Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MonthlY poetry contest of month Januray.

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

    Koii Waqt Purana Yaad Aaya
    Phir Dorr Sohana Yaad Aaya
    Or Chupkay Say In Dewaron Pay
    Kuch Likh Kar Jana Yaad Aaya

    Tera Milna Neend Ki Chaon Main
    Or Sar Rakh Dena Kandhay Per
    Mera Ya Kehna Koii Dekh Na Lay
    Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya

    Aisa Bhi Tu Aksar Hota Tha
    Main Tujh Ko Chorrnay Jata Tha
    Barish Ki Bheegi Raaton Main
    Tera Haath Hilana Yaad Aaya

    Wo Waqt Gay Beetay Lamhay
    Ab Har Janib Tanhaii Hay
    Bas Ak Hi Manzar Aankhon Main
    Tera Chorr Kay Jana Yaad Aaya
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • #92
      Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

      Kabhi Bheer Main Tanhaii Main

      Kabhi Apni Hi Parchaii Main

      Kabhi Yaad Main Kabhi Baat Main

      Kabhi Apnay Hi Khayalaat Main

      Kabhi Halki See Barsaat Main

      Kabhi Roshniyon Kay Shaher Main

      Kabhi Tariqi Maqamaat Main

      Kabhi Khud Ko Bhula Kar

      Kabhi Khud Ko Sata Kar

      Zindagi Kay Har Morr Pay

      Taqdeer Kay Har Zorr Pay

      Zindagi Kay Har Dor Main

      Har Qdam Kay Faaslay Per

      Main Nay Tumhay Yaad Kia
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • #93
        Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

        Aawaz Ka Rishta




        Bas Yon Hi Rasmi Rasmi Sa
        Ak Be Mafoom Taa'ruf Tha

        Us Nay Mera Number Maang Liya

        Phir Ak Din Telephone Kia

        Phir Phone Kia..............

        Phir Phone Kia.............

        Ak Roz Thi Barish Zoron Per

        Baadal Garjay, Bijli Chamki

        Phir Boondhain Barsi Khirki Per

        Tab Us Ka Telephone Aaya

        Be Saakhta Main Nay Us Say Kaha

        Barsaat Main Tanhaii Ki Saza

        Kyun Deti Ho

        Kyun Karti Ho Tum Phone Mujhay

        Kuch Lamhon Tak Wo Chup See Rahi

        Phir Kehnay Lagi

        Jo Aap Ka Dheema Lehja Hay

        Mujhay Be Hadd Acha Lagta Hay

        Aawaz Jo Aap Kay Honton Say

        Tashna Kaano Tak Aati Hay

        Mujhay "Us" Ki Yaad Dilati Hay



        [Aitabar Sajid]
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • #94
          Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

          Kabhi Zindagi Ka Naam Hay Mohabbat
          Kabhi Mout Ka Paigaam Hay Mohabbat
          Kabhi Mohabbat Say Milti Hain Khushi
          Kabhi Ghum Ki Shaam Hay Mohabbat



          Kabhi Mohabbat Aanso'on Ki Barish Hay
          Kabhi Hansi Ka Jaam Hay Mohabbat
          Kabhi Hay Mohabbat DIL Ka Jalan
          Kabhi DIL Ka Aram Hay Mohabbat



          Kabhi Mohabbat Hay Milan Ka Roop
          Kabhi Tanhaii Ki Tarah Be Naam Hay Mohabbat
          Kabhi Mohabbat Hay Be Naam Zindagi
          Kabhi Zindagi Kehti Hay
          Mera Naam Hay Mohabbat
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • #95
            Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

            Dard Howa Tu Dil Say Aawaz Aai Maa
            Takleef Hoii Tu Yaad Teri Aai Maa

            Jab Sab Nay Chorr Dia Matlabi Be Wafa Keh Kay
            Phir Mujhay Teri Aanchal Ki Yaad Aai Maa

            Main Kitna Bad Naseeb Hoon
            Logo Say Pyaar Maanga Main Nay, Mili Mujhay Tanhaii
            Tu Nay Bin Maangay Kitna Pyaar Dia
            Or Main Teri Hi Qdar Na Kar Saka Maa

            Bad Gumani Main Har Ak Ko Main Nay Seenay Say Lagaya
            Bas Bad Naseebi Tu Dekho Bas Tujhay Hi Apnay Galay Say Na Lagaya Maa

            Dunya Ki Ranginiyon Main Khoya Raha
            Bas Ak Tujhay Hi Ko Bhool Kay Sab Kay Pechay Bhaagta Raha
            Teri Tanhaiiyon Main Ak Pal Bhi Tera Saath Na Raha
            Main Bad Naseeb Teri Maafi Kay Qabil Bhi Na Raha

            Jab Hosh Main Aaya Tu Maloom Howa Keh
            Koii Apna Nahi Bas Teray Siwa Maa

            Teri Goud Main SAR Rakh Kay Ro Ro Kay Mout -e- Faryaad Ki Dua Ki
            Maa Nay Rotay Rotay Apni Zindagi Apni Khushyaan BhI Meray Naam Ki

            Main Kitna Be Aqal Kamzarf Hoon
            Tera Khowab Bhi Pura Na Saka Main Teray Liye Kuch Bhi Na Kar Maa

            Main Nay Kitnay Dukh Diye
            Or Tu Nay Uff Tak Na Ki Maa
            Tu Nay Kabhi Na Sath Chorra
            Na Kabhi Kuch Kaha Mujhay Tu Nay Maa

            Bas Ak Khowab Hay Zindagi Ka
            Be Shak Kuch Milay Na Milay
            Main Kuch Bano Ya Na Bano
            Bas Ak Armaan Hay Zindagi Ka

            Main Ak Dafa Teri Goud Main Sar Rakh Kay So Sako Maa
            Wo Sakoon -e- Neend Pana Chahata Hoon Maa
            Bohat Dard Ho Raha Hay Maa
            Apnay Haathon Say Meray Zakham -e- Dard Ko Mita Do Maa

            Ye HASSAN Bohat Bura Hay
            Is Ki Har Galati Maaf Kar Do Maa
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • #96
              Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

              ab Chaand Sitaaray Chamak Rahay Hon
              Jab Yaadon Kay Phool Mehak Rahay Hon
              Jab Deed Ko Nain Taras Rahay Hon
              Jab Aankhon Say Aansoo Baras Rahay Hon

              Meri Pagal Mohabbat Yaad Aaye Gi

              Jab Tanhaii Say Dil Ghabraye Ga
              Jab Tumhay Khaali Pan Sataye Ga
              Jab Koii Khowab Hi Nahi Aaye Ga
              Jab Phool Kitaab Main Hi Reh Jaye Ga

              Meri Pagal Mohabbat Tumhay Yaad Aaye Gi
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • #97
                Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                Suno Yah Aankhoon Main Udasi Kese
                Yah Hontoon Pay Muskaan Kese

                Tanha Akeli Kaha Gum Ho Tum
                Kin Udasiyoon Ko Dil Main Basai Hoee Ho Tum

                Lagta Hai Yoon Kuch Kho Gaya Hai
                Jisay Yoon Dhoond Rahi Ho Tum

                Is Ghum Ko Bhula Do Tum
                In Tanhaiyoon Ko Rafa Kar Do

                Yaad Karo Apnay Khuda Ko Tum
                Yaqeen Or Aitmaad Rakho Usi Per Tum

                Muradain Pori Karay Wala Hai Bas Ek Wahi
                Khushyaan Or Muskurahatay Mang Lo Usi Say Tum

                Aao Mera Hath Thaam Lo Tum
                Tanhaii Ko Chorr Kay Zindagi Ko Apna Lo Tum
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • #98
                  Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                  Halki Halki Shaam Kay Saaye
                  Jon Jon Gehray Hotay Hain

                  Meray Mann Kay Saaray Deep

                  Ek Ek Kar Kay Bhujtay Hain

                  Meray Pyaar Kay Samandar Main

                  Ashkoo Kay Saagar Say

                  Dil Ke Kisi Konay Say

                  Palkoo Kay Nazuk Saaye Say

                  Meray Andar Kay Gehrai Say

                  Ek Aah Se Ubharti Hai

                  Pher ?? Tanhaii Ke Aahat Say

                  Meray Haath Yon Mil Jatay Hain

                  Pher Halkay Say Meray Lab Hiltay Hain

                  Bas Ek He Dua Yeh Kehtay Hain

                  " Mujhay Teray Siwa Apnay Rab Say Kuch Bhi Nahi Chahiye"

                  Halki Halki Shaam Kay Saaye

                  Jon Jon Gehray Hotay Hain
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • #99
                    Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                    Kitni Nadaan Thi Wo Larki
                    Jo Khiyaloon Ki Dunya May Basti Thi
                    Sochon Kay Maskan May Rehti Thi
                    Wo Weraan Yadoon Kay Daman May Bandhi Rehti Thi

                    Kitni Nadaan Thi Wo Larki
                    Jo Kitaboon May Gum Rehti Thi
                    Afsanoo May Apna Kirdaar Talashti Thi
                    Kuch Na Panay Ki SooraT May Udaas Si Ho Jati Thi

                    Kitni Nadaan Thi Wo Larki
                    Jo Apnay Hi Khiyaloon May Uljhi Uljhi Rehri Thi
                    Janay Kiya Soochti Par Kuch Bhi Na Keh Pati Thi
                    Dunya Kay HanGamoo Say Parey Tanhaii May Rehti Thi

                    Kitni Nadaan Thi Wo Larki
                    Jo Apnay Ird Gird Ki Dunya Say Ghabraii Huee Rehti Thi
                    Or Apnay Wajood Ko Khud Hi Thukra Dena Chahti Thi
                    Wo Sab Rastoon Pay Jati Thi Or Mur Kay Wapas Aati Thi

                    Kitni Nadaan Thi Wo Larki
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                      Wahi Tanhaii Wahi Weerani Wahi San-Nata
                      Wahi Falak Wahi Setaray Wahi Be Qarari
                      Wahi Faaslay Wahi Doriyaan Wahi Ajnabiyat
                      Tum Ab Bhi Wahi Ho Jaha Hamaysha Thi
                      Kuch Bhi Tu Nahi Badla, Aaj Bhi Sab Kuch Wahi Tu Hai

                      Kuch Bhi Tu Nahi Badla Aaj Bhi Sab Kuch Wahi Tu Hai
                      Wahi Aasmaan Wahi Badal Wahi Aansoo
                      Wahi Raat Wahi Yadain Wahi Andhera
                      Wahi Shaam Wahi Shama Wahi Aarzo
                      Dharti Bhi Dard Bhi Wahi Gaggan Bhi Aasman Bhi Wahi
                      Kuch Bhi Tu Nahi Badla, Aaj Bhi Sab Kuch Wahi Tu Hai

                      Wahi Dil Wahi Jaan Wahi Dharkan
                      Wahi Tasveer Wahi Khowahish Wahi Armaan
                      Wahi Baat Wahi Khushboo Wahi Rang
                      Main Ab Bhi Wahi Hooon Or Tum Ab Bhi Wahi
                      Kuch Bhi Tu Nahi Badla, Aaj Bhi Sab Kuch Wahi Tu Hai

                      Wahi Pyaar Wahi Zindagi Wahi Mohabbat
                      Wahi Geet Wahi Ghazal Wahi Naghma
                      Waji Mousam Wahi Phool Wahi Mehak
                      Meray Liye Tum Aaj Bhi Wahi Ho Kal Bhi Wahi Raho Ge
                      Kuch Bhi Tu Nahi Badla, Aaj Bhi Sab Kuch Wahi Tu Hai

                      Zindagi Ke Yah Lamhay Aaj Bhi Waheen Kharay Hain
                      Chand Gharyoon Pay Waqt Jesay Ruk Gaya Ho
                      Manzil Kay Rastay Main Yeh Morr Aaj Bhi Sadayeen Detay Hain
                      Mera Aaj Bhi Wahi Hai Jo Mera Kal Hoga
                      Kuch Bhi Tu Nahi Badla, Aaj Bhi Sab Kuch Wahi Tu Hai
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                        Aaj Kal Bas Tum He Tum Ho,

                        Yaad Main Har Baat Main Bas Tum He Tum Ho

                        Jab Say Tum Say Nazrain Mili Hain Bas Tum He Tum Ho

                        Teray Har Aandaz Pay Mar Gaye Ham

                        Meray Har Khayal Main Bas Tum He Tum Ho.

                        Chahay Tu Iqraar Karay Ya Inkaar Karay

                        Meray Har Izhaar Main Bas Tum He Tum Ho,

                        Ham Ko Tum Nay Maar Dala Mar Gaye Ham

                        Ab Meri Tanhaii Main Bas Tum He Tum Ho

                        Teray Bina Jaan Na Reh Paye Gay
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                          Kabhi Yoon Bhi Tu Ho
                          Darya Ka Sahil Ho
                          Puray Chaand Ki Raat Ho
                          Or Tum Aao

                          Kabhi Yoon Bhi Tu Ho
                          Paryoon Ke Mehfil Ho
                          Or Tumhari Baat Ho
                          Or Tum Aao

                          Kabhi Yoon Bhi Tu Ho
                          Soni Har Mazil Ho
                          Koee Na Meray Sath Ho
                          Or Tum Aao

                          Kabhi Yoon Bhi Tu Ho
                          Badal Toot Kar Esa Barsay
                          Meray Dil Ke Tarah Milnay Ko
                          Tumhara Dil Bhi Tarsay
                          Tum Niklo Ghar Say

                          Kabhi Yoon Bhi Tu Ho
                          Tanhaii Ho, Dil Ho
                          Bonday Ho, Barsaat Ho
                          Or Tum Aao
                          Kabhi Tu Yoon Bhi Ho !!!!
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                            Kaash !!!




                            Keh Main Ak Qalam Hoti

                            Jab Tum Likhtay Tanhaii Main

                            DIL Ki Baat !!!

                            Chupkay Say Kaaghaz Per Utarti

                            Or Teray Hathon Ki Lamis Say

                            Samaj Pati Teray Jazboo Ko

                            Shaam Kay Surmaii Andhero Main

                            Jab Tu Nikaalta Almari Say

                            Mera DIL Khushi Say Jhomta

                            Phir Zara Dair Talak, Teri Ungliyon Main Qaid Rehti

                            Kaash Tu Mujhay Umar Qaid Day Day

                            Phir Teri Bateen Khatam Hoti

                            Kuch DIL Be Qaraar Hota

                            Mujhay Aadat Hoti Teri Qurbat Ki

                            Tu Pyaar Ki Bateen Meray Liye Na Sahi

                            Per Mujh Say Tu Likhta




                            Kaash Main Ak Qalam Hoti ____
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                              Us Ka Haath Kitna Sard Tha





                              Mujhay Chaandni Raat Ke Wo Haseen

                              Ghari Yaad Hai

                              Jab Us Nay Meray

                              Haathon Ko Apnay Haath Main Lay Kar

                              Kaha Tha Keh

                              Jantay Ho Garam Haath

                              Wafa Ke Alamat Hoti Hay

                              Main Us Ke

                              Yeh Baat Sun Kar Khushi Say Jhoom

                              Utha Tha

                              Mager Aaj Shab -e- Tanhaii

                              Main Betha Soch Raha Hoon

                              Keh

                              Us Waqt

                              Us Ka Haath Kitna "Sard" Tha
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                                ~~mErI TaNhai ~~
                                ~~ pOeM # 27 ~~







                                Hum dasht-e-janoon k sodai.

                                Hum gard-e-safar, hum naqsh-e-qadam.

                                Hum soz-e-talab, hum tarz-e-faghan.

                                Hum herat-o-hasrat, yas-o-alam.

                                Hum dasht-e-janoon k sodai.

                                Ye dasht-e-janoon, ye pagal pan.

                                Ye picha karti ruswai.

                                Ye ranj-o-alam, ye hazn-o-malaal.

                                Ye nala-e-shab, ye soz-e-kamal.

                                Dil min kahin be-nam chubhan.

                                Or had-e-nazar tak tanhai.

                                Hum dasht-e-janoon k sodai.

                                Ab jan humari chhute bhi.

                                Ya dasht-e-janoon hi thak jaye.

                                Jo rooh-o-badan ka rishta tha.

                                Kai sal hoe wo toot gaya.

                                Ab dil ka dharakna ruk jaye.

                                Ab sans ki dori toote bhi.







                                Comment

                                Working...
                                X