Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Musaddaq Ki Choice
Collapse
X
-
Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi
Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi.
woh mujay chahay, ya mill jay zarori to nahi.
yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.
jaan qurban mari, us ki her muskurahat pay.
chaaht ka takaza hay yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.
ab to nikal kay ankhoon say yadoon main ja basa woh.
yahi hay qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.
us kay gar ki tarf utthy hi ruk jaty hain kadam.
badnami say us ki darta hoon, koi mazori to nahi.
keyoon log madhoosh hotay hain mari mahaq say.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.
dair karta hoon her kam main katay hain dost mary..
kam aqali hay mari koi shaoori to nahi.
keyoon sulgata hay apnay app ko ay Saadash
dil bhi tara jan bhi tari, koi tandori to nahi.
Comment
-
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar thaWoh laut kar na aaya magar intezaar thaJo humsafar tha chorr gaya raah main mujheMain phans gayi bhanwar main woh darya ke paar thaManzil qareeb aayi to tum door hogayeItna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar thaChilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyanNa woh sakoon se betha na mujh ko qaraar thaYeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt kaAnkhon main aansu aur Dil beqaraar thaYeh baat umer bhar samjh na paayi mainKyun Dil mera us ka talabgaar tha
Comment
-
Hum se na sahi gairon se sahi
Hum se na sahi gairon se sahi
Tumhe dil ka lagana aa to gyaDuniya main kisi ke ho to gay
Tumhe pyar nibhana aa to gyaBethay ho kisi ke pehloo main
Aankho main chamakta pyar liye Hum khush hain kisi ke jivan main
Ye waqt suhana aa to gya Pholoun ke khawab dikhaye mughe
aur dedi baharen auroun ko Dil mera viran raha to kya
Gul tum ko khilana aa to gya Dunya main kisis ke ho to gay
Tumhe pyar nibhana aa to gya
Comment
-
Koi bhoola sekta kissi ko bhool jane ke baad
Koi bhoola sekta kissi ko bhool jane ke baad !
Koi samane aa jaye kissi ko yaad kerna ke baad
Kyun chuorr diya hamara saath kyaa hum ne galati ki!
Khudaa bhi maaf ker dayta hai gunaa hone ke baad
Kyun aate ho hamein yaad kyun terpate ho mujhe
Aadmi khushh hota nahin her ik khushi milne ke baad!
Mohabbat ke safar mein kitne door chale gaye hein jab hum
Kyun wapis pukarte ho manzil ke qareeb aane ke baad
Aansoo hein kumzor saahara mere jeewon ka
Kyun aate ho pouchane[wipe] aankhein sookh jane ke baad!
Na manaa kero hamein pyaar kerne se tujh ko
Kyun loag baagawat kerte hain pyaar kerne ke baad !
Ker le deedaar apne mehboob ka gi bhar ke kar!
Koi aata nahin milne qabarr mein jane ke baad!
Koi kissi ka haal-e-dil jaan nahin sekta
Murdaa jism hi jaanta hai qabarr mein jane ke baad!
Eazat , zilat , gunaa , sawaab kyaa hai koi baata de !
Na aana chahta koi duniya mein qayamat dekhne ke baad!
Koi bhoola sekta kissi ko bhool jane ke baad!
Koi samane aa jaye kissi ko yaad kerne ke baad !
Comment
-
faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa
faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa
saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa
vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu
mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa
raat bhar us kii hii aahaT kaan me.n aatii rahii
jhaa.Nk kar dekhaa galii me.n ko_ii bhii aayaa na thaa
aks to maujuud the par aks tanahaa_ii ke the
aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa
aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
aaj mai.n royaa to mere saath vo royaa na thaa
ye sabhii viiraaniyaa. N us ke judaa hone se thii.n
aa.Nkh dhu.Ndhalaa_ ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa
yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "Adeem"
bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa
Comment
-
mushkil thaa
Haalaat mere kuch aisey they ke jinse nikalna mushkil thaa
gairon ki shikayat kya kariye, apnon ko samajhna mushkil thaa
afsos ke hum hain sahraa mein gulshan mein pahunchna mushkil thaa
dauran-e-safar kuch aisey girey ke gir ke sambhalna mushkil thaa
duniya ki hadhon ko chookar hum ik baar wahan phir pahunche hain
chand roz huye jis dar se humein kis darja nikalna mushkil thaa
har waqt naseehat detey hain , har baar karam farmaaye hain
humdard humein kuch aise miley ke dard ka mitnaa mushkil thaa
dariya-e-lahuu mein doob ke hum paani ke liye kuch aise jaley
aankhon se tapaktaa thaa lekin hothon pe pahunchna mushkil thaa
Comment
-
Maa
Dard hua to dil se awaz aye maa
Takleef hue to yaad teri aye maa
Jab Sab na chor deya Mutlabi bewafa kah ke
Phir majhey tere achal ki yaad aye maa
Main kitna badnaseeb hoon
Logo se piyaar maanga maine Mile majhey Tanhai
Tuney Bin maanga Kitna piyaar deya
Aur main teri hi kadar na kar saka maa
BadGumani mein har ek ko maine Seena se lagaya
Bus Badnaseebi to dheko bus tujhey hi apne galey se na laagaya maa
Duniya ki ranginyon mein kohya raha
bus ek tujh hi ko bhool ka sab ke pecha bhagta raha
Teri Tanhaiyon mein ek pal bhi tere saath na raha
Main badnaseeb teri maafi ka kabil bhi na raha
Jab Hosh mein aya To maloom hua ke
kio apna nehi bus tere siwa maa
Teri goad main sar rakh ke ro ro ke mout-e-faryad ki dua ki
Maa na rote rote apni zindagi apni khushiya bhi mere naam ki
Main Kitna beaqal kamzarf hoon
Tera khwab bhi pura na kar saka main tere leya kuch bhi na kar saka maa
Maine kitne dhuk deya
Aur tuney uff tak na ki maa
tuney kabhi na saath chora
Na kabhi kuch kaha majhey tuney maa
bus ek khwab hai zindagi ka
beshak kuch mile na mile
main kuch bano ya na bano
bus ek arman hai zindagi ka
Main ek dafa teri goad main sar rakh so sako maa
woh sakoon-e-neend pana chahta hoon maa
Bohat dard ho raha hai maa
apne hathon se mere zakham-e-dard ko mita do maa
Comment
-
na dil samajh saka na mein
Chiragh-e-shab tha ya aaftaab na dil samajh saka na mein
Wo taabeer thi ya mehz khuwaab na dil samajh saka na mein
Wo nazar jo tamaam umar jhuki jhuki hi rahi
Merey liye thi betaab na dil samajh saka na mein
Sab se anjaan apni hi dhun mein khoya khoya sa magar
Wo tha khuli kitaab na dil samajh saka na mein
Wo jaan-e-mehfil jo mujh se ghaafil par meri hi amad ka
Rakhta tha barha hisaab na dil samajh saka na mein
Meri talkhiyun ko sehna merey tanz pe muskuraana
Wo shakhs tha la jawaab na dil samajh saka na mein
Comment
-
Phir Issi Rah-Guzar Pe Shayed
Phir Issi Rah-Guzar Pe ShayedHam Kabhi Mil Sakein Magar ShayedJin Ke Hum Muntazir Rahey UnkoMil Gaye Aur Ham-safar ShayedJan Pehchhan Se Bhi Kya HogaPhir Bhi Aye Dost, Ghaur Kar ShayedAjnabiat Ki Dhund Chhut Jaye!
Chamak Uthey Teri Nazar ShayedYad-e-Yaaraan- e-Bekhabar ShayedJo Bhi Bhichrey Woh Kab Miley Hein FarazPhir Bhi Tu Intizaar Kar Shayed
Comment
Comment