Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    Keren gay tark-e-talluq ye tum se wada raha......

    Badan se saans k rishta to toot janay do.....

    Comment


    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      Wohi Raton Ki Bedari Hai Ab Tak,

      Tamanna Ka Safar Jari Hai Ab Tak,

      Khayal-E-Zabt Or tark-e-talluq,

      Yahi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

      Akelay Chandni Raton Main Dil Ko,

      Sulag Uthnay Ki Beemari Hai Ab Tak,

      Abhi Pichlay Dinon Jo Hum Pe Guzri,

      Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

      Badan Se Ho K Jo Roohon Mein Utri,

      Usi Qurbat Ki Sarshari Hai Ab Tak,

      Chaman Se Kar To Loon

      Hijrat Main "FARAZ"

      Parindon Se Meri Yari Hai Ab Tak. .

      Comment


      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        tark-e-talluq Ka, Jo Ban Gayi Sabab,

        Wo Baat Thi Zaraa Si, Magar Yaad Ab Nhai.

        Comment


        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          Yeh kye keh tum hi gham-e-jihr kay fasaanay kaho

          Kabhii tou uss kay bahaanay suna karo uss say



          Nasiib phir koii taqreeb-e-qurb ho keh na ho

          Jo dil main hon wohii baatain kiyaa karo uss say



          Faraz tark-e-talluq tou khair kya ho gaa

          Yehii buhat hai keh kam kam milaa karo uss say

          Comment


          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

            Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai



            Harr Ek Masley Ka Teray; Hal Nikaal Rakhna Hai

            Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai



            Gar Jo Kabhi Tu tark-e-talluq Ki Baat Karay

            Rok Kar Tujhay Kal Pe Taal Rakhna Hai



            Teray Dard Ko Chun Lena Hai Palkon Se Apni

            Teray Waastey Khud Ko Nidhaal Rakhna Hai



            Nahi Doobnay Dena Tujhay Dukh Ke Darya Main

            Teray Wajood Ki Naaow Ko Uchaal Rakhna Hai



            Balaaon Ko Teri Duaaon Se Rook Loon Apni

            Teray Chaar Soo Apnay Hathon Ki Dhaal Rakhna Hai



            Sunaoon Aisi Dhunn Kay Na Ho Tujhko Kabhi Talab

            Apni Hansi Mein Woh Munfarid Kamaal Rakhna Hai



            Na Ho Jaye Kabhi Tujhko Meray Ro Baru Nadamat

            Teray Samnay Hamesha Aasan Sawal Rakhna Hai



            Bichar Ke Mujhse Na Jaye Tu Dunya Ki Thokaron Main.

            Tujhko Apnay Paas Rakh Kar Lazawaal Rakhna Hai



            Kho Na Jaye Tu Zindagi Ke Andhairon Main Kahin

            Teray Waastay Ujaaloon Ko Ghulam Rakhna Hai

            Comment


            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              Tark-e-Talluq Ki Wajah Kuch to Bta Dy..
              Sona
              Ab Kahan Kahan Main Khud Mein Burai Dhondu..!

              Comment


              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                Faraz tarq e talluq tou khair kya hoga

                Yehi bahut hai kam kam mila karo ussey!

                Comment


                • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  Taaruf rog ho jaaye to usko bhoolna behtar ..

                  Talluq bojh ban jaaye to usko todna acha -

                  Comment


                  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    Talluq Todta Hoon To Mukammal Tod Deta Hoon
                    Jise Main Chhod Deta Hoon Mukammal Chhod Deta Hoon

                    Comment


                    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
                      Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,

                      Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
                      Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

                      Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
                      Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,

                      Comment


                      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        Tark-E-Talluq Tu Is Tarah Na Mujhse Karta
                        Koi Shikayat Thi To Gila Mujhse Karta

                        Bicharr Ke Khud Ko Bhi Kiun Azziyat Deta Hai
                        Usko Karna Hi Tha Bura, To Bura Mujhse Karta

                        Main Bewafa Tha To Kiun Chorr Gaya Mujhko
                        Or Baawafa To Wafa Mjhse Karta

                        Hum Main Agar Na Hoti Khudsaari Ki Kho
                        Kiski Jurrat Thi Ke Tujhko Juda Mujhse Karta

                        Zaror Koi Majburi Hogi Uski WAJAHAT
                        Warna Yaqeen Hai Woh Aisa Kabhi Na Mujhse Karta

                        Comment


                        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          main aaina tha, woh mera khayal rakhti thi
                          main toot-ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi

                          har aik maslay ka hal nikaal rakhti thi
                          zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

                          main jab bhi tark-e-ta’aluq ki baat karta tha
                          woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

                          bas aik woh thi jisay ghaao, main dikhata tha
                          bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

                          woh meray dard ko chunti thi apni poron say
                          woh meray wastay khud ko nidhaal rakhti thi

                          woh doobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
                          meray wajood ki naao uchaal rakhti thi

                          duayen us ki balaaon ko rok laiti thin
                          woh meray chaar soo haathon ki dhaal rakhti thi

                          ik aisi dhun keh nahi phir kabhi main nay suni
                          woh munfarid sa hansi main kamaal rakhti thi

                          Comment


                          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
                            Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,

                            Khayal-E-Zabt Aur Tark-E-Talluq,
                            Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

                            Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
                            Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,

                            Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
                            Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

                            Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
                            Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak…….!!

                            Comment


                            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                              Tark-E-Talluq Tu Is Tarah Na Mujhse Karta
                              Koi Shikayat Thi To Gila Mujhse Karta

                              Bicharr Ke Khud Ko Bhi Kiun Azziyat Deta Hai
                              Usko Karna Hi Tha Bura, To Bura Mujhse Karta

                              Main Bewafa Tha To Kiun Chorr Gaya Mujhko
                              Or Baawafa To Wafa Mjhse Karta

                              Hum Main Agar Na Hoti Khudsaari Ki Kho
                              Kiski Jurrat Thi Ke Tujhko Juda Mujhse Karta

                              Zaror Koi Majburi Hogi Uski WAJAHAT
                              Warna Yaqeen Hai Woh Aisa Kabhi Na Mujhse Karta

                              Comment


                              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                Tark E Talluq Khel Nahi Hai Pehlay Pehal Ghabraey Bohat
                                Apni Ana Kai Pagal Pun Par Aksar Hum Pachtaey Bohat

                                Sabr O Zabt Kai Saray Bandhan Toot Gaey Hain Aaj Khalil

                                Comment

                                Working...
                                X