Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Musaddaq Ki Choice
Collapse
X
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostWo khatam qaid ki miyaad bhi nahi kerta
Magar main zehmat-e-Fariyad bhi nahi kerta
Kabhi kabhi woh mujh ko itna yaad aata hai
Main zid mian aa keh usse yaad bhi nahi kerta
zid bhikya cheez haii na.hum zidf akr ghair mehsoos andaz tareeqey sey wohi kaam kr rahey hotey haii na jis ko nahi krna chahteyy :)
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Main sunn keh uss ki sab batain
Faqat itna hi kehta hoon
Khafa hona
Mana Laina
Yeh sadion se riwayat hai
Mohabat ki illamat hia
Gilay shikwe kero mujh se
Tumhian jana ijazat hai
Mager ik baat meri bhi
Zara tum yaad rakhna
Kabhi aisa bhi hota hai
Hawain rukh badalti hian
Khizain laut aati hain
Khatain ho hi jati hain
Khata hona bhi mumkin hai
Khafa hona bhi mumkin hai
Mager yeh hamesha yaad rakhna tum
Ta'aluq rooth jane se kabhi toota nahi kerta
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostBicher keh phir milain ge yaqeen kitna tha
Tha to ik khawab mager haseen kitna tha
Mera zawal se pehle woh mujh ko chor gaya
Haseen to tha hi, zaheen bhi kitna tha
jab mohabbat main dil k bajayee zehn ka istemal honey lagey tu woh mohabbat kaha rehti haii
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Batao kaisa lagta hia
kisi vairaan raste pe
Kisi anjaan raste pe
Kisi ka sath mil jana
Khushi keh phool khil jana
Batao kaisa lagta hai
or uss keh baad
phir kissi ka yun bicher jana
Sabhi rangoon ka mitt jana
Woh band muthi mian hathon ki
Faqat kuch rait reh jana
Batao kaisa lagta hia...?
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Kabhi khud bhi mera pass aa
Meri baat sunn mera sath de
Jo khalish hai dil se nikal ker
Mujhe uljhano se nijaat de
Tujhe sochna mera mashghala
Tujhe dekhna meri aarzoo
Mujhe din de apne khayal keh
Mujhe apne qurbat ki raat de
Main akela bhatkoon kahan kahan
Yeh safer bhi bohat taveel hai
Meri zindagi mera sath chal
Mera hath main apna haath de
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Udaasioon ka sabab jo likhna,
to ye bhi likhna
kay chand taaray,
shahaab ankhien badal gaye hain
wo zinda lamhay jo teri raahon mein
tere anay kay muntazir thay
wo thak kay raahon mien dhel gaye hain
wo teri yaadien, khayal tere,
wo ranj tere, milaal tere
wo teri ankhein, sawal tere
wo tum say mere tamaam
rishtay bichar gaye hain,
ujadh gaye hian
udaasioon ka sabab jo likna
to ye bhi likhna
leraztay hoonton pe larhkharhti,
dua kay soraj
peghal gaye hain
tamaam sapnay he jal gaye hain
baad marnay ke tum meri kahani likna
kese hoi bardaad meri jawani likhna
ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese
bahta raha meri ankhoon say pani likna...
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
DARD HI SAHI MERE ISHQ KA INAAM TO AYA
KHALI HI SAHI HATHON MEIN JAM TO AAYA
MEIN HOON BEWAFA SABKO BETAYA USNE
YUN HI SAHI, USKE LABHON PE MERA NAAM TO AAYA
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
mairay dil ke raakh kuraid mat, iss muskura kay hawa na day
yeah charagh phir bhi charagh hai kaheen taira hath jala na day
naye door kay naye khawb hain, naye mousmoon kay gulaab hain
yeah mohabtoon kay charagh hain inhain nafratoon ke hawa na dai
zara diakh chand ke patiyoon nay bikhar bikhar kar tamaam shab
taira naam likha hai rait par koi lehar aa kar mitta na day
mein udaasiyaan na saja sakoon kabhi jisam o jaan kay mizar par
na diyeah jallain mairi ankh mein mujhay itni sakhat saza na day
mairay sath chalnay kay shouq mein bari dhoop sar pay uthaye ga
taira naak naqsha hai moum ka kaheen gham ke aag ghulla na day
mein ghazal ke shabnami ankh say yeah dukhoon kay phool chuna karon
mairi saltanat maira fun rahay mujh taj o takhat khuda na day..
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
sabhi say in dinoon roota howa sa lagtta hoon
mein apnay aap ko aab bay'wafa sa lagta hoon
tamaam raat mein girti hoi havailee mein
diloon say nikli hoi bad'dua sa lagta hoon
mein woh khazana hoon haqdar jis ke duniya hai
hazar hisoon mein banta howa sa lagta hoon
mairi hansi say udaasi kay phool khiltay hain
mein sab kay sath hoon laikin juda sa lagta hoon
chamak raha tha, chehra kissi ke ankh mein
mein aainay mein kissi dosra sa lagta hoon
tamam raat barasti hai, rait par shabnam
mein apnay chand say jab bhi khafa sa lagta hoon
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Meri aankhoon ko palkoon pe machalna bhi nahi aata
Hisar-e-zabt se mujh ko nikalna bhi nahi aata
Gaya ho aisi raahoon mian akela chhor keh mujh ko
Keh jin pe theek se mujh ko to chalna bhi nahi aata
Mujhe lagta hai keh mian woh gham ak sooraj hoon
Keh jiss ko sham ho jane pe dhalna bhi nahi aata
Tumhrai berukhi unhian ek din barbaad ker de gi
Jinhain nazron se gir keh phir sanbhalna bhi nahi aata
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Kisi se be-sabab uljha nahi tha
woh pehle toh kabhi aisa nahi tha
woh phir b yaad rehna chahta tha
agerche mein use bhoola nahi tha
buhat aala tha uska zarf lekin
woh meri zaat ka samjha nahi tha
woh jase be-rukhi se chal para tha
mein itna b gaya guzra nahi tha
usey mein kyun bura thehraoon yaro!
woh accha tha faqat mera nahi tha.
Comment
Comment