Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
    Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

    Comment


    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      Tark e talluq khel nahi hai pehlay pehal ghabraey bohat
      apni ana kai pagal pun par aksar hum pachtaey bohat

      sabr o zabt kai saray bandhan toot gaey hain aaj khalil
      us ki yaad ka chubta kaanta ashk e khoon rulaey bohat

      Comment


      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        Mizaaj Hum Se Ziada Juda Na Tha Uska

        Jab Apne Tor Yehi The To Kia Gila Uska



        Wo Apne Zo’m Me Tha Bekhabar Raha Mujh Se

        Usey Gumaa’n Bhi Nahi Mai Nahi Raha Uska



        Wo Barq Ro Tha Magar Reh Gaya Kahan Jane

        Ab Intazar Karen Ge Shikasta Paa Uska



        Ye Ahl e Dard Bhi Kis Ki Duhaai Dete Han

        Wo Chup Bhi Ho To Zamana Hai Ham Nawa Uska



        Hum Ne Tark e Talluq Me Pehel Ki Faraz

        Wo Chahta Tha Magar Hosla Na Tha Uska

        Comment


        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          QurbatoN me v judai k zamane mange
          Dil vo be-meher k rone k bahane mange

          Ham na hote to kisi aur k charche hote
          Khilqat-e-shahar to kahne ko fasane mange

          Yahi dil tha k tarasta tha marasim k liye
          Ab yhi tark-e-talluq k bahane mange

          Apna ye haal k ji haar chuke,lut v chuke
          Aur mohabbat vahi andaz purane mange

          Zindagi ham tere daaghoN se rhe sharminda
          Aur tu hai k sada aaina-khane mange

          Dil kisi haal pe qanay hi nhi jaan-e-Faraaz
          Mil gaye tum v to kya aur na jaane mange

          Comment


          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            Husn Jab Meherbaan Ho To kya Kijiye
            Ishq ki Maghfirat ki dua kijiye

            Is Saleeqy Se Un Se Gila kijiye
            Jb Gila kijiye Hans Diya Kijiye

            Dusron Par Agr Tabsra Kijiye
            Saamny Aayina Rakh Liya kijiye

            Aap Sukh Se Hain Tark E Talluq K Bad
            Itni jaldi Na Ye Feslaa Kijiye

            Zindgi kat Rahi Hai Barre Chain Se
            Or Gham Hon To Wo Bhi Ataa Kijiye

            Aqal O Dil Apni Apni Kahen Jb Khumar
            Aqal Ki suniye,Dil Ka Kaha Kijiye.

            Comment


            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.
              Auron Se Thi Jooda Si, Magar Yaad Ab Nahi.
              Tahreer Uskey Chehre Pe Ek Ajnabi Si Thi,
              Aankhe Thi Aashna Si, Magar Yaad Ab Nahi.
              Tark-e-Talluq Ka, Jo Ban Gayi Sabab,
              Wo Baat Thi Zaraa Si, Magar Yaad Ab Nhai.
              Kuch Yaad Aa Raha Hai Ke Aagaz Hijr Mein,
              Chhayi To Thi Udaasi Magar Yaad Ab Nahi.
              Aankho Ki Khushk Jheel Mein Utre To Ye Khula
              Thi Rooh Kitni Pyaasi Magar Yaad Ab Nahi.
              Kuch Usko Der Ho Gayi Aane Mein Aur Kuch,
              Thi Umr Be Wafaa Si, Magar Yaad Ab Nahi

              Comment


              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                Teri Khushi K Liye Jawaz-E- Tark-E- TalluQ To Kuch Nahi

                LekiN Bichar Rahi Hun Mein Tujh Sy Teri Khushi K Liye

                Comment


                • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  جب تیرا حکم ملا ، ترک محبت کردی
                  دل مگر اس پہ وہ دھڑکا کہ قیامت کردی

                  تجھ سے کس طرح میں اظہارِ تمنا کرتا
                  لفظ سوجھا تو معنی نے بغاوت کردی

                  میں تو سمجھا تھا کہ لوٹ آتے ہیں جانے والے
                  تو نے تو جا کہ جدائی مری قسمت کردی

                  مجھ کو دشمن کے ارادوں پہ بھی پیار آتا ہے
                  تیری الفت نے محبت مری عادت کردی

                  پوچھ بیٹھا ہوں میں تجھ سے تیرے کوچے کا پتہ
                  تیرے حالات نے کیسی تری صورت کردی

                  کیا ترا جسم ، تیرے حسن کی حدت میں جلا
                  راکھ کس نے تری سونے کی سی رنگت کردی

                  Comment


                  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    Teray derr say uth ker jidher jaaoon main
                    Chaloon do qadam or theher jaaoon main

                    KhumaaR un say terk-e-ta'alluk bajaa
                    Mager jeetay jee kaisay mer jaaoon main

                    Comment


                    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      Jala rakha hai ummeedoon ka diya sadyoon se;
                      Pal bhar ki khalish se isey bujha na do;

                      Mein ek na cheez sahee kisi ke dil ka hisssa hoon;
                      Mujhe yunh sufha-e-hasti se mita na do;

                      Zaib nahi deta mujhe mohabbat ka husool;
                      Nafrat hee sahee,tark-e-talluq ki magar hawa na do;

                      Comment


                      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        zabardast Top pay life ja rahi hai :em:
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          zabardast Top pay life ja rahi hai :em:

                          siso jani...

                          Comment


                          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Qurbaton Main Bhi Judaii Kay Zamanay Mangay
                            Dil Wo Be-Mehar Keh Ronay Kay Bahanay Mangay


                            Hum Na Hotay Tu Kese Or Kay Charchay Hotay
                            Khalqat -e- Shaher Tu Kehnay Ko Fasanay Mangay


                            Yahi Dil Tha Keh Tarasta Tha Marasim Kay Liye
                            Ab Yahi Tark -e- Taluq Kay Bahanay Mangay


                            Apna Ye Haal Keh Jee Haar Chukay Lut Bhi Chukay
                            Or Mohabbat Wahi Andaz Puranay Mangay


                            Zindagi Hum Teray Dagon Say Rahay Sharminda

                            Or Tu Wo Keh Sada Aainay Khanay Mangay


                            Dil Kese Haal Pay Qanay Hi Nahi Jaan -e- Faraz
                            Mil Gay Tum Bhi Tu Kia Or Na Janay Mangay

                            Comment


                            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                              Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,
                              Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..

                              Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
                              Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..

                              Comment


                              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                Taluq Torta Hun To Mukammal Torr Deta Hun
                                Jise Mein Chor Deta Hun Mukammal Chorr Deta Hun

                                Comment

                                Working...
                                X