Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MonthlY poetry contest of month Januray.

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

    Aankh Ban Jati Hay Sawan Ke Ghata Shaam Kay Baad
    Lout Jata Hay Ager Koee Khafa Shaam Kay Baad

    Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Say Bala Shaam Kay Baad
    Koee Tu Tha Keh Jo Deta Tha Dua Shaam Kay Baad

    Aahain Bharti Hay Shab -e- Hijar Yateemo Ke Tarah
    Sard Ho Jati Hay Har Roz Hawa Shaam Kay Baad

    Shaam Tak Qaid Raha Kartay Hain Dil Kay Andar
    Dard Ho Jatay Hain Saray He Reha Shaam Kay Baad

    Log Thak Haar Kay So Jatay Hain Lakin Jana
    Ham Nay Khush Ho Kay Tera Dard Saha Shaam Kay Baad

    Shaam Say Pehlay Talak Laakh Sulayey Rakhay
    Jaag Uthti Hay Mohabbat Ke Ana Shaam Kay Baad

    Khowab Takra Kay Palat Jatay Hain Band Aankhoon Say
    Janay Kis Jurm Ke Kis Ko Hay Saza Shaam Kay Baad

    Chaand Jab Ro Kay Setaroon Say Galay Milta Hay
    Ak Ajab Rang Ke Hoti Hay Fiza Shaam Kay Baad

    Ham Nay Tanhaii Say Pucha Keh Milo Ge Kab Tak
    Us Nay Be-chaini Say Foran He Kaha Shaam Kay Baad

    Main Ager Khush Bhi Rahoon Pher Bhi Meray Seenay Main
    So-gawari Koee Roti Hay Sada Shaam Kay Baad

    Tum Gaye Ho Tu Siya Rang Kay Kapray Pehnay
    Phirti Rehti Hay Meray Ghar Main Qaza Shaam Kay Baad

    Lout Aati Hay Meri Shab Ke Ebadat Khali
    Janay Kis Arsh Pay Rehta Hay Khuda Shaam Kay Baad

    Din Ajab Muthi Main Jakray Howay Rakhta Hay Mujhay
    Mujh Ko Is Baat Ka Ahsaas Howa Shaam Kay Baad

    Koee Bhola Howa Ghum Hay Jo Musalsal Mujh Ko
    Dil Kay Pataal Say Deta Hay Sada Shaam Kay Baad

    Maar Deta Hay Ujar Janay Ka Dhora Khayal
    Kaash Koee Kisi Say Na Ho Juda Shaam Kay Baad
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • #62
      Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

      Apnay Ashkon Ko Khud Say Chupa Kar Rona
      Jab Bhi Rona Chirago Ko Bujha Kar Rona

      Log Parh Laitay Hain Chehray Pay Likhi Tehreerain
      Kitna Mushkil Hay Logo Say Chupa Kar Rona

      Apni Barbaadi Ka Ham Khud Sabab Hain Yaaro
      Ab Kis Say Gila Karay Kis Ko Suna Kar Rona

      Wo Tanhaii Main Bohat Roya Tha Nasir
      Main Nay Chaha Tha Jisay Seenay Say Laga Kar Rona
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • #63
        Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

        ~~mErI TaNhai ~~
        ~~ pOeM # 15 ~~








        Wo qisa-e-gham sunata raha.
        Mera zabt azmata raha.

        Aaj sar-e-bazam wo apne.
        Dil k dagh dikhata raha.

        Noha-e-dil-e-barbad koi.
        Akhir-e-shab ko gata raha.

        Kisi k hath min teer the.
        Koi zakhm sehlata raha.

        Wo sakun ka matlashi tha.
        Aur mujhe dard bhata raha.

        Us ki
        tanhai ka khayal.
        Mujhe har pal satata raha.

        Kya he hijar-o-wasal aakhir.
        Waqt mujhe samjhata raha.

        Bulane se wo nhi bhula.
        Reh reh kar yad aata raha.

        Raqabat ki intiha dekho.
        Suraj diya bujhata raha.

        Khak hoi min jal jal kar.
        Zamana rakh urata raha.

        Us ki aankh ka pani .
        Mujhe shab bhar rulata raha.



        Comment


        • #64
          Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

          Pichlay Pehar Ki Raat Thi
          Tanhaii Or Un Ki Yaad Thi

          Chaand Nay Mujh Say Pucha Koun Hay?
          Main Nay Kaha Koii Saath Nahi

          Pucha , Zindagi Kesi Hay?
          Main Nay Kaha Koii Khaas Nahi

          Pucha , Phir Kia Chahatay Ho ?
          Main Nay Kaha Koii Aas Nahi

          Pucha , Tum Nay Pyaar Kia Tha
          Main Nay Kaha Kuch Yaad Nahi

          Pucha, Tumharay Saath Bhi Dhoka Howa ?
          Main Nay Kaha Easi Koii Baat Nahi

          Pucha , Phir Ak Baat Kaho Tum Say ?
          Main Nay Kaha Koii Ahtaraaz Nahi

          Kaha, Phir Tum Nay Bhi Pyaar Kia Hay
          Or Ab Wo Teray Saath Nahi !!
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • #65
            Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

            Meray Jaisay Ban Jaao Gay Jab Ishq Tumhay Ho Jaaye Ga
            Diwaaron Say Sar Takaraao Gay Jab Ishq Tumhay Ho Jaaye Ga

            Har Baat Gavaaraa Kar Lo Gay, Mannat Bhii Utaaraa Karo Gay
            Taaveezen Bhi Bandhwao Gay Jab Ishq Tumnhay Ho Jaaye Ga

            Tanhaii Ke Jhoole Khulay Gi Har Baat Puraani Bhulao Gay
            Aainay Say Tum Ghabrao Gay Jab Ishq Tumhay Ho Jaaye Ga

            Jab Suraj Bhi Kho Jaaye Ga Or Chaand Kahi So Jaaye Ga
            Tum Bhi Ghar Der Se Aao Gay Jab Ishq Tumhay Ho Jaaye Ga

            Be-Chaini Barh Jaaye Gi Or Yaad Kisi Ki Aaye Gi
            Tumhein Meri Ghazal Yaad Aaye Gi Jab Ishq Tumhein Ho Jaaye Ga
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • #66
              Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

              Ujray Howay Logo Say Guraizaa Na Howa Kar
              Halaat Ki Qabron Kay Kutbay Bhi Parha Kar

              Kia Janiye Kyun Taiz Hawa Soch Main Gum Hay
              Khowabida Parindo Ko Darakhton Say Ura Kar

              Us Shaks Kay Tum Say Bhi Marasim Hain Tu Hon Gaye
              Wo Jhoot Na Bolay Ga Meray Samnay Aa Kar

              Ab Dastakay Day Ga Tu Kaha Ay Ghum -e- Ahbaab
              Main Nay Tu Kaha Tha Keh Meray DIL Main Raha Kar

              Har Waqt Ka Hansna Kahi Tujhay Barbaad Na Kar Day
              Tanhaii Kay Lamho Main Kabhi Ro Bhi Liya Kar

              Wo Aaj Bhi Sadyon Ki Musafat Pay Khara Hay
              Dhoonda Tha Jisay Waqt Ki Deewar Gira Kar

              Ay Dil Tujhay Dushman Ki Pehchaan Kaha Hay
              Tu Halqa -e- Yaara Main Bhi Mohtaat Raha Kar

              Main Mar Bhi Chuka, Mil Bhi Chuka Mouj -e- Hawa Main
              Ab Rait Kay Seenay Pay Mera Naam Likha Kar

              Pehla Sa Kaha Ab Meri Raftaar Ka Aalam
              Ay Gardish -e- Douran Zara Tham Tham Kay Chala Kar

              Is Rutt Main Kaha Phool Khilay Gaye Dil -e- Nadaan
              Zakhmo Ko Hi Wabasta -e- Zanjeer -e- Saba Kar

              Ak Roh Ki Faryaad Nay Chonka Dia Mujh Ko
              Tu Ab Tu Mujhay Jisam Kay ZindaN Say Raha Kar

              Is Shab Kay Muqaddar Main Sehar Hi Nahi MOHSIN
              Dekha Hay Kaii Baar Charago Ko Bhuja Kar
              [ Mohsin Naqvi ]
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • #67
                Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                Shaam Hotay Hi Dil Na Janay Kaha Kho Jata Hay
                Din Bhar Edhar Uthar Bhatak Kar Lout Aata Hay

                Gum Sum Sehma Sa Khoya Khoya Kyun Rehta Hay
                Yaadon Ka Halka Halka Dard Tanhaii Main Tarpata Hay

                Main Nay Apnay Zakhmoo Ko See Rakha Hay Barsoo Say
                Rasnay Lagta Barsaat Main Aa Kay Koun Diya Jalata Hay

                Thar-Tharatay Honton Say Qissa -e- Ghum Kia Sunaye
                Chaand Bhi Meri Be Basi Pay Khoob Muskurata Hay

                Kyun Hoti Hay Barsaat Kyun Zakham Ubhartay Hain IFGAAR**
                Koun Mujhay Raaton Main Aa Kar Be Waja Jagata Hay
                [ Abdulrasheed Ifgaar ]
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • #68
                  Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                  Bin Us Kay Zindagi Dard Hay Tanhaii Hay
                  Meri Aankhon Main Kyun Mout Simat Aai Hay

                  Mehfil Main Reh Kar Bhi Tanha Rehna
                  Yeh Ada Us Ki Mohabbat Nay Sekhlaii Hay

                  Kehtay Hain Log Ishq Ko Ebaadat Yaron
                  Ebaadat Main Phir Kyun Ruswaii Hay

                  Wo Na Aaye Dil Ko Behlanay Meray
                  Shab -e- Hijar Main Us Ki Yaad Chali Aai Hay

                  Mehfil Main Reh Kar Bhi Tanha Rehna
                  Yeh Ada Us Ke Mohabbat Nay Seekhaii Hay

                  Yeh Bhi Us Ke Mohabbat Ke Anayat Hay Yaron
                  Main Tamasha Bana Or Dunya Tamashaii Hay

                  Intazar Main Kese Kay Na Raat Ko Barbaad Karna
                  Dobtay Taaron Nay Mujhay Yeh Baat Samjhaii Hay

                  Us Say Taluq Hay Kuch Aisa Raha Yaron
                  Jab Bhi Socha Usay Aankh Bhar Aai Hay
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • #69
                    Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                    Ajnabi Shaher Kay Ajnabi Rastay Meri Tanhaii Pay Muskuratay Rahay
                    Main Bohat Dair Tak Yoon He Chalta Raha Tum Bohat Dair Tak Yaad Aatay Rahay

                    Zehar Milta Raha Zehar Peetay Rahay Roz Martay Rahay Roz Jeetay Rahay
                    Zindagi Bhi Hamay Aazmati Rahi Or Ham Bhi Usay Aazmatay Rahay

                    Zakham Jab Bhi Koi Zehan -o- Dil Per Laga Zindagi Ke Taraf Ak Daricha Khula
                    Ham Bhi Goya Kese Saaz Ke Taar Hain Chout Khatay Rahay Gungunatay Rahay

                    Kal Kuch Esa Howa Main Bohat Thakh Gia Is Liye Sun Kay Bhi An-Suni Kar Gia
                    Kitni Yaadon Kay Bhatkay Howay Karwan Dil Kay Zakhmo Kay Dar Kat-khatatay Rahay
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • #70
                      Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                      Baaton Baaton Main Becharnay Ka Ishara Kar Kay
                      Khud Bhi Roya Wo Bohat Ham Say Kinara Kar Kay

                      Sochta Rehta Hoon Tanhaii Main Anjam -e- Khaloos
                      Phir Usi Jurm -e- Mohabbat Ko Dobara Kar Kay

                      Jagmaga Di Hay Teray Shaher Ki Galiyaan Main Nay
                      Apnay Ashkon Ko Palkon Pay Sitara Kar Kay

                      Dekh Laitay Hain Chalo Hosla Apnay Dil Ka
                      Aur Kuch Roz Teray Saath Guzara Kar Kay

                      Aik He Shaher Main Rehna Hay Mager Milna Nahi
                      Dekhtay Hain Yeh Aziyat Bhi Gawara Kar Kay
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • #71
                        Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                        Badnaam Zamanay Main Mohabbat Nahi Kartay
                        Dil Walay Tu Dushman Say Bhi Nafrat Nahi Kartay

                        Ak Baar Jisay Chaha Sada Us Kay Rahay Phir
                        Hum Log Amanat Main Khayanat Nahi Kartay

                        Tanhaii Main Kar Laitay Hain Yaad Aansoo Baha Kar Unhain
                        Zahir Kabhi Hum Apni Ibadat Nahi Kartay

                        Waqt Apnay Pay Maloom Ye Ho Jaye Ga Tum Ko
                        Keh Hum Sirf Dekhaway Ki Mohabbat Nahi Kartay

                        Likhtay Hain Faqat Tumharay Liye Ghazalain
                        Hum Har Shaks Pay Aisi Anayat Nahi Kartay
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • #72
                          Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                          ~~mErI TaNhai ~~
                          ~~ pOeM # 16 ~~






                          Wo mohabbat min ye kesi wafa de gaya.
                          khush rahon use bhool kar ye dua de gaya.

                          Koi raqeeb hota to min bhool jati use.
                          Habib ban kar bhi wo mujhe jafa de gaya.

                          Chala gaya wo guzre hoe mosam ki trah.
                          Mujhe
                          tanhai min jine ki baqa de gaya.

                          Chaand ban kar utarna tha mere aangan min.
                          Wo dard ki barish aur thandi hawa de gaya.

                          Kitna mushkil he khud ko samjhana.
                          Jab mout se bhi barh kar koi saza de gaya.




                          Comment


                          • #73
                            Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                            Teri Khushbo Ka Pata Karti Hay
                            Mujh Pay Ahsaan Hawa Karti Hay

                            Choom Kar Phool Ko Aahista Say
                            Moujaza Baad -e- Saba Karti Hay

                            Hum Nay Dekhi Hay Wo Ujli Saa'at
                            Raat Jab Sher Kaha Karti Hay

                            Shab Ke Tanhaii Main Ab Tu Akser
                            Guftagu Tujh Say Raha Karti Hay

                            Dil Ko Us Rah Pay Chalna He Nahi
                            Jo Mujhay Tujh Say Juda Karti Hay

                            Zindagi Meri Thi Lakin Ab Tu
                            Teray Kehnay Main Raha Karti Hay

                            [ Parveen Shaker ]
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • #74
                              Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                              Ho Na Dunya Main Koii Hum Sa Pyasa Logo
                              Jee Main Aata Hay Keh Pee Jaye Ye Darya Logo

                              Kitni Is Shehar Kay Sakhiyon Ki Suni Thi Baatain
                              Hum Jo Aaye Tu Kesi Nay Bhi Na Pucha Logo

                              Itafaqan Hi Sahi, Per Koii Dar Tu Khulta
                              Jhilmilata Pas -e- Chilman Koii Saya Logo

                              Sab Kay Sab Mast Rahay Apnay Nehaan Khano Main
                              Koii Kuch Baat Musafir Ki Bhi Sunta Logo

                              Hongaye Is Shehar Main Kuch Usay Bhi Parhnay Walay
                              Yon Tu Ye Shaks Bhi Mashoor Tha Khasa Logo

                              Kesi Daaman, Kesi Aanchal Ki Hawa Tu Milti
                              Jab Sar -e- Rah Ye Wa'manda Gira Tha Logo

                              Ak Tasveer Thi Kia Janiye Kis Ki Tasveer
                              Naqsh Mauhoom Say Or Rang Ura Sa Logo

                              Ak Aawaz Thi Kia Janiye Kis Ki Aawaz
                              Us Nay Aawaz Ka Rishta Bhi Na Rakha Logo

                              Kuch Pata Is Ka Humain Ho Tu Tumhain Batla'ain
                              Koun Ghar, Koun Nagar, Koun Mohalla Logo

                              Chand Hurfon Ka Mo'amma Tha Wo Uljha Suljha
                              Us Nay Tu Naam Bhi Pora Na Bataya Logo

                              Haaye, Ye Dard Keh Mushkil Say Thama Tha Dil Main
                              Chaand Poonam Ka Abhi Say Nikal Aaya Logo

                              Phir Wahi Dasht, Wahi Dasht Ki Tanhaii Hay
                              Wehshat -e- DIL Nay Kahi Ka Na Rakha Logo

                              Us Main Himmat Hay, Tu Dar Aaye Utha Day Ye Hisaar
                              Apnay Gunbaad Main Tu Dar Hay Na Dareecha Logo

                              Jee Kay Jee Hi Main Rahin Hasratain Tofaanon Ki
                              Ye Safeena Tu Kinaray Pay Hi Doba Logo

                              Aaj Ki Daak Say Kia Koye Lefafa Aaya
                              Kesi Sargoshi Kartay Ho, Aray Kia Logo ?

                              Koye Paigaam -e- Zubani Bhi Nahi, Kuch Bhi Nahi
                              Hum Nay Apnay Ko Bohat Dair Sambhala Logo

                              Band Aankhain Hoii Jati Hain, Pasaarain Paa'on
                              Neend Si Neend ? Humain Ab Na Uthana Logo

                              Ak Hi Shab Hay Taveel Itni, Taveel Itni, Taveel,
                              Apnay Aayaam Main Amroz Na Farda Logo

                              Ab Koii Aaye Tu Kehna Keh Musafir Tu Gaye
                              Ye Bhi Kehna Keh, Bhala Ab Bhi Na Jata Logo

                              Rah Taktay Howay Pathra See Gaii Thin Aankhain
                              Aah Bharta Howa Chalni Howa Seena Logo

                              Hont Jaltay Thay Jo Layta Tha Kabhi Aap Ka Naam
                              Is Tarah Or Kesi Ko Na Satana Logo
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • #75
                                Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                                ~~mErI TaNhai ~~
                                ~~ pOeM # 17 ~~






                                Bht toote hoe hen hum, abhi dastak nhi dena.
                                Humari ankh he purnam, abhi dastak nhi dena.

                                Mere yaron abhi kuch din mere ahwal mat pucho.
                                Abhi dil min he us ka gham, abhi dastak nhi dena.

                                Shab-e-
                                tanhai min tarapna he bht mujh ko.
                                Abhi he dard kuch madham, abhi dastak nhi dena.



                                Comment

                                Working...
                                X