Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
MonthlY poetry contest of month Januray.
Collapse
This topic is closed.
X
X
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
~~mErI TaNhai ~~
~~ pOeM # 29 ~~
Mohabbat bakhsh deti he.
Kabhi ra'anaiyan aisi.
K jese dhoop k hote.
Kabhi badal baras jaye.
K jese bin kahe koi.
Kahin dil min utar jaye.
Kahin pariyon ki wadi min.
Bare se takht par bethe.
Koi phoolon k daman se.
Koi rangon k anchal se.
Saron par saaebaan kar de.
Mohabbat bakhsh deti he.
Kabhi tanhaiyan aisi.
K jese aag si barse.
Jo sara tan jala rakhe.
K jese dhoop k honton ko.
Shole phir jala bethen.
K jese raste min hi.
Koi raahi bhatak jaye.
K jese man k andar kuch.
Chhanak se toot sa jaye.
K jese dil pighal jaye.
Mohabbat kya hai phir socho!
Kya ra'anai? ya Tanhai ?
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
~~mErI TaNhai ~~
~~ pOeM # 31 ~~
Abhi kuch bhi nhi badla.
Darakhton par wohi mosam abhi tak muskurate hen.
Abhi tak surmayi shamen humare sath roti hen.
Abhi tak mere honton par tumhare honton ki khushbu.
Raqs karti he.
Abhi tak meri ankhon min tumhare khawab hanste hen.
Abhi tak mere hathon par tumhari ungliyon.
Ki narm pooron se likhe sab harf.
Zinda hen.
Abhi tak mere seene min tumhari sans chalti he.
Abhi to raston par doodhiya pairon se parne wale.
Sare naqsh qayim hen.
Abhi almaariyon min sare tohfe gungunate hen.
Tumhare khat abhi bhi rat ki tanhai min mujh se.
Tumhari bat karte hen.
Bht se sal guzre hen.
Bht sa waqt beeta he.
Meri chahat nhi beeti.
Meri himmat nhi guzri.
Abhi kuch bhi nhi badla.
Abhi kuch bhi nhi badla.
Agar chaho.
Agar samho.
Meri mano.
To lout aao…
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
~~mErI TaNhai ~~
~~ pOeM # 32 ~~
Kiyon rat ki rait pe bikhre hoe.
Taaron k kankar chunti ho?
Kiyon sannate ki silwat min.
Lipti aawazen sunti ho.
Kiyon apni piyasi palkon ki jhalar min.
Khwab piroti ho? kiyon roti ho?
Ab kon tumhari aankhon min.
Sadiyon ki neend undele ga?
Ab kon tumhari chahat ki.
Haryali min khel khele ga?
Ab kon tumhari tanhai ka.
An dekha dukh jhele ga?
Ab aisa he.
Ye rat musallat he jab tak.
Ye shamayen jab tak jalti hen.
Ye zakham jahan tak chubhte hen.
Ye sansen jab tak chalti hen.
Tum apni soch k jungle min.
Raah bhatko aur phir kho jao.
Ab so jao.
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
~~mErI TaNhai ~~
~~ pOeM # 34 ~~
Waqt k uljhe uljhe dhage.
Jab dil tor k chal den ge.
Pagdandi par peele patte tum ko tanha dekhen ge.
Perhon k seene par likhe nam bhi ho jaen tehleel.
Or hawa bhi simt ko apni kar jaye tabdeel.
Bheeni bheeni khushbu hum ko har ik gaam pukare gi.
Kar k yakh basta jab hum ko barf us paar sudhare gi.
Dhoop sadaon k sikke jab kanon min khankae gi.
Girja ghar ki oonchi barji chaand ka chehra choome gi.
Barish, muskanon k moti pathar par jab phore gi.
Or barasti boondon k dharon par dhare jore gi.
Garm garm, angaron jese ansu ankh se ublen ge.
Dil k arman ik mddat k bad tarap kar niklen ge.
Jab ehsas ki dunya min phir or na ghungroo chhanken ge.
Sirf khamoshi goonje gi, tab ane wale mosam ki.
Khirki par dastak bhi na hogi kisi surili rim jhim ki.
Sham k sannate min badan par coat tumhara jhoole ga.
Yadon ka lams tatole ga, ghoor udasi chhu le ga.
Oonchi oonchi baton se tum khamoshi min shor karo ge.
Geet purane sun kar thandi sansen bhar kar bhor karo ge.
Us pal shab ki tanhai min apne dil ko shad karo ge.
Bolo, mujh ko yad karo ge?
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
~~mErI TaNhai ~~
~~ pOeM # 35 ~~
Meri be los mohabbat k gawah chaand bata.
Min ne har roz use yad kiya he ya nhi?
Wo jo maaruf he mash’hoor he logon k liye.
Dil ye us k liye aabad kiya he ya nhi?
Meri be los mohabbat k gawah chaand bata.
Min ne har roz duaon k mehakte gajre.
Jhilmilati hoi ankhon k bikharte aansu.
Gudgudate hoe ehsas ki piyari khushbu.
Us k kooche ki taraf roz pohanchai k nhi?
Meri be los mohabbat k gawah chaand bata.
Tehal kar der talak rat ki tanhai min.
Dil ki gehraiyon se min ne use socha k nhi?
Sarsarati hoi in mast hawaon ki qasam kha k bata.
Use min ne dil ki gehraiyon se toot k chaha he k nhi?
Teri hi chandni min lakh sitaron k tale.
Min ne pegham-e-mohabbat use bheja k nhi?
Meri be los mohabbat k gawah chaand bata.
Phir bhi wo mujh se khafa he to gila kis se karon?
Tu hi hamraz he, min or gawah kis ko karon?
He kiya sachai use kon batae ga bhala?
Meri be los mohabbat k gawah chaand bata.
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
~~mErI TaNhai ~~
~~ pOeM # 36 ~~
Mohabbat chikhati rahi.
Dil qatra qatra.
Rooh ki tanhaiyon min rota raha.
Aankhen tumhara aks sajaye.
Shabnam shabnam ro kar.
Nadiyan bahati rahin.
Hasraten doob gayin.
Khwab jazire gham ka samandr ho gaye.
Magr min phir bhi zinda hon.
K min ne khud se nhi.
Tumhari amanat min khyanat ki.
Tujh se kiye ahed ko pamal kiya.
Tere khayal se zehan ko azad kiya.
Kiyon ?
Ye bhi tujh se keh na paon gi.
K tera dard seh na paon gi.
Is liye sare tufan.
Apni rooh min samete.
Min apni maslehton ki dor se bandhi.
Tareek rahon pe gamzan.
Jane kis ghari.
Kon se khad min.
Mout k betah kunwen min ja bason.
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
Ab Ki Baar December
Ak Or Dukh Naam Apnay Likhwa Giya
Kese Ke Mehakti Shamo Ko
Wo Tanha Raton Main Dhaal Giya
Machaltay Jazbo Ko Wo
Sard Hawa'on Say Sula Giya
Aankhon Main Utartay Rango Ko
Wo Barishon Say Mita Gia
Bay-Bas Udaasi Tanhaii Or Dard Say Lipti Khamoshi
Har Sougaat Apni Dil Main Utaar Giya
Bohat Naaz Say Kehti Thi
Mousam December Ka
Dil Ko Bohat Lubhata Hai
Ab Ki Baar December.:sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
Jab Dil Kay Sehra Ka Mousam,
Aag Ugalnay Lagta Hai,
Jab Umar Pighalnay Lagti Hai,
Or....
Aas Sulagnay Lagti Hai,
Aisay Main,
Teri Yaad Ka Baadal Ka Ak Tukrah,
Dorr Kahi Say Cha'on Liye,
Jaltay Mousam Say Larnay Aata Hai ..... !!
Or.....
Meri Aankh Ke Sookhti Jheel Say,
Us Baadal Ka Sath Nibhata Hai,
Ashk -e- Tanhaii .... !!!!:sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
Kal Tanhaii Main Jab
Apni Dairy Ko Main Nay Khola
Bohat Say Sher Dil Ko Lagay
Bohat See Shairy Pay Dil Dukha
Ak Aaisa Safa Bhi Is Main Aaya
Likha Howa Tha Jo Aanso'on Say
Keh Us Ka Unwaan Hamsafar Tha
Wo Safa Sab Say He Moutaber Tha
Kuch Or Aanso Phir Say Safay Per Tapkay
Phir Us Say Aagay Main Parh Na Saka
Apni Dairy Ko Band Kar Kay
Us Ke Yaadon Main Kho Gia Main
Keh Wo Milti Tu Kitna Acha Hota
In He Khayalon Main So Gia Main:sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
Meray Khowabo Kay Jharoko Ko Sajanay Wali
Teray Khowabo Main Kahi Mera Guzar Hai Keh Nahi
Puch Kar Apni Nigahon Say Bata Day Mujh Ko
Meri Raton Kay Muqaddar Main Sehar Hai Keh Nahi
Chaar Din Ke Yeh Rafaqat Jo Rafaqat Bhi Nahi
Umar Bhar Kay Liye Aazaar Hoi Jati Hai
Zindagi Yoon Tu Hamaysha Pareshan See Thi
Ab Tu Har Saans Girah -e- Baar Hoi Jati Hai
Meri Ujri Hoii Neendoo Kay Shabistan Main
Tu Kese Khowab Kay Paikar Ke Tarah Aai Hai
Kabhi Apni Kabhi Gair Nazar Aati Hai
Kabhi Ikhlaas Ke Mourat Kabhi Harjaii Hai
Pyaar Per Bas Tu Nahi Mera Lakin Phir Bhi
Tu Bata Day Tujhay Pyaar Karo Ya Na Karo
Tu Nay Khud Apnay Tabas-sum Say Jagaya Hai Jinhay
Un Taman-na'on Ka Izhaar Karo Ya Na Karo
Tu Kese Or Kay Daman Ke Kali Hai Lakin
Meri Rateen Teri Khushboo Say Basi Rehti Hain
Tu Kahi Bhi Ho Teray Phool Say Aariz Ke Qsam
Teri Palkay Meri Aankhon Pay Jhuki Rehti Hain
Teray Haathon Ke Hararat Teray Sansoo Ke Mehak
Teerti Rehti Hai Ahsaas Ke Pinhaii Main
Dhoondti Rehti Hain Takha-ul Ke Bahain Tuj Ko
Sard Ratoon Ke Sulagti Hoii Tanhaii Main
Tera Alfaf -o- Karam Ak Haqiqat Hai Mager
Yeh Haqiqat Bhi Haqiqat Main Fasana He Na Ho
Teri Manoos Nigahoon Ka Yeh Mohtaat Pyaam
Dil Kay Khoon Karnay Ka Ak Or Bahana He Na Ho
Koun Janay Meray Imroz Ka Farda Kia Hai
Qurbatay Bhar Kay Pareshan Bhi Ho Jati Hain
Dil Kay Daman Say Lipatti Hoii Rangeen Nazray
Dekhtay Dekhtay Aanjan Bhi Ho Jati Hain
Meri Dar-Maanda Jawani Ke Tanhaiyon Kay
Muzmahil Khowab Ke Tabeer Bata Day Mujh Ko
Teray Daaman Main Gulistan Bhi Hain Weeranay Bhi
Mera Hasil, Meri Taqdeer Bata Day Mujh Ko !!!:sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..
Comment
-
Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
Mat Is Khowab Kay Pechay Bhago
Pather Ban Kay Reh Jao Gi
Taiz Bohat Hai Waqt Ka Darya
Tum Bhi Is Main Beh Jao Gi
Yeh Nashter Jesi Ruswaii
Bolo Kesay Seh Pao Gi
Kiya Bachoon Jesi Batoon Say
Tum Sab Ko Behla Sakti Ho
Kya Tum Apnay Mann Ke Mantak
Dunya Ko Samjha Sakti Ho
Khowaboon Jesi Bateen Kar Kay
Kiya Tabeeray Pa Sakti Ho
Baap Ke Shafqat Maa Ke Maamta
Kia Sach Much Thukra Sakti Ho?
Jis Ghar Main Parwan Charti Thi Tum
Us Ghar Ko Chorr Kay Aa Sakti Ho
Aisi Bateen Na Mumkin Hain
Bas Tum Apni Tanhaii Main
Hijar Kay Geet He Ga Sakti Ho:sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..
Comment
Comment