Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    Karain Ge Tark-e-Taaluq Ye Tum Se Wada Raha,

    Badan Se Saans Ka Rishta To Toot Jane Do…!

    Comment


    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      Walaikum Assalaam

      Kia baat hay life jee, bohat hi khoobsurat collection hay aap ki, main tou abhi tak srif 2 page hi paRh paaya, I am sure kay baaqi bhi bohat achay hoongain, jald hi paRhoon ga :)

      Meri jaanib say yeh sha'air iss mehfil-e-sukhun ki nazar (pata nahin shayed aap nay share kia hoon, paishgi maazrat ) :)


      Aiy Dost Hum Nay Tark-e-Ta'aluq Kay Bawajood
      Mehsoos Ki Hay Teri Zaroorat Kabhi Kabhi.......!
      sigpic

      Comment


      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        Humi ne tark-e-taluq main pehel ki ke Faraz,
        Woh chahtaa tha magar hauslaa na tha us ka..

        Comment


        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          Ay Dost Hum Ne Tark-e-Taluq Ke Baad Bhi....

          Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhie Kabhie~

          Comment


          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            Yaro usi ky dam se hain maqtal ki ronaqain……

            Qatil ko zindagi ki dua daina chahey..

            Mohsin talu-e-ashq dalil-e-sahar bhi hai…..

            Shab kat gai charagh bhuja daina chahey

            Comment


            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              Chashm-e-Num Teri Rawani Se Alag Rehta Hon

              Aag Hi Aag Hon Pani Se Alag Rehta Hon
              Gumshuda hon Dhoond Mat Mera Naam-o-Nishan

              Mai To Her Yaad Dehani Se Alag Rehta hon

              To Mere Tazkara-e-Ishq Mai Kyoun Rehta Hai

              Mai To Khud Apni Kahani Se Alag Rehta Hon

              Phool Se
              Tark-e-Taluq Ko Zamana Guzra

              Ab To Mai Teri Her Nishani Se Alag Rehta Hon

              Ek Se Hain Mujhe Sub Hazir-o-Ghayib
              Mai Tere Aalam-e-Fani Se Alag Rehta Hon.

              Comment


              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                ‫بات اکثر گئ ہے ترک تعلق پہ مگر
                ہم محبت سے محبت کو بچا لیتے ہیں۔

                Comment


                • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  Jin rahon pe ik Umar tere sath raha hoon,
                  Kuch roz se wo rastay Sunsaan bohat hain,

                  Mil jao kabhi lout k phir aaon na shayad,
                  Kamzor hun ma raah mai toofan bohat hain,

                  Ek tum he nai meri judai mai pareshan,
                  Hum bhi Teri chah mai veeran bohat hain,

                  Ek Tak-e-wafa pe mai usse kaise bhula doon,
                  Mujh Par bhi us shakhs k ehsaan bohat hain,

                  Bhar aaen na aankhain tou mai ek baat bataun,
                  Ab tujh se bichar jaane k imkan bohat hain..............

                  Comment


                  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
                    Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

                    Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
                    Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

                    Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
                    Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

                    Bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
                    Bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

                    Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
                    Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

                    Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
                    Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

                    Duain us ki balaon ko rook laiti thin
                    Woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

                    Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
                    Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

                    Usay nadamatain mairi kahan gawara thin
                    Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

                    Comment


                    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
                      Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,

                      Miley to toot roye na khul ke batain keen,
                      Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,

                      Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
                      Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,

                      Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
                      Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,

                      Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
                      Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.........

                      Comment


                      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        Originally posted by thefire1 View Post
                        Walaikum Assalaam

                        Kia baat hay life jee, bohat hi khoobsurat collection hay aap ki, main tou abhi tak srif 2 page hi paRh paaya, I am sure kay baaqi bhi bohat achay hoongain, jald hi paRhoon ga :)

                        Meri jaanib say yeh sha'air iss mehfil-e-sukhun ki nazar (pata nahin shayed aap nay share kia hoon, paishgi maazrat ) :)


                        Aiy Dost Hum Nay Tark-e-Ta'aluq Kay Bawajood
                        Mehsoos Ki Hay Teri Zaroorat Kabhi Kabhi.......!

                        hosla afzai ka bohat bohat shukrya...

                        thefire ji..

                        Comment


                        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna,
                          Hain log bohat khaas humain aam na karna,

                          Janey ki ijazat to diye dete hain lekin,
                          Raste main kahin aate huye shaam na karna,

                          Kuch roz se yeh haal hai chahat mein tumhari,
                          Bekaar parre rehna koi kaam na karna,

                          Main bhi na dikhaon ga sar-e-raah girebaan,
                          Tum bhi mere waadon ko sar-e-aam na karna,

                          Is shart pe hai tark-e-taluq ki ijazat,
                          Badnaam zamane mein mera naam na karna,

                          Hum log palat aaney ki khaatir nahin jate,
                          Waa sham ke baad apne dar-o-baam na karna,

                          Yadon ka nasha hosh urra deta hai Arshad,
                          Saaqi se kaho samne ab jaaam na karna..

                          Comment


                          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Ussay Kehna Ameer-E-Sheher Kabhi Sir Neecha Nahi Kartay

                            Ana K Hum Kisi Bhi Haal Main Soda Nahi Kartay



                            Agar Ghum Hadd Se Barh Jayein Tu Ansoo Aa Hi Jatay Hain

                            Magar Hum Apni Aankhon Ko Kabhi Darya Nahi Kartay



                            Khushi K Saray Mosam Dosron Main Baant Daitay Hain

                            Faqat Aik Dard I Dulat Hai Jo Baanta Nahi Kartay



                            Hum Ehl-E-Ishq Ki Fitrat Se Saray Log Waqif Hain

                            K Hum Kuch Kar Guzartay Hain Magar Socha Nahi Kartay



                            Karain Gay Tum Se Hum Tark-E-Taluq, Yeh Kaise Mumkin Hai

                            K Hum Tu Dushmanon Ka Sath Bhi Chora Nahi Kartay

                            Comment


                            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                              Arzu kr na saki tark-e-taluq ko qabool...

                              FIZA tum se bichrey to tumhari yad k ho baithey

                              Comment


                              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                Seekh liya hum ne bhi tark-e-Taluq kerna,
                                Mohabbat dety dety hum ne apni Qadar kho di

                                Comment

                                Working...
                                X