Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha
    jab dhoop thi qismat tu shajar kis ke liye tha

    Pardes mein suna tha, tu chhat kis liye daali
    baher hi nikalna tha tu ghar kis ke liye tha

    Jiss khak se phoota hai ussi khak ki khushboo
    pehchaan na paya tu huner kis ke liye tha

    Aaye madar-e-geeti! teri hayrat bhi baja hai
    tere hi na kaam aya tu sar kis ke liye tha..

    Youn shaam ki dehshat se sar-e-dasht- e-irada
    rukhna tha, tu phir sara safar kis ke liye tha

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by musaddaq View Post
      Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha
      jab dhoop thi qismat tu shajar kis ke liye tha



      Youn shaam ki dehshat se sar-e-dasht- e-irada
      rukhna tha, tu phir sara safar kis ke liye tha
      wah zabar10 :clap:

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by musaddaq View Post
        Youn shaam ki dehshat se sar-e-dasht- e-irada
        rukhna tha, tu phir sara safar kis ke liye tha
        wah kya kehnay.........:thmbup:
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Originally posted by musaddaq View Post
          Tujhay Bhoolnay Ki Koshish Main
          Jab Dil Yeh Zidd Pay Aa Gaya
          Main Aankh Moond K Baith Gaye
          Tu Khayaal Pay Phir Chaa Gaya...

          Yeh Dharkan Kahin Ruk Jaye Na
          Meri Nabz Thehar Na Jaaye Kahin
          Tu Nay Waqt Kia Mera Lamha Lamha
          Magar Mout Ko Aasaan Bana Gaya....

          Meri Har Daleel Ko Kia Un Sunni
          Meri Fariyaad Bhi Tu Sunni Nahin
          Main Hairaan Hoon, Han Kuch Pareshan Hon
          Aisa Faisla Tu Mujhay Suna Gaya....

          Mujhay Chaand Ki Kabhi Talab Na Thi
          Mujhay Suraat Ki Bhi Fikar Nahin
          Bas Aankh Khoolna Hi Chahtay Thay Hum
          Magar Tu Rooshni Hi Bujha Gaya....

          Beshak Bhoolna Tujhay Chaha Buhat
          Hans Kar Kabhi, Roo Kar Kabhi
          Day Kar Yeh Aansoun Ki Soughat Mujhay
          Tu Daaman Apna Bacha Gaya......
          nice:thmbup:

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Zaahir na ho jayay meri udaasi meri tanhai
            Meray dil ki kasak aur badan ki angrai
            Ubhar na aayay chayhray par
            meri betaabion kay naqoosh
            Suna na day kuch meri usko
            Pyaar say nihaarti aankhain
            Kadam aadtan na chal parain uski jaanib

            Aur ban jayay uski pashymaani ka sabab
            Zabt ki kasam di hai usnay

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Wonderful Collection.:rose
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by khan khan View Post
                Wonderful Collection.:rose
                Thanks:)

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  kab say chala aaraha hai ye thread

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Originally posted by <<Muqadas>> View Post
                    kab say chala aaraha hai ye thread
                    2006 se, since the time i joined:)

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      musaddaq main aaj aap ki choice main kafi kuch parha hai or aap ki choice ki daad dena pary gi....

                      bohat khoob surat intehab hain aap ka
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by soni kudi View Post
                        musaddaq main aaj aap ki choice main kafi kuch parha hai or aap ki choice ki daad dena pary gi....

                        bohat khoob surat intehab hain aap ka
                        thank u:)

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Yeh zindagi bari ajeeb si
                          Kabhi gulzar si kabhi bezar si

                          Kabhi khushi hamaray sath sath
                          Kabhi gammon ki barsat si

                          Yeh zindagi bari ajeeb si
                          Kabhi tofanon main bhi hain rastay

                          Kabhi manzilon ka pata nahi
                          Kabhi do kadam pay zindagi

                          Kabhi saddeuon tak intizar si
                          Yeh zindagi bari ajeeb si

                          Kabhi her pal emtihan hai
                          Kabhi bin mangay enam hai

                          Kabhi kuch nahi
                          Kabhi sab kuch si

                          Yeh zindagi bari ajeeb si
                          Kabhi gulzar si kabhi bezar si

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Originally posted by musaddaq View Post
                            Yeh zindagi bari ajeeb si

                            Kabhi gulzar si kabhi bezar si
                            VERY TRUE.....
                            NICE.....:thmbup:
                            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              very nice g
                              sigpic

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Daikhtay Hain
                                So Us K Shehr May Kuch Din Tehir K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haaloon Say
                                So Apnay Aap Ko Barbad Kar K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Dard Ke Gaahk Hai Chashm-E-Naazuk Uski
                                So Ham B Uski Gali Say Guzar Kar Daikhtay Hain

                                Suna Hai Usko B Hai Shair-O-Shaairi Say Sharaf
                                So Ham B Maujzay Apnay Huner K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Bolay To Baatoon Say Phool Jhartay Hain
                                Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Raat Usay Chand Taktaa Rehta Hai
                                Sitaray Baam-E-Falak Say Utar Kar Daikhtay Hain

                                Suna Hai Hashr Hain Uski Ghazaal C Aankhain
                                Suna Hai Usko Hairan Dasht Bhar K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Din Ko Usay Titliaan Sataati Hain
                                Suna Hai Raat Ko Jugno Tehir K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Uski Siyaah Chashmagi Qayamat Hai
                                So Usko Surma Farosh Aankh Bhar K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Us K Laboon Say Gulab Jalatay Hain
                                So Ham Pahar Pay Ilzam Dhar K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Aaiyna Tamasal Hai Jabeen Uski
                                Jo Sada Dil Hain Ban Sanwar K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Us K Badan Ke Taraash Aisi Hai
                                K Phool Apni Qabaayain Qatar K Daikhtay Hain

                                Suna Hai Uski Shabistan Se Muttasil Hai Bahisht
                                Makeen Udhar K B Jalway Idhar K Daikhtay Hain

                                Rukay To Gardish Uska Tawaf Karti Hai
                                Chalay To Usko Zamaanay Tehir K Daikhtay Hain

                                Mubaligh He Sahi, Sab Kahanian He Sahi
                                Agar Wo Khwab Hai To Taabeer Kar K Daikhtay Hain

                                Ab Us K Shehr May Tehrain K Kuch Kar Jayayn
                                "Faraz" Aao Sitaray Safar K Daikhtay Hain

                                Comment

                                Working...
                                X