Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ Shairana Bait Bazi ~

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

    yeh suntey hain keh dil ko dil sey aksar raah hoti hai
    yeh jo tum tardapti ho kisi key dil may koi chah hoti hai
    jo bhi kehna hai tho azraah-i-karam khud he kahain
    tera sunna tho asal may dil-i-beemaar ki dawa hoti hai

    Comment


    • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

      Dil se dil ka rishta bhi ajeeb hota hai
      kisi ka milna na milna, naseeb hota hai
      is rishty ki tarap yaksaa.n hoti hai sab mein
      chahy is tarap ka derd, shadeed hota hai

      Comment


      • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

        ye sisila mujh ko ehd-u-paiman lagta hai
        tera nahi maalum mujeh aasaan lagta hai
        bardh gai tardup meri maalum ho gaya
        mosam ho khushgawar ye imkaan lagta hai
        Last edited by Mujahid Khan; 28 May 2007, 20:50.

        Comment


        • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

          achi hain choice

          Comment


          • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

            ye choice nahin ....sab ki apni koshish aur kawaish hai ..:)

            Comment


            • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

              Originally posted by ahsaas View Post
              ye choice nahin ....sab ki apni koshish aur kawaish hai ..:)
              right:thmbup:

              Comment


              • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                Her kisi ko chahy jany ka imkaan nahin hota
                Toote sitare ka koe asmaan nahin hota
                ker jayein jo apna izhaar waqat per, werna
                Waqat her kisi per maherbaan nahin hota

                Comment


                • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                  imkaan muhabbat sey agar begaaney lagtey hain
                  sitaarey toot kar aasman sey deewaney lagtey hain
                  muhabat may kisi izhar ki khushbu ho shamil tho
                  suraj chand sitaron ko kiun mehkaney lagtey hain

                  Comment


                  • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                    Muhabbat ki choot ..
                    kion itni gahri hoti hai
                    dunya ki rasmon se
                    kion itna be-bahra hoti hai
                    bherta nahin is ka ghao asani se
                    rait pe likhy naam mit jaty hein pani se
                    ye derd main ny saha hai
                    kisi ko khony ka derd
                    kesa hota hai ye
                    ye tum nahin jan pao gy
                    jano gy tab
                    jab muhabbat mein choot khao gy
                    mager hum janty hein
                    tumko adat nahin hai ye sahny ki
                    bin kahy hi samjh jaty thy tumhari her baat
                    tumko zarorat nahin her baat kahny ki
                    mager jab Ehsaas kho jaye
                    koe kisi ka ho jaye
                    lafzon ka sath zarori hai
                    k woh Ehasaas pora ho jaye
                    mager ye tum nahin jan pao gy
                    jano gy tab
                    jab muhabbat mein choot khao gy

                    Comment


                    • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                      no body here???

                      Comment


                      • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                        mey ban jaaoon keh ik titly
                        yaa hon merey do par
                        keh urd jaaoon jahan pe ho
                        merey sapnon ka ghar
                        woh jo uss ke dil mey hai
                        jahan karti hai woh
                        dil ki gehraai sey
                        woh beqarar
                        mey beqarar
                        baar baar
                        intizaar
                        uss ki saanson mey ho
                        meri saanson mey woh
                        uss ki aankhhon mey main
                        meri aankhhon mey woh
                        dekhey mujeh
                        mey dekhhoon ussey
                        aur chal parden
                        jahan na ho
                        koi afssos naa khatar
                        naa paraae ka gham
                        na apnon ka dar
                        ho aisa teraa
                        aur merey sapnon ka ghar

                        Comment


                        • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                          mere ander se ik awaz ati hai
                          koe hai jo mujh ko batati hai
                          koe mujhy yaad kerta hai
                          khawbon mein
                          Sochon mein
                          Baton mein
                          bas mera hi zikker kerta hai
                          mere anson ko apni nerm pulkon per
                          sajata hai
                          mere sare dukh
                          woh apny bana leta hai
                          her ahat per
                          usy mera hi gumaan hota hai
                          najany kon hai woh
                          ik anjaan sa
                          masoom sa khyal
                          bas ik khyal

                          Comment


                          • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                            dil say nikly hui jo saaz hoti hai
                            terey ander woh ik awaaz hoti hai

                            jo bhi kehti hai woh sargoshi may
                            dilon key beech woh humraz hoti hai

                            koi tho hai jo tujeh yaad karta hai
                            terey dil say bhi woh parwaz hoti hai

                            soch aur baton may tera zikr karta ho
                            yeh bunda-e-momin ki nimaaz hoti hai

                            narm palkon pe sajaae woh aansu terey
                            khud dard may lipti hui awaaz hoti hai

                            her aahut pe usko tera guman hota hai
                            teri guman key taar pe bhi saaz hoti hai
                            Last edited by Mujahid Khan; 17 June 2007, 19:15.

                            Comment


                            • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                              Originally posted by sensible View Post
                              dil say nikly hui jo saaz hoti hai
                              terey ander woh ik awaaz hoti hai

                              jo bhi kehti hai woh sargoshi may
                              dilon key beech woh humraz hoti hai

                              koi tho hai jo tujeh yaad karta hai
                              terey dil say bhi woh parwaz hoti hai

                              soch aur baton may tera zikr karta ho
                              yeh bunda-e-momin ki nimaaz hoti hai

                              narm palkon pe sajaae woh aansu terey
                              khud dard may lipti hui awaaz hoti hai

                              her aahut pe usko tera guman hota hai
                              teri guman key taar pe bhi saaz hoti hai
                              buhat khoobbbb:phool: :rose


                              Kabhi Ankahi baton per yaqeen mat kerna
                              Pori hony per ye apny mayni badal leti hein

                              Jo chupa hota hai in lafzon mein sacha Raaz
                              Us Raz ko waqat se pahly hi Faash ker deti hein

                              Kitny maan se kahy hoty hein ye Alfaaz hum ny
                              Mager ye hamare maan ko bhi daga de jati hein


                              Comment


                              • Re: ~ Shairana Bait Bazi ~

                                pul bhar ka deedar mulaqaath nahi hai
                                ho baath ankahi tho koi baath nahi hai



                                Comment

                                Working...
                                X