Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ Shairana Bait Bazi ~

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

    aaj teri yaad ka istiqbaal karein gey ham
    jitney bhi dil mein they, bhool jaein gey sab gham
    is yaad ko bnaa ker eendhan, jalaein gey dil ka chiragh
    ho jaein gey khud khak, na lagey ga tujh per daagh
    is qadar tujhey chahein gey keh fana ho jaein gey
    ishq zindah rahey ga, ham bhi zindah rah jaein gey
    phir tarrpaey gi tujh ko bhi meri yaad gori
    keh woh aa rahi hai teri yaad gori
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

      یہ ریکھاؤں میں لپٹی سی
      چمکتی دوڑتی بھاگتی سی
      زندگی۔۔۔۔ تیری امانت ہے
      یہ دِل کی بے سکونی اور
      روح کی یہ ویرانی
      سب تیری امانت ہے
      چلے آؤ کہ
      یہ ویرانیء جان ، اب جان لیتی ہے
      یہ لمحہ لمحہ گُھٹتی سانسیں
      وقت کی بڑھتی ہوئی گھڑیاں
      ہم پے بوجھ بنتی ہیں
      اب آجاؤ کہ یہ سب ہم تُم کو لوٹا دیں
      کہ جانے کب ہماری روح اور جان تھک جائیں
      یہ بوجھا ڈھے نہ جائے!

      Last edited by Gul; 1 November 2006, 11:11.

      Comment


      • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

        Bohat khoob Gul

        siraf aik shair!

        Yeh ada bhi seekhi tu ney rawaj-e-duniya sey
        shakistkhorda hai tu Masood, samaaj-e-duniya sey
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

          chalein aap ki YEY per ek shair!:)
          Yaad karti hoon mein wahi apni tanhai ki wo dhoop
          Jo tum nay cheen lee mujh say ghana saya ban kar...
          Last edited by Gul; 1 November 2006, 11:35.

          Comment


          • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

            ruswaii sey bohat khof aata hai kabhi bewafaii na karna
            merey ang ang mein racha naam tera hai sanam
            jafa ki baat kabhi main ney ki to saza dena mujhey
            mere jeewan ki ik ik sans peh haq tera hai sanam
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

              mein tum ko khojti hoon
              khud mein, rooh mein, lamhoun mein
              ya lamhoun kay girtay bhagtay
              mit-tay har ek pal mein
              mein tum ko khojti hoon

              pehroun say tehri doo-pehroun mein
              ya in pehroun mein jo ratoun mein ban ja-ein sadiyun say
              ya sadyun say guzartay bhagtay howay
              har ek pal mein
              mein tum ko khojti hoon

              kho-ay dino ki musafat mein ,
              ga'y lamhoun ki rafaqat mein
              tasal-sal toot sa jaata hay jab kahin
              munn cha-hay dardoun ka
              wahin bin dard aur baydard dabi sansoun say jeewan mein
              Mein tum ko khojti hoon

              tanhai mein wisaloun ki
              subah mein ojaloun ki
              kahin jo bheer c lag ja-ay
              khiyaloun mein sawaloun ki
              tu ghabra kar, olajh kar
              baychain c ho kar
              Mein Tum Ko Khojti hoon
              Last edited by Gul; 1 November 2006, 12:10.

              Comment


              • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                Originally posted by Masood View Post
                Shabash D_I_L aap khud hi sari bait bazi kar lijiye jab farigh ho jaein to hamein bula lijiye ga :lol
                Bus bhai DIL ka DIL ker raha tha na to bus phir jahan DIL ki marzi ho wahan hum ghareeb kai karen :blush:
                Mainda Ziker Vi Tu'n, Mainda Fiker Vi Tu'n
                Mainda Zoaq Vi Tu'n, Vajdaan Vi Tu'n
                Mainda Aval, Akhir, Ander, Bahir
                Zahir Tey Pinha'an Vi Tu'n
                Mainda Bakht Tey, Naam Nishan Vi Tu'n

                Comment


                • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                  Originally posted by Gul View Post
                  mein tum ko khojti hoon
                  khud mein, rooh mein, lamhoun mein
                  ya lamhoun kay girtay bhagtay
                  mit-tay har ek pal mein
                  mein tum ko khojti hoon

                  pehroun say tehri doo-pehroun mein
                  ya in pehroun mein jo ratoun mein ban ja-ein sadiyun say
                  ya sadyun say guzartay bhagtay howay
                  har ek pal mein
                  mein tum ko khojti hoon

                  kho-ay dino ki musafat mein ,
                  ga'y lamhoun ki rafaqat mein
                  tasal-sal toot sa jaata hay jab kahin
                  munn cha-hay dardoun ka
                  wahin bin dard aur baydard dabi sansoun say jeewan mein
                  Mein tum ko khojti hoon

                  tanhai mein wisaloun ki
                  subah mein ojaloun ki
                  kahin jo bheer c lag ja-ay
                  khiyaloun mein sawaloun ki
                  tu ghabra kar, olajh kar
                  baychain c ho kar
                  Mein Tum Ko Khojti hoon
                  Nahi hai tujh say gila kuch b ab aye jaan-e-jaan
                  Rahi na koi b hasrat tujhaye ab panay ki
                  Mainda Ziker Vi Tu'n, Mainda Fiker Vi Tu'n
                  Mainda Zoaq Vi Tu'n, Vajdaan Vi Tu'n
                  Mainda Aval, Akhir, Ander, Bahir
                  Zahir Tey Pinha'an Vi Tu'n
                  Mainda Bakht Tey, Naam Nishan Vi Tu'n

                  Comment


                  • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                    Great I Also Write A Poetry.
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                      Originally posted by DIL View Post
                      Nahi hai tujh say gila kuch b ab aye jaan-e-jaan
                      Rahi na koi b hasrat tujhaye ab panay ki

                      Yun na yaad aa keh main bhool ker
                      Tera naam lay k yeh keh othoon

                      Keh tu hee tu woh nafas hay jo
                      Meray dil mein hay aa k bassa huwa

                      Comment


                      • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                        aaj merey dil mein ajab halchal hui hai
                        meri jaan-e-mehboob kahin bekal hui hai
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                          Yeh insani sabhi rishtay
                          Jaisy reshmii dhagay
                          bayhad haseen aur chamk-eelay
                          Khushrang bahrk-eelay
                          Dahnak mein tu saat(7) hee rang hein
                          par inn k hein hazaroun rang
                          jinkay apnay hee kuch dhang hein
                          har dhaga alag alag sa hay
                          magar sanjoag say mehka hay
                          laikin onn sabhi rangoun mein
                          ek KAM FEHMI ka rang b hay
                          aur Yeh sab say alag b hay
                          kuch bayrang sa b hay

                          Yeh OLJHAY jo ONN KHUSHRANG dhagoun mein tuo,
                          Koi sira dhoondh na pa-ay
                          Buhat koshish kar bhi lay tuo,
                          yeh jaan nahi pa-ay

                          keh kahan ja k atka hay
                          magar sab DHAGOUN ko aisay yeh OLJHA-ay
                          keh koi suljha nahi pa-ay
                          yeh INSANI sabhi RISHTAY:comfort:
                          Last edited by Gul; 6 November 2006, 15:15.

                          Comment


                          • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                            yeh khawabon key dhaagey uljhey huwey hain
                            koi sira nahin milta suljhaein kahan sey
                            dhoondhey chala jata hoon samundar ki ret per
                            terey naqsh-e-paa nazar aaein kahan sey
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                              Yaad ki gali mein ikaa duka musafir khiyal
                              ghutt rahi hey seenay mein koi dard bhari sham

                              Comment


                              • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                                Merey jazbaat ki lo terey dam sey hai hamdam
                                tu nahin to in chiraghon mein lo bhi na ho
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X