Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sara Poetry Collection !!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: Sara Poetry Collection !!!

    Sehar jo ayi to layi usai chirag ko mot
    sari raat jalta raha jo sehar ke liye .!


    Comment


    • #92
      Re: Sara Poetry Collection !!!

      Jab tera Hukam mila tarq muhabat kardi
      Dil mager is pe wo dharka ke Qiyamat kardi

      Muj ko dushman ke Irado par bhi Piyaar ata hai
      teri Ulfat ne muhabat meri Adat kardi...

      Mai to samja tha ke lot ate hain jane wale
      tune ja kar to judai hi meri kismat kardi....

      jab tera Hukam mila tarq muhabat kardi......


      Comment


      • #93
        Re: Sara Poetry Collection !!!

        hawa thami zarur thi lekin
        wo shaam bhi jesy sisak rahi thi,

        ke zard patoon ko andhiyoon ne
        ajeeb Qisah suna dia tha ,
        ke jis ko sun ke tamam pate
        sisak rahe thay bilak rahy thay,

        hum ne tum ko bohat dhunda
        har aik rasta
        har aik vaadi
        har aik parbat
        mager tumari kahi se koi khabar na aai

        to sun ke hum ne b dil ko talla
        hawa thamay gi to dekh lay ghay

        hawa thami zarur thi lekin
        bohat hi mudat guzar chuki thi
        falak sitary nahi rahe thay
        ghulaab saray nahi rahy thay

        wo jin se zinda thi dil ki basti
        wo log saray nahi rahy thay
        ke tum humaray nahi rahy thay

        hawa thami zarur thi lekin
        bari mudat guzar chuki thi...!!!


        Comment


        • #94
          Re: Sara Poetry Collection !!!

          Sarapa Ashak Hoon Mein ab Bikhar Jaon To Behtar Hai,
          Jidhar Jate Hain ye Badal Udhar Jaon To Behtar Hai,

          Ye Dil Kehta Hai Tere Shehar Mein Kuch Din Thehar Jaon,
          Magar Halaat Kehte Hain K Ghar Jaon To Behtar Hai

          Dillon Mein Farq Aayen Gay Taaluq Toot Jayen Gay,
          Jo Dekha, Jo Suna Us Se Mukkar Jaon To Behtar Hai,

          Yahan Hai Kon Mera Jo Mujhe Samjhey Ga “faraz”,
          Main Koshish Kar K Ab Khud Hi Sudhar Jaon To Behtar Hai


          Comment


          • #95
            Re: Sara Poetry Collection !!!

            Khafa hai mujse mujay Pareshan karta hai
            Ajeeb shaks hai khud se badgumaan karta hai

            na meri Parwah hai na meray haal ki kuch khabar
            Salook wo karne laga hai jesy anjaan karta hai

            ab mere zikar se uktana, mujse katra k ghuzar jana
            Aisa lagta hai jesy wo doori ka samaan karta hai

            pehle to mujse milna hi Aham tha jis k liye
            Ab milta b hai to jesy Ayhsan karta hai

            Taluq torna hai hai to Aa k keh de muje
            wo aise batein gairon se kiu biyaan karta hai


            Comment


            • #96
              Re: Sara Poetry Collection !!!

              Meri Chaahat Ka Mukhtasar Mausam,
              Rizq Ki Justuju Mein Beet Gayaa. !!!


              Comment


              • #97
                Re: Sara Poetry Collection !!!

                Darmiyan ab gham-e-hijar ho to muje kya
                tume ab meri khabar ho, na ho muje kya

                Jab ho gai gham se meri duniya taho-bala
                ab koi jahan zairo-zabar ho to muje kya

                Jab Khaak b baki na rahi Qalb-o-jiger ki
                tum mery liye khaak basar ho to muje kya

                or mery dil main veran main ujala nahi hota
                tum gairt-e-khurshido Qamar ho to muje kya

                hai ab meri duniya main sara-sar shabe furqat
                ab is shabe furqat ki sehar ho to muje kya

                acha hai k bin mery guzar jaye kesi ki
                or yun b kesi ki guzar na ho to muje kya


                Comment


                • #98
                  Re: Sara Poetry Collection !!!

                  aziiz itanaa hii rakho ke jii sa.Nbhal jaaye
                  ab is qadar bhii na chaaho ke dam nikal jaaye

                  mile hai.n yuu.N to bahut aao ab mile.n yuu.N bhii
                  ke ruuh garmii-e-a.nfaas se pighal jaaye

                  muhabbato.n me.n ajab hai dilo.n ko dha.Dakaa saa
                  ke jaane kaun kahaa.N raastaa badal jaaye

                  rahe vo dil jo tamannaa-e-taazaa tar me.n rahe
                  Khushaa vo umr jo Khvaabo.n hii me.n bahal jaaye

                  mai.n vo charaaG-e-sar-e-rahaguzaar-e-duniyaa huu.N
                  jo apanii zaat kii tanhaaiiyo.n me.n jal jaaye

                  har ek lahajaa yahii aarazuu yahii hasarat
                  jo aag dil me.n hai vo sher me.n bhii Dhal jaaye


                  Comment


                  • #99
                    Re: Sara Poetry Collection !!!

                    Main zard beej ho0n aor sabz hona chahta hoon
                    Mairi zameen,tairi mitti ka mashwara kiya hy??

                    Bikhr raha hoon teri tarah mein b aey rad e gul
                    So tujh sy poochta ho0n,taira tajarba kiya hy ??


                    Comment


                    • Re: Sara Poetry Collection !!!

                      shaam se aa.Nkh me.n namii sii hai
                      aaj phir aap kii kamii sii hai

                      dafn kar do hame.n ki saa.Ns mile
                      nabz kuchh der se thamii sii hai

                      vaqt rahataa nahii.n kahii.n chhupakar
                      is kii aadat bhii aadamii sii hai

                      ko_ii rishtaa nahii.n rahaa phir bhii
                      ek tasliim laazamii sii hai


                      Comment


                      • Re: Sara Poetry Collection !!!



                        Comment


                        • Re: Sara Poetry Collection !!!

                          Dil pe karte hain dimagon pe asar karte hain
                          ham ajab log hain zehnon main safar karte hain

                          jab sarape pe kahin us ke nazar karte hain
                          mir sahab ki tarah umr basar karte hain

                          bandishen ham ko kisi hal gavara hi nahin
                          ham to vo log hain divar ko dar karte hain

                          vaqt ki tez-kharami hamain kya rokegi
                          janbish-e-kalk se sadiyon ka safar karte hain

                          naqsh-e-pa apana kahin rah main hota hi nahin
                          sar se karte hain mohim jab koi sar karte hain

                          ham-nashin khub hai ye mahafil-e-yaran ke yahan
                          vo saliqa hai ke aibon ko hunar karte hain

                          kya kahen hal tera ai mutamaddin duniya
                          janvar bhi nahin karte jo bashar karte hain

                          ham ko dushman ki bhi taqlif gavara na hui
                          log ehbab se bhi sarf-e-nazar karte hain

                          marqadon pe to charagan hai shab-o-roz magar
                          umr kuchh log andheron main basar karte hain

                          tazakara mir ka Galib ki zaban tak aya
                          aitaraf-e-hunar, arbab-e-hunar karte hain


                          Comment


                          • Re: Sara Poetry Collection !!!

                            bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
                            adhura chand bhi kitna udas lagta hai

                            ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
                            k is k bad wahi duriyon ka sahara hai

                            kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
                            kise khabar tere saye main kaun baitha hai

                            ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
                            wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai

                            main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
                            tera badan hai k ye ainon ka dariya hai


                            Comment


                            • Re: Sara Poetry Collection !!!

                              jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
                              apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua

                              mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
                              pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua

                              us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se
                              us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua

                              yun bhi kam amez tha "Mohsin" wo is shahar k logon main
                              lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua


                              Comment


                              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                                ye dil ye pagal dil mera kyon bujha gaya awaragi
                                is dasht main ik shahar tha wo kya hua awaragi

                                kal shab mujhe be-shakl si awaz ne chaunka diya
                                main ne kaha tu kaun hai us ne kaha awaragi

                                ik tu ki sadiyon se mere hamrah bhi hamraz bhi
                                ik main k tere nam se nashna awaragi

                                ye dard ki tanhaiyan ye dasht ka wiran safar
                                ham log to ukta gaye apni suna awaragi

                                ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
                                sahara k bhigi ret par main ne likha awaragi

                                le ab to dasht-e-shab ki sari wusaten sone lagin
                                ab jagna hoga hamain kab tak bata awaragi

                                kal rat tanha chand ko dekha tha main ne khwab main
                                'Mohsin' mujhe ras ayegi shayad sada awaragi


                                Comment

                                Working...
                                X