Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Mohabbat
    Na azaab hai na sawab hai
    Mager aisa ek khawab hai
    Jo na aankh daikhe isse koi
    To tahi rahe gi woh noor se
    Or ager isse koi dekh le
    To chheen le gi yeh sab basartain

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by musaddaq View Post
      Mohabbat
      Na azaab hai na sawab hai
      Mager aisa ek khawab hai
      Jo na aankh daikhe isse koi
      To tahi rahe gi woh noor se
      Or ager isse koi dekh le
      To chheen le gi yeh sab basartain
      mind blowing......achaa zouq hai apka.....really baeutiful words on mohabbat....
      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by saraah View Post
        mind blowing......achaa zouq hai apka.....really baeutiful words on mohabbat....
        thanks

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha
          Ho k juda bhi tu meri tanhaiyun main tha

          Deewangee ko meri ishq mantay hain sab,
          Ruswa tu bhi saath meri ruswaiyun main tha..

          Ankhon say ansu'on k sath arman nikal gaye,
          Yeh kaisa dard aaj in shehnaiyun main tha..

          Tujh ko Pa k dil ko kabhi chain na mill saka,
          Kitna sakoon haye un judaiyun main tha..

          Fursat milay to dekh kabhi meri simt bhi,
          Aasra tha tujh pay, teri khudaiyun pay tha..

          Ban kay deewana aaj jo phirta hai darbadar,
          Hai yaad kya tujhe tere shaidaiyun main tha..

          Raton say main daron k neendon main a na jaye,
          Subah bhi meri dhoop ki parchaiyun main tha..

          Tu jis ka naam dill main basaye hai,
          Badnaam wo gali gali harjaiyun main tha..

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Abhi kuch pal hamare haath me hain
            Kon jane
            Konsa lamha mahare haath sey phisle,,, gire
            Aor paun ki zanjeer ho jaye
            Abhi ye din jo lagta hay ke ham ek doosre ke
            Saath reh sakte hain ..pal....do. ....pal
            Najane kab kahan dewar ban jayin
            Abhi do char sansein bach rahi hain
            Ye to jhonka hain
            Kise mahloom kis ahistgi se yun guzar jaye
            Ke ham dariyaun ke do mukhtalif na ashna ....
            Goonge kinarun par khare
            Ek doosre ki shakal takne ko taras jain
            Meri awaz tery yad me zinda ho bas
            Aor me teri tasweer ankhun me liye
            Rona chapaun shehar walun se
            Abhi kuch pal hamare haath me hain
            Ham jo chahein ge to kuch kam kam bhi mil lein ge
            Magar jane kahan....... ?
            Kab......?
            Kon sa lamha ......?

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Bohat Umdah Intakhaab.
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by khan khan View Post
                Bohat Umdah Intakhaab.
                :)

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Originally posted by musaddaq View Post
                  abhi Kuch Pal Hamare Haath Me Hain
                  kon Jane
                  konsa Lamha Mahare Haath Sey Phisle,,, Gire
                  aor Paun Ki Zanjeer Ho Jaye
                  abhi Ye Din Jo Lagta Hay Ke Ham Ek Doosre Ke
                  saath Reh Sakte Hain ..pal....do. ....pal
                  najane Kab Kahan Dewar Ban Jayin
                  abhi Do Char Sansein Bach Rahi Hain
                  ye To Jhonka Hain
                  kise Mahloom Kis Ahistgi Se Yun Guzar Jaye
                  ke Ham Dariyaun Ke Do Mukhtalif Na Ashna ....
                  goonge Kinarun Par Khare
                  ek Doosre Ki Shakal Takne Ko Taras Jain
                  meri Awaz Tery Yad Me Zinda Ho Bas
                  aor Me Teri Tasweer Ankhun Me Liye
                  rona Chapaun Shehar Walun Se
                  abhi Kuch Pal Hamare Haath Me Hain
                  ham Jo Chahein Ge To Kuch Kam Kam Bhi Mil Lein Ge
                  magar Jane Kahan....... ?

                  kab......?
                  kon Sa Lamha ......?
                  Be Hadd Khoobsoorat.....
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    woh Janti Thi Mager Phir Bhi
                    woh Janti Thi Wafaa Ka Ajar Nahi Hota
                    muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota
                    woh Janti Thi
                    muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay
                    jehan Serab Si Khushyan Hain
                    aur Azaab Say Ghum
                    jehan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar
                    milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dyar Main Kam
                    woh Janti Thi
                    muhabat Khiraj Mangti Hay
                    woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya Ho
                    andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh Mangti Hay
                    woh Janti Thi
                    muhabat Woh Rehguzar Hay Jehan
                    bichay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar Magar
                    brehna-pa Hi Inhain Paar Kerna Perta Hay
                    ghemon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho
                    kisi Ki Yaad Ki Chader Ko Taan Ker Khud Per
                    tamam Aahain Deba Ker Guzerna Perta Hay
                    woh Janti Thi Wafa Ka Ajar Nahi Hota
                    muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota
                    hijer Ki Rah Main Hoti Hay Betahashah Ghutan
                    wehan Kebhi Bhi Hawa Ka Guzer Nahi Hota
                    woh Janti Thi Magar Phir Bhi Roag Lay Bethi
                    kisi Kay Pyar Main Janay Kun Joag Lay Bethi
                    woh Janti Thi Magr Phir Bhi.

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Sunoo...
                      Hum toot jain gay...
                      k dori seh na pain gay
                      JUDAI MAR DALAY GI

                      Sunoo....
                      Ya ankhain bojhal hain
                      Inhain kis tarha behlain

                      Sunoo....
                      Hum so na pain gay
                      Kabhi khush ho na pain gay
                      JUDAI MAR DALAY GI

                      Sunoo....
                      Ya DIL tumhara hay
                      Na tum bin ab guzara hay

                      Sunoo....
                      Kuch wakt do hum koBana lain dost is gham ko
                      Hamain maloom hay akhir
                      JUDAI MAR DALAY GI

                      Suntay ho na?
                      Samujhtay ho na?
                      JUDAI MAR DALAY GI

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by musaddaq View Post

                        Suntay ho na?
                        Samujhtay ho na?

                        JUDAI MAR DALAY GI

                        :khi: nice

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          Mohabbat
                          Na azaab hai na sawab hai
                          Mager aisa ek khawab hai
                          Jo na aankh daikhe isse koi
                          To tahi rahe gi woh noor se
                          Or ager isse koi dekh le
                          To chheen le gi yeh sab basartain

                          wah umdah:D:

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Originally posted by musaddaq View Post
                            Sunoo...

                            Hum toot jain gay...
                            k dori seh na pain gay
                            JUDAI MAR DALAY GI

                            Sunoo....
                            Ya ankhain bojhal hain
                            Inhain kis tarha behlain

                            Sunoo....
                            Hum so na pain gay
                            Kabhi khush ho na pain gay
                            JUDAI MAR DALAY GI

                            Sunoo....
                            Ya DIL tumhara hay
                            Na tum bin ab guzara hay

                            Sunoo....
                            Kuch wakt do hum koBana lain dost is gham ko
                            Hamain maloom hay akhir
                            JUDAI MAR DALAY GI

                            Suntay ho na?
                            Samujhtay ho na?

                            JUDAI MAR DALAY GI
                            buht khubsurat..... :rose
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Originally posted by <<Muqadas>> View Post
                              :khi: nice
                              :)

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Originally posted by *Hala* View Post
                                buht khubsurat..... :rose
                                Thanks:salam::rose

                                Comment

                                Working...
                                X