
                        dil ko choo gai yeh shairi..!
                        Originally posted by aquari View Post
                        my all time fav...:salam:
                        Thank u:)

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Tujhay Bhoolnay Ki Koshish Main
                          Jab Dil Yeh Zidd Pay Aa Gaya
                          Main Aankh Moond K Baith Gaye
                          Tu Khayaal Pay Phir Chaa Gaya...

                          Yeh Dharkan Kahin Ruk Jaye Na
                          Meri Nabz Thehar Na Jaaye Kahin
                          Tu Nay Waqt Kia Mera Lamha Lamha
                          Magar Mout Ko Aasaan Bana Gaya....

                          Meri Har Daleel Ko Kia Un Sunni
                          Meri Fariyaad Bhi Tu Sunni Nahin
                          Main Hairaan Hoon, Han Kuch Pareshan Hon
                          Aisa Faisla Tu Mujhay Suna Gaya....

                          Mujhay Chaand Ki Kabhi Talab Na Thi
                          Mujhay Suraat Ki Bhi Fikar Nahin
                          Bas Aankh Khoolna Hi Chahtay Thay Hum
                          Magar Tu Rooshni Hi Bujha Gaya....

                          Beshak Bhoolna Tujhay Chaha Buhat
                          Hans Kar Kabhi, Roo Kar Kabhi
                          Day Kar Yeh Aansoun Ki Soughat Mujhay
                          Tu Daaman Apna Bacha Gaya......

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Muhabat jeet hoti hai
                            Magar yeh haar jati hai

                            Kabhi dil soz lamhon se
                            Kabhi be khabr rasmon se

                            Kabhi Taqdeer walon se
                            Kabhi Majbor qasmon se

                            Magar yeh haar jati hai

                            Kabhi yeh phool jesi hai
                            Kabhi yeh dhool jesi hai

                            Kabhi yeh chand jesi hai
                            Kabhi yeh dhoop jesi hai

                            Kabhi yeh khush karti hai
                            Kabhi yeh rog deti hai

                            Kisi ka chain leti hai
                            Kisi ko rool deti hai

                            Kabhi yeh paar Le jati hai
                            Kabhi yeh maar jati hai

                            Muhabat jeet hoti hai
                            Magar yeh haar jati hai

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Bohat Umdah Intakhaab.
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Uss Simt Ko Chalte Ho To Itna Usse Kehna,
                                Ab Koi Nahi Harf E Tamanna Usse Kehna,

                                Tum Ne Hi Kaha Tha To Yaqeen Mujh Ko Hua Tha,
                                Chahat Nahi Hoti Kabhi Ruswa Usse Kehna,

                                Duniya To Kisi Haal Mein Jeene Nahi Dayti,
                                Umeed Pe Qaim Hai Duniya Usse Kehna,

                                Zarkhaiz Zameen'n Kabhi Banjar Nahi Hot'n,
                                Dariya Hi Badal Layte Hain Raasta Usse Kehna,

                                Kuch Log Safar Ke Liye Mozoun Nahi Hote,
                                Kuch Raaste Kat'te Nahi Tanha Usse Kehna...

                                Comment

                                Working...
                                X