Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Musaddaq Ki Choice
Collapse
X
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Bewafai kaa ab gila kaisa
aap pahle bhi kab hamare the
meri aankhon main phailate hoye rang
kal tak aap ko bhi pyare the
nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho
Gham to ye hai ki vo kasme waade Toot gaye
bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi
badi zaalim nihayat bewafaa hai
ye duniyaa phir bhi kitani Khush-numa hai
bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
sirf do-char savalat kaa mauqa day day
kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen
mujhe mere mitana ka Gham hai to ye hai
tumhain bewafaa kah raha hai zamana saara
na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
woho muunh chhupa ke jaaye bhi to bewafaa lage
sar jukaoge to pathar devata ho jayega
itana mat chaho use keh woh bewafaa ho jayega
terii bewafaaiyon par, teri kaj adaaiyon par
kabhii sar jhuka ke roye, kabhi munh chupa ke roye
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Bichrey huwey kuch loog yaad Aatey hain..
Aankhon mein Aansoo ban key jagmagatey hain..
Jin sey jurey hotey hain hamarii qismat key sitarey..
Woh zindagi key meley mein najaney kahan gum hojatey hain..
Zindagi bhar saath nibhaney ki qasmein khaney waley
Bheech rastey mein hi hamein tanha chor key chaley jatey hain..
Ab pata laga nazuk hotey hain yeh dil key rishtey bhi
Bass zira si thaiss lagii aur toot jatey hain..
Kiyun jatey hain kuch loog hum sey rooth key itni duur
Key phir chahein bhi to loot key nahi Aatey hain..
Bichrey huwey kuch loog yaad Aatey hain...
Aankhon mein Aansoo ban key jagamagatey hain
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian, Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain, Kabi Geet Labon per latey hian
Kabi Sab ka Dil Behlatey hain, Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain, Kabi Lambi Taan ker sotey hain
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Ashk mager
Har baat poorani kehdein ge
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostKuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Ashk mager
Har baat poorani kehdein geAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Jaate Jaate To Agar Aankh Bhar Aati Nahin......
Mujhe Bhi Shaayad Kabhi Teri Yaad Aati Nahin....... .
Pata Nahin Kuchh Un Mein Hai, Ya Un Ke Dil Mein Chor Hai....
Un Ke Chehre Par Meri Nazar Tik Paati Nahin....... ..
Samajh Hee Aata Nahin Ye Rog Kya Hai Ishq Ka......
Neend Aati To Hai Lekin Neend Hee Aati Nahin......
Tu Agar Mil Ke Mujh Se Door Karti Sab Gile........ .
Main Bhi Pachhtaata Nahin Tu Bhi Pachhtaati Nahin. ......
Tu Bata Main Kaise Samjhoon Tere Dil Ki Baat Ko........
Apni Khwahish Tu Zabaan Par Jab Talak Laati Nahin.......
Ek Hum Hain Jo Unhein Bhool Hee Paate Nahin....... ..
Ek Wo Hain Jinhein Hamaari Yaad Tak Aati Nahin. .........
Ishq Ki Daastaan Ajeeb Daastaan Hai Jo.......... ......... ..
Samajh To Aati Hai Lekin Samajhai Jaati Nahin....... ..Last edited by musaddaq; 7 April 2007, 10:41.
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
Aur maazi ki bhi parchhain nahin padne daita
Mujh se ulfat ki, woh baatain to bohat karta hai
Lekin khud ko, kabhi had se, nahin bardhne daita
Dosti mujh se woh chahta to hai lekin phir bhi
Apne raazon ko kabhi, mujh pe nahin khulne daita
Pyar dil dil main woh mujh se to bohat karta hai
Us ka izhar magar, mujh pe nahin honay daita
Mujh se milne ki woh koshish to bohat karta hai
Lekin milne pe kabhi mehsoos nahin honay daita
Zindagi us ki bhi kat jati yunhi meri tarha
Lekin woh khud ko mohabbat nahin karne daita
Phool ka kam hai khushbo se chaman ko bharna
Aur kanton ko bhi bezaar nahin honay daita
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostJaate Jaate To Agar Aankh Bhar Aati Nahin......
Mujhe Bhi Shaayad Kabhi Teri Yaad Aati Nahin....... .
Pata Nahin Kuchh Un Mein Hai, Ya Un Ke Dil Mein Chor Hai....
Un Ke Chehre Par Meri Nazar Tik Paati Nahin....... ..
Samajh Hee Aata Nahin Ye Rog Kya Hai Ishq Ka......
Neend Aati To Hai Lekin Neend Hee Aati Nahin......
Tu Agar Mil Ke Mujh Se Door Karti Sab Gile........ .
Main Bhi Pachhtaata Nahin Tu Bhi Pachhtaati Nahin. ......
Tu Bata Main Kaise Samjhoon Tere Dil Ki Baat Ko........
Apni Khwahish Tu Zabaan Par Jab Talak Laati Nahin.......
Ek Hum Hain Jo Unhein Bhool Hee Paate Nahin....... ..
Ek Wo Hain Jinhein Hamaari Yaad Tak Aati Nahin. .........
Ishq Ki Daastaan Ajeeb Daastaan Hai Jo.......... ......... ..
Samajh To Aati Hai Lekin Samajhai Jaati Nahin....... ..
awesome
gr8 sharing
:rose :rose :roseAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostApne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
Aur maazi ki bhi parchhain nahin padne daita
Mujh se ulfat ki, woh baatain to bohat karta hai
Lekin khud ko, kabhi had se, nahin bardhne daita
Dosti mujh se woh chahta to hai lekin phir bhi
Apne raazon ko kabhi, mujh pe nahin khulne daita
Pyar dil dil main woh mujh se to bohat karta hai
Us ka izhar magar, mujh pe nahin honay daita
Mujh se milne ki woh koshish to bohat karta hai
Lekin milne pe kabhi mehsoos nahin honay daita
Zindagi us ki bhi kat jati yunhi meri tarha
Lekin woh khud ko mohabbat nahin karne daita
Phool ka kam hai khushbo se chaman ko bharna
Aur kanton ko bhi bezaar nahin honay daitaAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
Comment