Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ Shairana Bait Bazi ~

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

    yaad-e-maazi mein khoney ko dil karta hai
    apney khawabon peh roney ko dil karta hai
    unhein paa ker kho diya hai main ney Masood
    aisey naseebon peh roney ko dil kart hai
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

      yeh aankhein kyun roti hein?
      dil ka dard jab hud say siwa ho ja-ay
      zabt jab bardasht say bahir ho ja-ay
      dukhoun ki barsaat har dum rawan ho ja-ay
      TU
      Khushiyun kay angaray, dhektay angaray...
      bujhnay lagtay hein
      aur inn bujhtay angaroun say
      jab dhuwan othnay lagay
      tu
      WO dhuwan Aankhoun mein bhar ja-ay...
      yeh aankhein tab hee Routi hein.........!@@@

      Comment


      • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

        na ho pareshan aey dil key raah-e-muhabbat mein
        aatey rehtey hain aisey imtihaan bohat
        kabhi apnon key hathon woh teer khatey hain
        kabhi khoon rulatey hain anjaan bohat
        kabhi mehboob apni muhabbat ko pas-e-pusht daal ker
        leta hai sabr-o-sakoon ka imtihaan bohat
        kabhi dard ka ik badal barasta hai is tarha
        keh dukhon key aatey hain toofan bohat
        kabhi unkey ik ibtisaam ki khatir
        tootney lagtey hain dil key armaan bohat
        kabhi aey dil pareshan na hona keh yeh raah-e-muhabbat
        leti hai sabar-o-sakoon ka imtihaan bohat
        fi badeeha
        Last edited by Masood; 29 October 2006, 15:19.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

          :thmbup: Buhat Khoob Buhat hee Khoob

          Comment


          • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

            Tamanah !!!
            un-daykhi un cho-eei ek kahani hay
            mein itni dayr say yeh saoch kar
            haathoun ko yun apnay
            hawa mein kholay baythi hoon
            keh choo loon oss ki tamanah ko
            ya
            PA lay mujh say WO meri....
            Last edited by Gul; 29 October 2006, 15:36.

            Comment


            • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

              yeh baat wazeh hai aey dil tera yahan koi sahara nahin
              beech bhanwar woh nao hai to jiska koi kinara nahin
              dabo dey ab yeh kasht-e-doraan iskey siwa koi chara nahin
              hamein koi chahey ga kyunker? is chaman mein koi hamara nahin
              kis ka hai intizaar hamein, ham kis key muntazir sey hain?
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                na oljiyay hathoun ki lakeeroun say huma aaj
                khaki hay haath naqsh tu mit mit k banein gay.......!
                felbadeeh!
                Last edited by Gul; 29 October 2006, 16:07.

                Comment


                • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                  yeh kis ney kaha keh na uljho tum taqdeeron sey
                  taqdeer sey uljho gey nahin to tabeer nahin miley gi
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                    yeh yaad tu ek azab hay , magar piyar bay-hisab hay
                    ab in jazboun ka hisab duo, yeh zindgee ki kitab hay

                    yeh jo zindgee ki kitab hay , yehan hadisa hee nisab hay
                    yeh jo waqia jis mein hum milay, innhi Hadsoun ka jawab hay

                    iss dil k khana-e-naaz mein, kai aay-nay hein jarray howay
                    kahin oss mein khud apna aks, kahin chahra woh bayniqab hay

                    wo yaad hay gar azab jo, tu skonn-e-jaan bhi hay ossi ka nam
                    jo sahifa-e-dil ko palat bhi lo, tu ossi k naam har baab hay

                    yeh dhundh c kyun chaa gai, jo sitaray chamkay Aayoon mein
                    jab ashk hee sab zabt ho gay, tu rooh mein kaisa sailab hay

                    ess yaad k gagun pay huma, kiya abr hein siya cha-aay howay
                    wo jo ho roo-baroo tu guman karoun, k hay KAFIYAT ya saraab hay..

                    Comment


                    • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                      kabhi to kisi aur harf per khatam kar diya karo :(
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                        Yaad tumhari aa gaii tum na aaey saajna
                        chuney they jo tumharey liyey phool, murjhaey saajna
                        yaad tumhari aatey hi ik ghamon ka shehar bas geya
                        aaj ham ney hans hans key dil key zakhm dikhaey saajna
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                          Acha hay titliyun ki rafaqat mein rahay GUL
                          Acha hay kuch khawab hi saja-ay payhum GUL
                          Acha hay keh dil ki rahi koi khawhish nahi baqi
                          Acha hay keh tuhfay mein bhyajay hein aks-e-GUL


                          ek dum filbadeeh:)
                          ab khush hein aap :P

                          Comment


                          • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                            laash uthaey phirta hoon gali gali armano ki
                            na koi samjhey na koi jaaney kahani ham deewano ki
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                              yeh dard ossKi Shoakh nighahi nay diya
                              yeh dard dil mein kahan othha tha pehlay
                              bass lazat-e-dard say shanasa-ie ho gai
                              phir jagratoun ka tuhfa ghum-e-hijar nay diya
                              Last edited by Gul; 29 October 2006, 17:22.

                              Comment


                              • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                                Aankh-o-Dil

                                aankhein kitni pagal hain
                                ik sadma bhi na sah sakein
                                purnam ho gaii hain

                                badan ka hai ik juz dil
                                per nahin itna buzdil
                                sad gham sahey per na hara himmat

                                raaz-e-muhabbat aashkaar huwa aainah-e-nigah sey
                                dil pareshan huwa is zahiri sey
                                shikwa dil ney nigah sey kiya to boli
                                nazara main karti hoon, hawas tu karta hai
                                badnam main hoti hoon qasoor tera hota hai
                                per ab khush hoon main keh tu tarrap raha hai
                                purnam hoon main to kya gham?
                                beqrar to tu bhi hai.....
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X