Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MonthlY poetry contest of month Januray.

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

    Meri Be Loos Mohabbat Kay Gawah Chaand Bata

    Main Nay Har Roz Usay Yaad Kiya Ya Nahi

    Wo Jo Maroof Hai Mashoor Hai Logo Kay Liye

    Dil Yeh Us Kay Liye Aabad Kiya Hai Ya Nahi

    Meri Be Loos Mohabbat Kay Gawah Chaand Bata

    Main Nay Har Roz Duaoon Kay Mehaktay Gajray

    Jhilmilati Hoee Aankhoon Kay Bikhartay Mooti

    Gudgudatay Howay Ahsaas Ke Pyari Khushboo

    Us Kay Koochay Ke Taraf Roz Pohchaii Keh Nahi

    Meri Be Loos Mohabbat Kay Gawah Chaand Bata

    Tehal Kar Dair Talak Raat Ke Tanhaii Main

    Dil Ke Gehraiyoon Say Main Nay Usay Socha Keh Nahi

    Sarsarati Hoee Un Mast Hawaoon Ke Qsam

    Kha Kay Batlaoo, Usay Toot Kar Chaha Kay Nahi..............

    Teri He Chaandni Main Lakhoon Setaroon Kay Talay

    Main Nay Paigaam -e- Mohabbat Usay Bheja Keh Nahi

    Meri Be Loos Mohabbat Kay Gawaha Chaand Bata

    Jis Tarah Reh Gaee Sehra'on Main Rall Kar Sassi

    Main Nay Haq Pyaar Ka Us Tarah Nibhaya Keh Nahi

    Jis Tarah Khaye Thay Laila Nay Jigar Per Pather

    Main Nay Bhi Deep Mohabbat Ka Jalaya Keh Nahi

    Pher Bhi Wo Mujh Say Khafa Hai Tu Gila Kis Say Karoon?

    Tu He Mera Hamraz Hai Gawah Kis Ko Karoon?

    Hai Kia Sachaii Usay Koun Bataye Ga Bhala ..... ?

    " Meri Be Loos Mohabbat Kay Gawah Chaand Bata .... "




    [ Nazia Kanwal Nazi ** ]
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

      Tanhaii Ki Ak Nazam





      Tumhari Bekharti Sanwarti Mohabbat

      Meray Dil Ka Kesay Sahara Banay Gi

      Tumhay Chahatoon Pay Bharosa Nahi Hai

      Mera Un Kay Bin Koii Sapna Nahi Hai

      Main Tanha Musafer Hoon, Khowaboo Kay Rastoo Ke Or Tum

      Haqeqat Ke Dunya Kay Baasi

      Bhala Kia Karay Gaye

      Kis Tarah Say Ham Guzara Karay Gaye

      Tumharay Liye Rizq Ke Dorr He Zindagi Ban Gaee Hai

      Mager Meri Khater Bohat Kathan Hai

      Apnay Jazboo Ko Yoon Munjamid Kar Kay

      Tanha Guzari Hoee Saa'atoon Ko Barhaya

      Zindagi Rotay Rotay Ganwana

      Tumhay Koee Fursat Nahi

      Meray Sapno Ke, Yadoon Ke Tafseel Sunnay Ke Or

      Meray Lafz Parhnay Ke

      Mager Soch Lo Tum !

      Meri Jaan Main Or Kagaz Ke File Main Kuch Faraq Nahi

      Usay Teri Chahat Ke Koii Zarorat Nahi

      Per Meri Jaan Ka

      Teri Chahat Kay Bin Koii Apna Nahi

      Koee Sapna Nahi






      [ Sadia Amal Kashif ]
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

        Yeh Zindagi Hai Koee Lahoo Lahoo Badan Hai Jaha

        Bhara Hai Jisam Mera Zehar Khund Teeroo Say

        Jurm Kia Hay Yahi Keh Main Nay Chaha Tha

        Koee Ho Chaand Naram Roshni Ka Rakhwala

        Jo Aaye Zeest Ke Ratoon Ko Noor Say Bhar Day

        Meray Har Ak Janib He Suhani Chaandni Kar Day

        Mager Is Talab Ka Darpan

        Hamasha Toot Kar Bikhra

        Hazaroon Kurchiyoon Main Mera Chera Kabhi Simta Kabhi Bikhra

        Talab Kay Rastay Main Bas Rait Hissay Main Aai Hai

        Nigahay Jis Smt Uthi Faqat Phaile Tanhaii Hai

        Mujhay Bas Ab Nahi Jeena

        Mujhay Koee Khowab Aankhoon Ke Zameen Main Ab Nahi Bona

        Mujhay Is Saaye Main Zulfoon Ke Jana Ab Nahi Sona

        Kay Saaye Zulf -o- Ambar Kay Dard Say Ebarat Hain

        Kuch Din Kay Sakoon Kay Baad

        Chand Lamhay Qyamat Hain

        Keh Har Saa'at Main Sadyoon Kay Hijar Ke Pher Milawat Ho

        Keh Is Saaye Main Soo Kar Bhi Thakawat He Thakawat Ho

        Tu Kia Hasil Thakawat Ko, Haan Jaana Zaat Main Bhar Kar

        Tu Kyun Na Pher Amar Ho Jaye, Ay Jana Aaj He Mar Jaye

        Mujhay Bas Ab Nahi Jeena, Mujhay Bas Ab Nahi Jeena
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

          Ager Wo Pyaar Kar Laiti

          Mera Daaman Pakar Laiti

          Tu Jeewan Main Faqat Us Say

          Mohabbat Farz Ho Jati

          Mohabbat Qarz Ho Jati

          Mager

          Acha Kia Us Nay

          Mujhay Samjha Kay Chal Nikli

          Mujhay Thukra Kay Chal Nikli

          Bohat Nadaan See Hay Wo

          Abhi Anjaan See Hay Wo

          Kaha Maloom Hay Us Ko

          Mohabbat Zindagi Main Bas

          Faqat Ak Baar Milti Hay

          Ager Thukra Kay Chal Niklay

          Tu Umarain Beet Jati Hain

          Mohabbat Ki Tamanah Main

          Mager

          Har Ak Rastay Pay

          Sirf Ruswaii Milti Hay

          Faqat Tanhaii Milti Hay
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

            Kabhi Doop Kabhi Cha'on Kay Mailay Hain

            Kabhi Be-Maqsad Parwazay Hain

            Kabhi Chaar Simt Aawazay Hain

            Kabhi Tanhaii See Kailay Hain

            Kabhi Sannata Bhi Jalaye Hay

            Kabhi Teri Mithi Yaadon Kay Sang

            Kabhi Dunya Kay Beech Akailay Hain
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

              Bholi Larki !

              Mat Us Khowab Kay Pichay Bhago

              Pather Ban Kay Reh Jao Gi

              Taiz Bohat Hay Waqt Ka Darya

              Tum Bhi Us Main Beh Jao Gi

              Ye Nashter Jesi Ruswaii

              Bolo, Kesay Seh Pao Gi

              Kia Bachon Jesi Baaton Say

              Tum Sab Ko Behla Sakti Ho ?

              Kia Tum Apnay Mann Ki Mantaq

              Dunya Ko Samjha Sakti Ho

              Khowabon Jesi Baatain Kar Kay

              Kia Tabeerain Pa Sakti Ho

              Baap Ki Shafqat, Maa Ki Mamta

              Kia Sach Much Thukra Sakti Ho

              Jis Ghar Main Parwaan Charain Tum

              Us Ko Chorr Kay Aa Sakti Ho

              Aisi Baatain Na Mumkin Hay

              Bas Tum Apni Tanhaii Main

              Hijar Kay Geet Hi Ga Sakti Ho







              [Aitabar Sajid]
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                Pehlay Aap Bataye Mujh Ko

                Aap Ka Chehra Peela Kyun Hay?

                Aap Kay Kapray Mailay Kyun Hain?

                Wo Neeli See Shart Kaha Hay?

                Aap Ki Ladder Belt Kaha Hay?

                Ainak Ka Number Kyun Badlay?

                Kyun Dhoondlee Dhoondlee Hain Aankhain?

                Kyun Itna Likhtay Parhtay Hain?

                Aap Kay In Uljhay Baalon Ko

                Koun Waha Suljhata Ho Ga?

                Is Wehshi, Is Muzter Dil Ko

                Koun Waha Behlata Ho Ga?

                Wo Dasht Hay Tanhaii Ka

                Chain Waha Kab Aata Ho Ga?





                [Aitabar Sajid]
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                  Apni Ruswaii , Teray Naam Ka Charcha Dekhon
                  Ak Zara Sher Kahon Or Main Kia Kia Dekhon

                  Neend Aa Jaye Tu Kia Mehfelay Barpa Dekhon
                  Aankh Khul Jaye Tu Tanhaii Ka Sehra Dekhon

                  Shaam Bhi Ho Gaii Dhoondh La Gai Aankhay Meri
                  Bholnay Walay, Main Kab Tak Tera Rasta Dekhon

                  Ak Ak Kar Kay Mujhay Chorr Gaii Sab Sakhyaan
                  Aaj Main Khud Ko Teri Yaad Main Tanha Dekhon

                  Kaash Sandal Say Meri Maang Ujalay Aa Kar
                  Itnay Ghairon Main Wahi Haath, Jo Apna Dekhon

                  Tu Mera Kuch Nahi Lagta Mager Jan -e- Hayaat
                  Janay Kyun Teray Liye Dil Ko Dharakta Dekhon

                  Band Kar Kay Meri Aankhay Wo Shararat Say Hansay
                  Boujhay Janay Ka Main Har Roz Tamasha Dekhon

                  Sab Ziday Us Ki Main Puri Karon, Har Baat Suno
                  Ak Bachay Ki Tarah Say Usay Hansta Dekhon

                  Mujh Pay Chah Jaye Wo Barsaat Ki Khushboo Ki Tarah
                  Ang Ang Apna Isi Rutt Main Mehakta Dekhon

                  Phool Ki Tarah Meray Jesam Ka Har Lab Khul Jaye
                  Phankhari Phankhari Un Honton Ka Saya Dekhon

                  Main Nay Jis Lamhay Ko Pooja Hay, Usay Bas Ak Baar
                  Khowab Ban Kar Teri Aankhon Main Utarta Dekhon

                  Tu Meri Tarah Say Yakta Hay, Mager Meray Habeeb
                  Jee Main Aata Hay, Koii Or Bhi Tujh Sa Dekhon

                  Toot Jaye Keh Pighal Jaye Meray Kachay Gharay
                  Tujh Ko Main Dekhon Keh Yeh Aag Ka Darya Dekhon
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                    Ajeeb Tarz -e- Mulaqat Ab Kay Baar Rahi
                    Tumhe Thay Badlay Howay Ya Meri Negahain Thi !

                    Tumhari Nazroon Say Lagta Tha Jesay Meri Bajaye
                    Tumharay Ghar Main Koee Or Shaks Aaya Hai
                    Tumaray Aohday Ke Denay Tumhay Mubarak Baad
                    So Tum Nay Mera Sawagat Usi Tarah Say Kiya
                    Jo Afsaran -e- Hakoomat Kay Aticate Main Hai !

                    Takalufan Meray Nazdeek Aa Kay Beth Gaye
                    Pher Ahtamaam Say Mousam Ka Zkar Chairr Diya
                    Kuch Us Kay Baad Siasat Ke Baat Nikli
                    Adab Per Bhi Koee Do Charr Tabsaray Farmaye
                    Mager Na Tum Nay Hamaysha Ke Tarah Yeh Pucha
                    Keh Waqt Kesa Guzarta Hai Tera, Jan -e- Hayaat
                    Pahaar Din Ke Azeeyat Main Kitni Shiddat Hai
                    Ujaar Raat Ke Tanhaii Kia Kayamat Hai
                    Shaboo Ke Sust-Rawi Ka Tujhay Bhi Shikwa Hai
                    Ghum -e- Faraq Kay Qissay, Nashaat -e- Wasal Ka Zikar
                    Rewayatan Hi Sahi, Koii Baat Tu Kartay
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                      Ajnabi,

                      Kabhi Zindagi Main Ager Tu Akela Ho,

                      Or Dard Hadd Say Guzar Jaye

                      Aankhay Teri

                      Baat Be Baat Ro Paray

                      Tab Koee Ajnabi

                      Teri Tanhaii Kay Chaand Ka Naram Haala Banay

                      Teri Qaamat Ka Saya Banay

                      Teray Zakhmoo Pay Marham Rakhay

                      Teri Palkoon Say Shabnum Chunay

                      Teray Dukh Ka Maseeha Banay
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                        Koo-ba-Koo Phail Gaee Baat Shanasaii Ki
                        Us Nay Khushboo Ki Terah Meri Paziraii Ki

                        Kesay Keh Doon Keh Mujhay Chorr Dia Hay Us Nay
                        Baat Tu Sach Hay, Mager Baat Hay Ruswaii Ki

                        Wo Kahi Bhi Gia, Louta Tu Meray Paas Aaya
                        Bas, Yahi Baat Hay Achi Meray Harjaii Ki

                        Tera Pehloo Teray Dil Ki Tarah Aabad Rahay
                        Tujh Pay Guzray Na Qyamat Shab -e- Tanhaii Ki

                        Us Nay Jalti Hoii Paishani Pay Jab Haath Rakha
                        Roh Tak Aa Gaii Taseer Masehaii Ki

                        Ab Bhi Barsat Kay Rutoon Main Badan Toot-ta Hay
                        Jaag Uthti Hain Ajab Khowahishay Angraii Ki
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                          Dua Ka Toota Howa Hurf Sard Aah Main Hai
                          Teri Judaii Ka Manzar Abhi Negah Main Hai

                          Teray Badalnay Kay Ba-Wasf Tujh Ko Chaha Hai
                          Yeh Ahtaraaf Bhi Meray Shamil -e- Gunah Main Hai

                          Aazab Day Ga Tu Pher Mujh Ko Khowab Bhi Day Ga
                          Main Mutmaeen Hoon, Mera Dil Teri Panah Main Hai

                          Bikhar Chuka Hai Mager Muskura Kay Milta Hai
                          Wo Rakh Rakhao Abhi Meray Kaj-Kalah Main Hai

                          Jsay Bahaar Kay Mehmaan Khaali Chorr Gaye
                          Wo Ak Makaan Abhi Tak Makeen Ke Chaa Main Hai

                          Yahi Wo Din Thay Jab Ak Dosray Ko Paya Tha
                          Hamari Saalgirah Theek Ab Kay Maah Main Hai

                          Main Bach Bhi JaoN Tu Tanhaii Maar Dalay Ge
                          Meray Qabilay Ka Har Fard Qatal Gah Main Hai
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                            Us Akeli Chataan Nay

                            Samandar Kay Hamrah

                            Tanhaii Ka Zhar Itna Piya Hai

                            Keh Us Ka Suneiri Badan Neela Parnay Laga Hai
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.



                              Phool Khilnay Ki Ghari


                              Pehlay Aap Bataye Mujh Ko

                              Aap Ka Chehra Peela Kyun Hay?

                              Aap Kay Kapray Mailay Kyun Hain?

                              Wo Neeli See Shart Kaha Hay?

                              Aap Ki Ladder Belt Kaha Hay?

                              Ainak Ka Number Kyun Badlay?

                              Kyun Dhoondlee Dhoondlee Hain Aankhain?

                              Kyun Itna Likhtay Parhtay Hain?

                              Aap Kay In Uljhay Baalon Ko

                              Koun Waha Suljhata Ho Ga?

                              Is Wehshi, Is Muzter Dil Ko

                              Koun Waha Behlata Ho Ga?

                              Wo Dasht Hay Tanhaii Ka

                              Chain Waha Kab Aata Ho Ga?
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                                24

                                میرے بعد۔۔ کدھر جائے گی تنہائی
                                میں جو مرا تو مر جائے گی تنہائی
                                *
                                ویرانہ ہوں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ آبادی سے آیا ہوں
                                دیکھے گی تو ڈر جائے گی تنہائی
                                *
                                میں جب رو رو کے دریا بن جاؤں گا
                                اس دن۔۔۔۔۔ پار اتر جائے گی تنہائی،،!!!
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X