Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ Shairana Bait Bazi ~

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

    :)
    dyhkhiyay dard na-ay yaad dila dyatay hein
    hum ko aanso bhi tu aksar hee hansa daytay hein
    hum tu ronay ki nahi koi bhi sa-eee kartay
    haan magar asbab aisay ahbaab bana daytay hein
    Last edited by Gul; 28 October 2006, 16:21.

    Comment


    • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

      nazar mein apni teri tasweer rahey gi
      wabasta hamari taqdeer rahey gi
      judaii ka mausam mil key katein gey
      paoun mein muhabbat ki zanjeer rahey gi
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

        yaan saans bhi laina tu hamien ho giya doobhar
        hum ko tu na qismat pay yaqeen koi hee raha..
        hum dil k rabt ko lay kay chalay thay ek maan say
        kia dard otha rooh mein k makeen choot hee raha
        Last edited by Gul; 29 October 2006, 09:37.

        Comment


        • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

          Aaey ga ik din aisa bhi keh badley gi meri taqdeer
          dekhey hain jo main ney khawab miley gi unki ta'beer
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

            raha na dil ka sakoon ab kay
            chahtein bhi rahein adhoori ab kay
            fasana ho gay hum keh k raz-e-dil
            qissay yun warq warq ho gay ab kay

            Comment


            • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

              Yeh kaisi duniya hai teri ya rab tu hi btaa dey
              main ney dhoondhey na paey hamdard ghamkhawar key
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                yeh zindgee tu koi dum ki howi mehmaan loago
                keh raat ka yeh pehar mujh say juda howa jata hay
                meray laboun pay aahoun nay aa k dam tora
                keh jaisy phooloun say rang juda howa jata hay
                mein apnay dard kis say biyan karti huma~
                keh mera saya hee mujh say juda howa jata hay
                Last edited by Gul; 29 October 2006, 11:30.

                Comment


                • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                  yahan merey ashkon ki qeemat kuchh nahin hai
                  aey dil gila na kar keh yeh duniyaa haseen hai
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                    yun tu insanoun nay rakhi haay aaisi aabroo zamnay ki
                    jin ko maana tha rehbar wo hee tu rahzan karwan niklay
                    keh jin ko soachtay saochtay yeh zindgee guzri huma~
                    tanhai mein charaghoun say ban kay wo dhuwan niklay

                    Comment


                    • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                      fi badeeha

                      Yehi dua hai meri keh mera dil pathar ho jaey
                      tujhey rahey gi aasani, aey thokar laganey waley
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                        yeh mera jeewan hay yeh mein hoon
                        toota tara jaisay koi
                        bass ek lamhay ko ek lapak c
                        ek koonda roshni ka
                        ek chamak c
                        dikhai day jo lamha bhar tu
                        kheera kar day jo nighahein
                        aur phir ghana andhera.....
                        yeh mera jeewan hay yeh mein hoon...........!

                        Comment


                        • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                          fi badeeha

                          nam aankhon mein teri tasweer liyey phirta hoon
                          apney hathon mein apni taqdeer liyey phirta hoon
                          kho di hai yehi kahin main ney hasti apni
                          bikhrey huwey khawabon ki tabeer liyey phirta hoon
                          Last edited by Masood; 29 October 2006, 14:10.
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                            na mein pathar hoon
                            na tum ko hee sang*( pathar) bolna chahoon
                            na hee jazboun ka kuch izhar mein chahoon
                            kisi sang*( Sath) say
                            na wo pathar kahin PA-oon
                            jo kar dein tera aang zukhmi
                            na lamhoun ki saza khud ko mein doun
                            jo phooroun mein sar sang say
                            na janoo yeh keh tum thay SANG k ya kisi GUL k
                            magar hum thay guloun jaisay ,
                            howay hein lahoo jo ab ..kiya hay
                            lagaya hum nay har ek khar ko kanakr ko seenay say
                            keh khar hotay hein wahin per k jahan GULZAR hotay hein
                            Deewanay jo houn kisi kay wahi tu SANGSAAR hotay hein..............!
                            Last edited by Gul; 29 October 2006, 14:20.

                            Comment


                            • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                              Originally posted by Gul View Post
                              na mein pathar hoon
                              na tum ko hee sang*( pathar) bolna chahoon
                              na hee jazboun ka kuch izhar mein chahoon
                              kisi sang*( Sath) say
                              na wo pathar kahin PA-oon
                              jo kar dein tera aang zukhmi
                              na lamhoun ki saza khud ko mein doun
                              jo phooroun mein sar sang say
                              na janoo yeh keh tum thay SANG k ya kisi GUL k
                              magar hum thay guloun jaisay ,
                              howay hein lahoo jo ab ..kiya hay
                              lagaya hum nay har ek khar ko kanakr ko seenay say
                              keh khar hotay hein wahin per k jahan GULZAR hotay hein
                              Deewanay jo houn kisi kay wahi tu SANGSAAR hotay hein..............!
                              Alfaaz ka kya haseen istimaal hai - bohat khoob! :phool:


                              naag sey kali zulfein unki bohat bad'khu hain
                              laakh sanwara unki zulf ko magar kham rahi
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                                Shukriya NAwazish janab:)
                                yad-e-maazi hay gar tu azab tu ho ga loago
                                aaj chalo ossKohee duhra-ein k jee chahta hay
                                Buhat din guzray keh kuch dard nahi howa humKo
                                aaj kuch zukham puranay he jaga-ein k jee chahta hay
                                Aankh bhar aana judai mein tu koi baat nahi
                                Aaj WO jee bhar k rulaein keh jee chahta hay
                                Hum kamNaseeb jo oss tarapan ko n samjh pa-ay
                                Aaj wo hum ko phir tarpaien k jee chahta hay
                                WO jo ghabratay thay izhar-e-muhabbat say huma~
                                AAj WO hud say guzar jaein keh jee chahta hay

                                Comment

                                Working...
                                X