Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    Bohet Hii Jii Bara Kar Key
    Main Us Dam muskuraya Tha
    Bohat Khud Pey jabar Kar Kay
    Main Us Say Keh Yeh Paya Tha
    Sambhal jaon Ga Main Khud Hii
    Sabhii Zakhmoun Ko Sii loun Ga
    Bhulla Kar Sari Baatoun ko
    Akaila Bhii Main Jee loon Ga
    Bohet Hii Bey-Yaqeen Aankhoun Sey
    Us Ney mujh Ko Dekha Aur
    Bina Eik Lafz boolay wo Gya Aur Phir Nahi Aaya
    Aur Ab Tak Tark e Taaluq Ko
    Agar-Chay Umar Beetii haii
    Magar Is Dil Pey Us Kii Zaat Ka
    Jo Naqsh Qaaiyem Tha
    Kabhi dhundla Nahii hota
    Mujhe Mehsoos hota hai
    K jaisey Meray Kanooun Mein
    Wo Apni boltii Aankhoun Sey
    Sargoshii Sii Karta hAi

    Comment


    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      Hum Hi Ne Tark-E-Taluq Mein Pehal Kr li

      Woh Chahta Tha Magar Hausla Na Tha Us Ka....

      Comment


      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        Hisab-e-Tark-e-Taluq Tamam mei ne kia
        Shuru uss ne kia, Ikhtetam mei ne kia

        Comment


        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          Mujhay bhi Tark-e-Mohabbat pe Heraten hi rahin
          Jo Kam Mera Nhi tha wo Kam mei ne kia

          Comment


          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            tarkay taaluk pay rooya na tu na mai,
            yai kya ki chain say soya na tu na mai,,
            halaat ki gardish nay maar diya hamay,
            bitay yaadon kay lamho mai khoya na tu na Mai!!

            Comment


            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              men kyn na tark-e-taaluq ki ibteda kerta,,,,
              wo door daes ka basi tha kia wafa kerta,,,,
              wo mery zabt ka andaza kerney aaya tha,,,,,
              men hans k zakhm na khata to or kia kerta,,,,,
              gham-e-jahan ki mohabat lubha rahi yhi mughey,,,
              men kis trah teri chahat pe aasra kerta,,,,,???????

              Comment


              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                haqeeqat khul gae tarey tark e ulfat ki,,,

                tujhe tou ab wo pehley se bhe brr k yaad aatey hain!

                Comment


                • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  ae doost ham ne tarke taluk k bawajud ........

                  mehsus ki hae teri zrurat kabhi kabhi..

                  Comment


                  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    Main kiyon na Tark-e-Ta'aluq ki ibteda karta
                    Wo dur dais ka baasi tha kiya wafa kartA ?
                    __________________

                    Comment


                    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      Tark-e-Ta'aluq apni khata ho aisa bhi ho sakta hai
                      Woh ab bhi paa-band e wafa ho aisa bhi ho sakta hai
                      Darwazay par aahat sunkar usski taraf kiu dhihaan gaya
                      Aanay wali sirf hawaa ho aisa bhi ho sakta haI
                      __________________

                      Comment


                      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        Wo Chahe To Ab Mujh Se Tark-e-Ta'aluq Kar Le
                        Wo Meri Zindagi Hai Usay Bata ke Aayi HooN[/CVENTER]
                        __________________

                        Comment


                        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          Tark-e-Ta'aluq pe roya..............na tu na main
                          Magar ye kia k chain se soya ....na tu na maiN?
                          __________________

                          Comment


                          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Tum tark e talluq ka zikr kahin na krna aey dost
                            Main logon sai keh doon ga usey fursat nhi milti
                            __________________

                            Comment


                            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                              Jis tarha tark-e-talluq pe hai israar ab k. . !
                              Aisi shiddat to mery ehd-e-wafa mein bhi na thi. .

                              Comment


                              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.
                                Auron Se Thi Jooda Si, Magar Yaad Ab Nahi.
                                .
                                Tahreer Uskey Chehre Pe Ek Ajnabi Si Thi,
                                Aankhe Thi Aashna Si, Magar Yaad Ab Nahi.
                                .
                                tark-e-talluq Ka, Jo Ban Gayi Sabab,
                                Wo Baat Thi Zaraa Si, Magar Yaad Ab Nhai.
                                .
                                Kuch Yaad Aa Raha Hai Ke Aagaz Hijr Mein,
                                Chhayi To Thi Udaasi Magar Yaad Ab Nahi.
                                .
                                Aankho Ki Khushk Jheel Mein Utre To Ye Khula
                                Thi Rooh Kitni Pyaasi Magar Yaad Ab Nahi.
                                .
                                Kuch Usko Der Ho Gayi Aane Mein Aur Kuch,
                                Thi Umr Be Wafaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.

                                Comment

                                Working...
                                X