Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MonthlY poetry contest of month Januray.

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

    Mousam Ko Esharon Say Bula Kyun Nahi Laitay
    Rutha Hay Ager Wo Tu Mana Kyun Nahi Laitay

    Deewana Tumhara Koii Ghair Nahi Hay
    Machla Bhi Tu Seenay Say Laga Kyun Nahi Laitay

    Khat Likh Kar Kabhi Or Kabhi Khat Ko Jala Kar
    Tanhaii Ko Rangeen Bana Kyun Nahi Laitay

    Tum Jag Rahay Ho Mujh Ko Acha Nahi Lagta
    Chupkay Say Meri Neend Chura Kyun Nahi Laitay
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • #77
      Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

      Raat Phir Hum Say Rahi Neend Khafa Dair Talak
      Yaad Wo Aati Rahi Mast Ada Dair Talak

      Dasht -e- Tanhaii Main Ashkon Ka Sahara Lay Kar
      Hum Nay Maangi Teray Milnay Ki Dua Dair Talak

      Jaaney Kyun Har Morr Pay Milti Rahi Ay SAAQI!
      Hum Ko Jurm -e- MUHABBAT Ki Saza Dair Talak

      Dasht -e- Tanhaii Main Ashkon Ka Sahara Lay Kar
      Hum Nay Maangi Teray Milnay Ki Dua Dair Talak
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • #78
        Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

        ~~mErI TaNhai ~~
        ~~ pOeM # 18 ~~











        Tere hijar min aj phir sogwar sa betha hon.
        Teri yad min jalte hoe bhi bujha betha hon.


        Zeest ka safar najane kab khatam ho mera.
        Shab-e-
        tanhai min aj phir tera qisa liye betha hon.

        Bht door tu chala gaya he phir bhi min.
        Tere hi khayalon min uljha suljha betha hon.


        Najane kab aye ga wo tujh se milan ka din.
        Isi soch min ab khud se kinara kiye betha hon.












        Comment


        • #79
          Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

          ~~mErI TaNhai ~~
          ~~ pOeM # 19 ~~







          Sukhe hont, sulagti aankhen, sarson jesa rang.
          Barson bad wo dekh k mujh ko reh jae ga dang.



          Maazi ka wo lamha mujh ko aaj bhi khoon rulaye.
          Ukhri ukhri baten us ki gheron jesa dhang.



          Taara ban kar door ufaq par kale larze dole.
          Kachi dor se urne wali dekho aik patang.



          Dil ko to pehle hi dard ki deemak chaat gai thi.
          Rooh ko bhi ab khata jaye
          tanhai ka zang.



          Un hi k sadqe ya rab meri mushkil kar aasan.
          Mere jese aur bhi hen jo dil k hathon tang.



          Sab kuch de kar hans di aur phir kehne lagi taqdeer.
          Kabhi na poori hogi tere dil ki aik umang.



          Shabnam koi jo tujh se hare, jeet pe maan na karna.
          Jeet wo ho gi jab jeeto gi apne aap se jang.





          Comment


          • #80
            Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

            ~~mErI TaNhai ~~
            ~~ pOeM # 20 ~~







            Khizan k mosam min gulab chor gaya.
            Zindagi bhar ka mere liye azab chor gaya.

            Wo meri qurbaton ka hamsafr jab gaya to.
            Tanhaiyon pe likhi hoi kitab chor gaya.

            Zaruri nhi har kisi ko milen chahaten.
            Kya tha sawal kiya jawab chor gaya.

            Sari zindagi wo parhta raha dusron k chehre.
            Jis min tha zikr mera wo bab chor gaya.

            Aas thi jis shakhs se mujhe zindagi ki.
            Ankhon min toote hoe khuwab chor gaya.

            Ye jhut he k us se kuch mila hi nhi.
            Yaden wo apni behisab chor gaya.







            Comment


            • #81
              Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

              ~~mErI TaNhai ~~
              ~~ pOeM # 21 ~~







              Tumhen pa k khona mere bas min nhi.
              Ab koi or zakhm pirona mere bas min nhi.

              Aik umar tak dhoya he dil k dagon ko.
              Ab ye dagh dhona mere bas min nhi.

              Jag chuke hen bht shab ki
              tanhaiyon min.
              K ab raton ko sona mere bas min nhi.

              Khushiyon ki aakhri umeed le k aya hon tere dar pe.
              Dukhon min ab or rona mere bas min nhi.

              Tere bad nazar ati nhi mujhe koi bhi manzil.
              Kisi aur ka hona ab mere bas min nhi.







              Comment


              • #82
                Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                ~~mErI TaNhai ~~
                ~~ pOeM # 22 ~~







                Be-karan tanhaiyon ka silsila reh jaye ga.
                Tere mere darmiyan, bas ik khala reh jaye ga.

                Aks beh jaen ge sare dhoop k sailab min.
                Aur koi paniyon min jhankta reh jaye ga.

                Mujh ko mere hamsafar aisa safar darpesh he.
                Rasta kat bhi gaya to fasla reh jaye ga.

                Log so jaen ge khamoshi ki chadar orh kar.
                Chaand soone aanganon min jagta reh jaye ga.

                Jo kabhi us ne parhin thin mujh se Nasir mang kar.
                Nam mera un kitabon min likha reh jaye ga.






                Comment


                • #83
                  Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                  ~~mErI TaNhai ~~
                  ~~ pOeM # 23 ~~









                  Pathar bana diya mujhe rone nhi diya.
                  Daman bhi tere gham min bhigone nhi diya.




                  Tanhaiyan tumhara pata puchti rahin.
                  Shab bhar tumhari yad ne sone nhi diya.




                  Dil ko tumhari yad k aansu aziz the.
                  Duniya k koi gham samone nhi diya.




                  Nasir yon us ki yad chali hath tham kar.
                  Mele min is jahan k khone nhi diya.





                  Comment


                  • #84
                    Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                    ~~mErI TaNhai ~~
                    ~~ pOeM # 24 ~~








                    Use kehna k loat ao, suna he Eid ayi he.
                    Aik bar to a kar mil jao, suna he Eid ayi he.

                    Use kehna k bin tere bht Eiden guzri hen.
                    Is bar to milne a jao, suna he Eid ayi he.

                    Use kehna judai se mohabat kam nhi hoti.
                    Ye duniya ko batla jao, k suna he Eid ayi he.

                    Use kehna k chahat ka bharam na tootne dena.
                    Tum pal do pal hi a jao, suna he Eid ayi he.

                    Use kehna k tanha he koi Eid k din bhi.
                    Ye
                    tanhai mita jao, suna he Eid ayi he.




                    Comment


                    • #85
                      Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                      ~~mErI TaNhai ~~
                      ~~ pOeM # 25 ~~


                      Yon bhi hoa rat ko jab log so gaye.
                      Tanhai aur min, teri baton min kho gaye.

                      Aa dekh tujh se log jo rehte the door door.
                      Saaye min teri yad k chup chap so gaye.

                      Hum wo jo sare shehar k karte the faisle.
                      Hum log teri chaah min ruswa bhi ho gaye.

                      Tum kya gaye k waqt ka ehsas mar gaya.
                      Raton ko jagte rahe aur din ko so gaye.

                      Ab zindagi ki shelf min dhoonda karen ge log.
                      Arzaan hoe hum itne k nayab ho gaye.

                      Arshad wafa ki rah min shiddat thi is qadar.
                      Tujh se the kitne log jo raste min kho gaye


                      Comment


                      • #86
                        Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                        ~~mErI TaNhai ~~
                        ~~ pOeM # 26 ~~





                        Dukhon ki shiddaten, zakhmon ki gehrai mujhe de do.
                        Maseeha tum sahi azn-e-maseehai mujhe de do.

                        Tum apni zat min khud anjuman ho, tum ko kya gham he.
                        Min tanha hon ye zouq-e-bazm aarai mujhe de do.

                        Tum apne dil k darwaze muqaffal shoq se kar lo.
                        Bas apni zat se azn-e- shanasai mujhe de do.

                        Tumhare bad har manzar mujhe be-rang lagta he.
                        Ye aankhen cheen lo ya apni beenai mujhe de do.

                        Min sanson min samo lon ga tumhari har amanat ko.
                        Ye wehshat-nak sannate ye
                        tanhai mujhe de do.

                        Meri shohrat tumhare kam aa jaye to hazir he.
                        Tumhen duniya ne bakhshi he jo ruswai mujhe de do.

                        Min shayar hon mere be-kaif, be-taseer lafzon ko.
                        Amar kar do tum apne gham ki ra’anai mujhe de do
                        .





                        Comment


                        • #87
                          Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                          Sapna Aagay Jata Kesay



                          Chotta Sa Ak Gao'on Tha Jis Main

                          DiyeThay Kam Or Bohat Andhera

                          Bohat Shajer Thay Thoray Ghar Thay

                          Jin Ko Tha Doori Nay Ghera

                          Itni Bari Tanhaii Thi Jis Main

                          Jagta Rehta Tha Dil Mera

                          Bohat Qadeem Faraq Tha Jis Main

                          Ak Muqarar Hadd Say Aagay

                          Soch Na Sakta Tha Dil Mera

                          Aisi Sourat Main Phir Dil Ko

                          Dheyaan Aata Kis Khowab Main Tera

                          Raaz Jo Hadd Say Bahar Main Tha

                          Apna Aap Dekhata Kesay

                          Sapnay Ki Bhi Hadd Thi Aakhir

                          Sapna Aagay Jata Kesay




                          [ Muneer Niazi ]
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • #88
                            Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                            Mujhay Bas Itna Kehna Hay , Kabhi Main Yaad Aao Tu

                            Kabhi Tanhaii Ki Raatein , Tumhay Ziada Satayein Tu

                            Kabhi Tetlee Na Bolay Tu , Or Jugnoo Lout Jaye Tu

                            Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaye , Koii Jab Sun Na Paaye Tu

                            Kabhi Jab Dost Sathi Bhi Jo Tum Say Routh Jaein Tu

                            Kabhi Jab Khud Say Lar Kar Thakaan Say Chorr Ho Jao Tu

                            Kabhi Chaltay Howay Bhi Khud Akelay Ro Na Pao Tu

                            Apni Aankhon Ko Band Karna Mujhay Aawaz Day Dena

                            Pher Meray Tasewer Say Jo Chahay Baatein Keh Dena

                            Meray Kandhay Per Sir Rakh Kar Tum Jitna Chahay Ro Laina

                            Jab Main Khud Lout Jaoon Tu Apni Dunya Chalay Jana
                            Keh Jab Bhi Dukh Ya Khushyon Main

                            Humay Dil Say Pukaro Gaye

                            Humay Tum Saath Pao Gaye




                            [ M.Yousuf ]
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • #89
                              Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                              Main Nay Tum Ko Yaad Kia



                              1) Chahat Kay Is Darya Per
                              Darya Or Kinaray Per
                              Dil Ko Yon Aazad Kia
                              Main Nay Tum Ko Yaad Kia



                              2) Tanhaii Ki Raton Main
                              Khud Hi Baaton Baaton Main
                              Is Dil Ko Yon Shaad Kia
                              Main Nay Tum Ko Yaad Kia



                              3) Jab Say Tum Ko Dekha Hay
                              Jab Say Tum Ko Chaha Hay
                              Har Ak Pal Faryaad Kia
                              Main Nay Tum Ko Yaad Kia



                              4) Is Jeewan Kay Nisaabon Main
                              Or Raaton Kay Khowabon Main
                              Jaag Kay Bhi Dil Shaad Kia
                              Main Nay Tum Ko Yaad Kia



                              5) Phool Yeh Khilnay Say Pehlay
                              Tum Ko Milnay Say Pehlay
                              Khud Ko Yon Barbaad Kia
                              Main Nay Tum Ko Yaad Kia
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • #90
                                Re: MonthlY poetry contest of month Januray.

                                Wo Ishq Jo Hum Say Routh Gia



                                1)

                                Wo Ishq Jo Hum Say Routh Gia
                                Ab Us Ka Haal Sunaye Kia
                                Koii Mehar Nahi Koii Qhar Nahi
                                Phir Sacha Sher Sunaye Kia


                                2)

                                Ak Hijar Jo Hum Ko Lahaq Hay
                                Ta Dair Usay Dhoraye Kia
                                Wo Zehar Jo Dil Main Utaar Liya
                                Phir Us Kay Naaz Uthaye Kia


                                3)

                                Phir Aankhain Lahon Say Khali Hain
                                Ye Shamein Bujhnay Wali Hain
                                Hum Khud Bhi Kesi Kay Sawali Hain
                                Is Baat Per Hum Sharmaye Kia


                                4)

                                Ak Aag Ghum -e- Tanhaii Ki
                                Jo Saray Badan Main Phail Gaii
                                Jab Jism Hi Sara Jalta Ho
                                Phir Daaman -e- Dil Bachaye Kia


                                5)

                                Hum Nagma Sira Kuch Ghazlon Kay
                                Hum Sourat Gar Kuch Khowabon Kay
                                Be-Jazba -e- Shouq Sunaye Kia
                                Koii Khowab Na Ho Tu Bataye Kia
                                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                                Comment

                                Working...
                                X