Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MonthlY poetry contest of month Januray.

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MonthlY poetry contest of month Januray.

    Asalam o alikum friends.



    Aja kal poetry section main khoob ronaq lagi hoe hai..
    PG pay bht poetry lovers han tu main ny socha kion na aik contest start kia jaye..
    or ap ko ap ko ummdah collection share karna ka chance mil jaye...
    ap ko har week aik toipc diya jatye ga or aap ny usi topic pay poerty share karni ho gi...
    or isi thread main share karni hai sub ny apni apni collection ..



    Rulez:
    1: poetry nazam ya ghazal ho koi qittah ya 2line poetry share na ki jaye..
    2: phly sy share ki hoe poetry count nahi ki jaye gi.
    3: apni nazam/ghazal k sath poetry no zaror likhna hai.
    4: contest ki last date 31.1.2014 hai..



    Topic:
    Iss month ap ka topic hai..

    Tanhai



    Note:
    jis member ki topic main posting ki tadaad zayada hoge
    aur poems ki quality bhi achi ho gi us ko member of the month banaya
    jaye ga..........



  • #2
    Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

    sure zaror participate karain gay :thmbup:
    main dhoundna shuru kar diti houn Tanhaai pay nazam/ghazal :fly:


    yeh bhi mention kar dain kay isi thread main sub nay post karna hai ya alug thread main :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

      ~~mErI TaNhai ~~
      ~~ pOeM # 1 ~~

      ******************



      Aksar shab-e-Tanhai me, kuch dair pehlay neend sey
      Guzri hui Dil-chuspia'n, Beetay huay Din Aaish key
      Buntay hen Shama-e-Zindagi, Aur Daaltey hen Roshni
      Meray Dil-e-Sud chaak per

      Woh Bachpan aur wo Saadgi, woh Rona woh Hansna kabhi
      Phir woh jawani kay mazay, woh Dil-lagi woh Qehqahay
      woh ishq woh ehd-e-wafa, woh wada or woh shukriya
      woh lazzat-e-bazm-e-tarb, yaad aati hen ik aik sab
      Dil ka kanwal jo roz-o-shab, rehta shagufta tha so ab
      Os k yeh abtar haal hai, ik sabza-e-pamaal hai
      Ek phool kumlaya hua, sookha hua bikhra hua
      Ronda para hai Khaak per

      Yunhi shab-e-tanhai maiN, kuch dair pehlay neeNd say
      Guzri hui na-kaamiyan, beetay huay din ranj kay
      Bantay hain shama-e-baykasi, aur Daltay haiN roshni
      Un HasratoN ki Qabr per

      Jo aarzooaiN pehlay theeN, phir Gham say hasrat ban gaeiN
      Gham dooston k faut ka, un ki jawaan mout ka
      Lay daikh sheeshay maiN meray, un hasratoN ka khoon hai
      Jo gardish-e-ayyam say, jo qismat-e-nakaam say
      Ya aish-e-Ghum anjaam say, marg-e-but-e-gulfaam say
      Khud meray Ghum maiN mer gaeiN, kis tarha paaoN maiN hazeen
      Qaaboo dil-e-baysabr per..

      Jab aah un ahbab ko, maiN yaad ker uThta hooN jo
      Yun mujh say pehlay uTh gaye, jis tarha taaier (birds) baaGh k
      Ya jesay phool aur pattiyan, gir jaiN sun qabl khizaN
      Aur Khushk reh jaye shajr

      Os waqt tanhai meri, bun ker mujassam baykasi
      Ker deti hai pesh-e-nazar, ho haq sa ik weeran ghar
      Berbaad jis ko chor ka, sub rehnay walay chal basay
      TooTay kiwaaR or khiRkiyaN, chat (ceiling) k Tapaknay k nishaN
      Pernaalay haiN rozan nahiN, yeh hall haiN aaNgan nahiN
      Perday nahiN, chilman nahiN, ik shama tak roshan nahiN
      Meray siwa jiss main koi, jhaNkay na bhoolay say koi
      Woh khana-e-shali hai dil, poochay na jis ko dev koi
      Ujra hua weeran ghar

      Aksar shab-e-tanhai maiN, kuch dair pehlay neend say
      Guzri hui dil-chuspiaN, beetay huay din aish k
      Bantay haiN shama-e-zindagi, aur Daltay haiN roshni
      Meray dil-e-sud chaak per...


      ******************


      Comment


      • #4
        Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

        ~~mErI TaNhai ~~
        ~~ pOeM # 2 ~~




        Ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki
        Us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki

        Kaise keh dun k mujhe chor diya hai us ne
        Baat to sach hai magar baat hai ruswai ki

        Wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aaya
        Bass yahi baat hai achi mere harjai ki

        Tera pehlu tere dil ki tarah abaad rahe
        Tujh pe guzre na qayamat shab-e-
        tanhai ki

        Us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
        Rooh tak aa gai taasir masihai ki

        (Parveen Shakir)


        Comment


        • #5
          Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

          ~~mErI TaNhai ~~
          ~~ pOeM # 3 ~~



          Tanhai

          Tanhai koi akelapan nahi,
          yeh rihaee hai
          azaadi hai
          awaaz hai khud ki

          Betuki duniya se door
          pechaan hai tumhari
          dosti hai yeh
          kyun kehte hain log isay mayusi?

          Kyun jatate hain koi sahanubhuti?
          yeh ek khawab, ek khayal, kho jane ki.

          Tamana hai choti si
          dil mein jhankoge
          toh pechchano gay khud ko
          Tanhai khoobsurat pholoon ka guldasta hai koi.


          Comment


          • #6
            Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

            1--

            سرور عالم راز
            ======================================
            غزل

            مرے جب بھی قریب آئی بہت ہے
            :یہ دنیا میں نے ٹھکرائی بہت ہے:

            میں سمجھوتا تو کر لوں زندگی سے
            مگر ظالم یہ ہرجائی بہت ہے

            تمہیں سرشاریء منزل مبارک
            ہمیں یہ آبلہ پائی بہت ہے

            کہاں میں اور کہاں تیری تمنا
            مگر یہ دل! کہ سودائی بہت ہے

            بلا سے گر نہیں سنتا ہےکوئی
            مجال و تاب گویائی بہت ہے

            میں حسرت آشنائے آرزو ہوں
            مری غم سے شناسائی بہت ہے

            میں خود کو ڈھونڈتا ہوں انجمن میں
            مجھے احساس تنہائی بہت ہے

            :نہ آئی یاد تو برسوں نہ آئی
            مگرجب آئی تو آئی بہت ہے:

            زمانہ کو شکایت ہے یہ سرور
            کہ تجھ میں بوئے خود رائی بہت ہے

            Last edited by .; 4 January 2014, 16:54.
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

              2--(shayara -unknown)

              نظم کا عنوان ھے “تنہائی میں بھی تنہا نہیں رھتی ھوں ”
              میرے ساحر
              تیرے خیال نے
              جس دن
              میرے احساس پر اپنے لبوں سے پیار لکھا تھا
              یوں لگا تھا
              جیسے
              میری خواہشوں کے پر وں پہ تم نے انتظار لکھا تھا
              اُس دن سے
              میں
              ھر پل تمھارے حصار میں رھتی ھوں
              اپنے ھی خیال کی بستی میں بستی ھوں
              جیسے
              بابٍ تمنا میں
              رات دن تیرا انتظار لکھتی ھوں
              اپنے گماں اور یقین کے اٍس سفر میں
              اکثر یہی سوچتی ھوں
              دیکھنے میں جتنی سلجھی تمہیں دکھتی ھوں
              خود سے اُتنی ھی الجھی رھتی ھوں
              سمٹے رھنے کے جتن میں اپنے اندر اُتنی ھی بکھری رھتی ھوں
              کیا بتاؤں
              پھر بھی
              خود کو کتنا خوش نصیب سمجھتی ھوں
              کہ
              تنہائی میں بھی تنہا نہیں رھتی ھوں

              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                3


                وہی صبح کی ویرانی

                وہی شام کی اداسی

                وہی ہجوم لوگوں کا

                وہی تنہای روحوں کی

                وہی خاموشی دل کی

                وہی سنناٹوں کی آوازیں

                وہی گم سم گم سم دواریں

                وہی رت جگے راتوں کے

                وہی میں اور تم دو ساتھی

                وہی سمھجوتوں کی راہگزر

                وہی دکھتے دل کی فریادیں



                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                  Kuch Na Bas Main Ager Ho Kia Kijiye
                  Bas Usay Dekhtay Raha Kijiye

                  Jab Kabhi Wo Samnay Bethay Hon
                  Chaand Ko Chaand Matt Kaha Kijiye

                  Kuch Nahi Haath Ki Lakiron Main
                  Aap Chehron Ko Bhi Parha Kijiye

                  Jab Zabaan Saath Chorr Jaye Kabhi
                  Baat Aankhon Say Kar Liya Kijiye

                  Hijar Ki Shab Hay Or Tanhaii
                  Yaad Us Ki Koii Ada Kijiye

                  Jab Kabhi Us Ki Yaad Aa Jaye
                  Aap Chupkay Say Ro Liya Kijiye

                  Aa Gaye Phir Wo Samnay Shahid
                  Apni Aankhon Ko Aaina Kijiye

                  [ Shahid Iqbal ]
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • #10
                    Re: MonthlY poetry contest of month Januray.



                    Raaz Ka Bazm Main Charcha Kabhi Honay Na Dia
                    Hum Nay Apnay Aap Ko Tamasha Kabhi Nonay Na Dia

                    Hum Ko Is Ghardish -e- Douraan Nay Kahi Ka Na Rakha
                    Phir Bhi Lehjay Ko Shakista Kabhi Honay Na Dia

                    Dil Main Ak Dard Ka Toufaan Chopaye Rakha
                    Aankh Say Raaz Ko Afshan Kabhi Honay Na Dia

                    Kitna Aasan Tha Apnay Aap Say Juda Ho Jana
                    Ishq Nay Zehan Ka Soda Kabhi Honay Na Dia

                    Umar Rishton Kay Taqazay Hi Nibhatay Guzri
                    Zindagi Nay Mujhay Apna Kabhi Honay Na Dia

                    Sab Say Mehfooz Mouqaam Ghum -e- Tanhaii Hay
                    Fikar -e- Dunya Nay Akaila Kabhi Honay Na Dia

                    [ Naseem Aabadi ]
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • #11
                      Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                      Khud Tum Say Milnay Aaii Bhi
                      Or Aa Kay Bohat Pachtaii Bhi

                      Ab Jailon Gi Khamoshi Say
                      Yeh Doori Bhi Tanhaii Bhi

                      Us Raat Main Jagi Dair Talak
                      Us Raat Chali Parwaii Bhi

                      Kuch Log Thay Jin Say Rooz Milay
                      Kuch Logon Say Oktaii Bhi

                      Jin Sochon Main Koii Or Bhi Ho
                      Un Sochon Say Ghabraii Bhi

                      Ak Khail Tha So Main Haar Gaii
                      Is Khail Main Thi Ruswaii Bhi

                      [ Fatima Hasan ]
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • #12
                        Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                        Aks -e- Khushboo Hoon Bikharnay Say Na Rokay Koii
                        Or Bikhar Jaon Tu Mujh Ko Na Samaitay Koii

                        Kaanp Uthata Hoon Main Ye Soch Kay Tanhaii Main
                        Meray Chehray Pay Tera Naam Na Parh Lay Koii

                        Jis Tarah Khowab Meray Ho Gaye Hain Raiza Raiza
                        Is Tarah Na Kabhi Toot Kay Bikhray Koii

                        Main Tu Us Din Say Harasa Hoon Keh Jab Hukam Milay
                        KhushK Phoolon Ko Kitabon Main Na Rakhay Koii

                        Ab Tu Is Rah Say Wo Shaks Bhi Nahi Guzarta
                        Ab Kis Umeed Pay Darwazay Say Jhankay Koii

                        Koii Arzoo, Koii Aahat , Koii Chaap Nahi Hay
                        Dil Ki Galiyaan Bari Sunsaan Hay Aaye Koii

                        [ Parveen Shaker ]
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • #13
                          Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                          In Madh Bhari Aankhon Kay Dewanay Hazaron Hain
                          Saqi Teray Mahfil Say Anjanay Hazaron Hain

                          Tu Apnay Muqaddar Ki Tanhaii Mujhay Day Day
                          Sathi Meri Dunya Main Weeranay Hazaron Hain

                          Us Shaks Kay Jeewan Say Koii Bhi Nahi Waqif
                          Jis Shaks Say Wabasta Afsanay Hazaron Hain

                          May-Khano Ko Dekha Tu Yeh Raaz Khula Mujh Per
                          Jeewan Ki Haqiqat Say Be-Ganay Hazaron Hain

                          Is Shaher -e- Ngharah Main Dil Ghum Say Pareshan Hay
                          Jis Shaher -e- Ngharah Main May Khanay Hazaron Hain

                          Dewanon Ko Yeh Dunya Samjay Na Tahi Damaan
                          Dewanon Kay Daaman Main Nazranay Hazaron Hain

                          Wo Shaks Bhi Ab Saqib Tanha Nazer Aata Hay
                          Jis Shaks Kay Basti Main Yaranay Hazaron Hain


                          [ Khaled Saqib ]
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • #14
                            Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                            Kab Yeh Kehti Hoon Meri Zaat Ko Koii Ghum Laga Hay
                            Kabhi Tanhaii Main Roti Hoon Tu Yeh Or Baat Hay

                            Rooz Hazaar Jhamailon Main Mera Din Guzar Jata Hay
                            Andar Say Tanha Hoti Hoon Tu Yeh Or Baat Hay

                            Muntazir Hain Kab Say Nigahain Dar Pay Kesi Kay Liye
                            Wo Rasta Hi Bdal Jaye Tu Yeh Or Baat Hay

                            Mangi Hain Bohat Dua'en Khushyan Panay Ki Main Nay
                            Kese Or Ko Jo Lag Jaye Tu Yeh Or Baat Hay

                            Phelaii Hay Jholi Main Nay Bhi Chahat Kay Liye
                            Mera Daaman Ger Khali Reh Jaye Tu Yeh Or Baat Hay

                            Barsati Hain Roz Aansoo Dil Ki Zameen Pay Aankhain
                            Bahar Main Muskurati Hoon Tu Yeh Or Baat Hay

                            Main Nay Bhi Chaha Tha Kese Khowab Ko Khud Say Bhar Kar
                            Ba-zahir Mohabbat Ko Jhutlati Hoon Tu Yeh Or Baat Hay

                            Kehnay Ko Tu Bohat Kuch Keh Laiti Hoon Main Fiza
                            Sab Lafzon Main Chupa Laiti Hoon Tu Yeh Or Baat Hay

                            [ Faiza Ateeq ur Rahman ]
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • #15
                              Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                              Din Raat Dil Main Aati Hain Yaadain Teri
                              Kis Qdar Satati Hain Baatein Teri

                              Bhool Kar Main Tumhay Bhool Sakta Nahi
                              Hum Ko Pagal Banati Hain Yaadain Teri

                              Raat Tanhaii Main Khowab Dekha Karon
                              Subho Hum Ko Jagati Hain Yaadain Teri

                              Teri Tasveer Tu Meri Aankhon Main Hay
                              Har Qdam Per Rulati Hain Yaadain Teri

                              Meri Barbadiyon Per Na Yoon Tanz Kar
                              Meray Dil Ko Jalati Hain Yaadain Teri

                              Soch Kar Apni Qismat Pay Hairan Hoon
                              Meray Har Ghum Main Shamil Hain Yaadain Teri
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment

                              Working...
                              X