Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sara Poetry Collection !!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Sara Poetry Collection !!!

    Tu is qadar mujhe apne qareeb lagta hai
    Tujhe alag se jo sochuun, ajeeb lagta hai

    Jisay na husn se matlab na ishq se sarokaar
    Vo shaksh mujh ko bahut bad-nasiib lagta hai

    Hudood-e-zaat se baahar nikal ke dekh zara
    Na ko’ii Ghair, na ko’ii raqeeb lagta hai

    Ye dosti, ye maraasim, ye chahatein ye khuluus
    Kabhii kabhii ye sab kuch ajeeb lagta hai

    Ufaq pe duur chamaktaa huvaa ko’ii taara
    Mujhe charaagh-e-dayaar-e-habeeb lagta hai

    Na jaane kab ko’ii tuufaan aaye ga yaaron
    Buland mauj se saahil qareeb lagta hai


    Comment


    • Re: Sara Poetry Collection !!!

      Aati Hai Chahton Ki Kahani Pe Ab Hansi
      Tum Se Bichar Ke Soch Ke Rukh Bhi Badal Gaye
      Ab Tum Ko Dekh Kar Bhi Dharakta Nahi Hai Dil
      Tum Wo Nahi Rahe Ke Mere Dukh Badal Gaye


      Comment


      • Re: Sara Poetry Collection !!!

        Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarnay do
        Abhi us baywafa ki yaad main dil ko behelnay do
        Woh uski bay rukhi aur barf main lipta hua lehjaa
        Chamaktay chand ki surat koi anjaan sa chehra
        Woh meray pyar kay ehsaas ka toota hua lamha
        Mujhay bikhree hoi yadon kay angan main jhulasnay do
        Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarnay do

        Muhabbat aaj kal kay dor main aisi kahani hai
        Koi kirdaar baqi hai na lafzoon main rawani hai
        Hamaray pass ab guzray dinoon ki ik nishani hai
        Yeh gham ki shaam hai is ko meray gher main uternay do
        Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarnay do

        Abhi kuch din guzarnay do keh apnay app main aaoon
        Mujhay tanha sulagnay do keh apnay app main aaoon
        Mujhay pal pal bikhernay do keh apnay app main aaoon
        Bhula kar yaad us ki khawab keh manzer badalnay do
        Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzernay do

        Bataya tha tumko chahat kuch nahin hoti
        Yeh aisa dor hai jis main muhabbat kuch nahin hoti
        Woh sab jhootay fasaanay thay haqeeqat kuch nahin hoti
        Muhabbat daivtaa ki ab mujhay tauheen karnay do
        Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarnay do


        Comment


        • Re: Sara Poetry Collection !!!

          Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz
          Aaj dard phir kuch sunaayega
          Tanhaayiii nay baaNdhay haiN ghuNgroo
          Aaj waqt bhi thahar jaayega

          ChaaNd ! apni chaaNdni idhar rakh jaanaa
          Aanay haiN aaj kuchh bhoolay huay say chehray
          Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa
          Behal jaayeN aisay hi shaayad ahsaasoN kay safeenay
          Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna
          Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai
          In lamhoN ka hai chalan aisaa
          Ki aaj tarpaygi takhleeq lefz dar lafz
          Khaamoshi ka zehr subko pilaayaa jaayega

          Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai
          Aaj jalaiNgay khwaahishoN kay alaav
          HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
          Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
          Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRaayii
          Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai

          Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
          MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN
          Dard-e-dil ko saMbhaaluN ab main
          Ai faza'oN tum hawaaoN pay likh lena
          BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main


          Comment


          • Re: Sara Poetry Collection !!!

            Teri ulfat ka yakeen tha Tere aaney ki umeed thi
            Tere intezaar mey katii phir ek shaam zindagi ki,

            Mohabbat mey teri hum ko Bhoola yeh jahan saara
            Khud dil ki dhadkan apni humko lagti hai ajnabii si,

            Sare-raah girtey hai chaltey chaltey hum,
            Rehtey hai gum aksar khayalon me yoon tere,

            Lagta hai aisa jaisey hum par chayi ho bekhudi si
            Aawaz teri humko deti hai sukoon har dum,

            Chehra tera rehta hai meri aankhon mein sanam
            Tere dard-e-judaai mey bhi milti hai ek khushii si.!!


            Comment


            • Re: Sara Poetry Collection !!!

              Humein tumse mohabbat hai, ye sab ko pata hai
              Par tumko bataana hai, zara der lagegi

              Izhaar zubaa se toe sab hi karte hain
              Par aankhon se bataana hai, zara der lagegi

              Manzil tak ka safar lamba toe nahin hai
              Par agar tanha bitaana ho, zara der lagegi

              Ye haar jeet toe hain jeevan ke do pehlu
              Par aaj haara hoon pehli baar aur khud ko

              samajhaana hai, zara der lagegi


              Comment


              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                jo utar ke ziinaa-e-shaam se terii chashm-e-Khush mein samaa gaye
                vahii jalate bujhate se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

                ye ajiib khel hai ishq kaa main ne aap dekhaa ye mojezaa
                vo jo lafz mere gumaan mein the vo terii zubaan par aa gaye

                vo jo giit tum ne sunaa nahiin merii umr bhar kaa riyaaz thaa
                mere dard kii thii daastaan jise tum hansii mein uraa gaye

                vo charaaG-e-jaan kabhii jis kii lau na kisii havaa se niguun huii
                terii bevafaaii ke vaasavaa use chupake chupake bujhaa gaye

                vo thaa chaand shaam-e-visaal kaa ke thaa ruup tere jamaal kaa
                merii ruuh se merii aankh tak kisii raushanii mein nahaa gaye

                ye jo bandagaan-e-niyaaz hai ye tamaam hai vo lash_karii
                jinhen zindagii ne aman na dii to tere huzuur mein aa gaye

                terii beruKhii ke dayaar mein main havaa ke saath havaa huaa
                tere aaiine kii talaash mein mere Khvaab cheharaa ganvaa gaye

                tere vaasavaaon ke fishar mein teraa sharar-e-rang ujar gayaa
                merii Khvaahishon ke Gubaar mein mere maah-o-saal-e-vafaa gaye

                vo ajiib phuul se lafz the tere honh jin se mahak uThe
                mere dasht-e-Khvaab mein duur tak koii baaG jaise lagaa gaye

                merii umr se na simaT sake mere dil mein itane savaal the
                tere paas jitane javaab the terii ik nigaah mein aa gaye


                Comment


                • Re: Sara Poetry Collection !!!

                  Musafir To Bichartey Hein,Rafaqat Kab Badalti Hai
                  Mohabbat Zinda Rehti Hai,Mohabbat Kab Badalti Hai

                  Usi Ko Chahtey Hein,Usi Se Piyaar Kartey Hein
                  Yehi Barsoun Se Aadat Hai Aur Aadat Kab Badalti Hai

                  Tumhein Jo Yaad Rakha Hai Yehi Apni Ebadat Hai
                  Jo Pathar Pay Likhi Jaye,Ebarat Kab Badalti Hai

                  Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar Jana Muqadar Hai
                  Yehi Kanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kab Badalti Hai

                  Jo Dil Pay Naqash Kar Jaye Aur Aankon Mein Simat Aaye
                  Aalamat Hai Yeh Chahat Ki Aur Chahat Kab Badalti Hai

                  Ussey Chaha,Ussey Pooja,Yehi Taqdeer Hai Apni
                  Hamein Gumrah Mat Samjho,Ebadat Kab Badalti Hai

                  Puraney Zakham Ko “Kash“ Bhula Dena Hi Acha
                  Na Chahey Aap Hi Koi To Kismat Kab Badalti Hai


                  Comment


                  • Re: Sara Poetry Collection !!!

                    kabhi mujh ko saath lekar, kabhi mere saath chal kar
                    woh badal gaye achaanak meri zindagi badal kar

                    huye jis pey meharaban tum koi Khush nasib hoga
                    meri hasaratein to nikalin mere ansuuon mein Dhal ke

                    teri zulf-o-rukh kay qurban dil-e-zaar dhuundhata hai
                    wahi champai ujaale wahi suramai dhundalake

                    koi phool bun gaya hai koi chaand koi taara
                    joh chiraag bujh gaye hain teri anjuman mein jal ke

                    mere dosto khudara mere saath tum bhi dhuundo
                    woh yahin kahin chhupey hain mere ghum kaa rukh badal kay

                    teri bejhijhak hansi say na kisi kaa dil ho mailaa
                    yeh nagar hai aainon kaa yahaan saans le sambhal ke


                    Comment


                    • Re: Sara Poetry Collection !!!

                      Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
                      Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..

                      Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi.......
                      Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...

                      Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
                      Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...

                      Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say..
                      Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga..

                      Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay........
                      Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga..

                      Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana.........
                      Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......

                      Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab....
                      Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga....


                      Comment


                      • Re: Sara Poetry Collection !!!

                        unka thikana to dil me tha hamare

                        par unse do kadam aaya na gaya

                        hume ro kar pucha kyon tod diya pyar ka waada

                        usne haskar kaha bus nibhaya na gaya


                        Comment


                        • Re: Sara Poetry Collection !!!

                          Khuda hum ko aisi khudai na dey,
                          Key apney siwa kuch dikhai na dey,

                          Khatawaar samjhey gi duniya tujhey,
                          Ab itni zyada safai na dey,

                          Hanso aaj itna key is shor mein,
                          Sada siskiyon ki sunai na dey,

                          Mujhey apni chadar mein is tarah dhaap lo,
                          Zameen asmaan kuch dikhai na dey,

                          Khuda aisey ihsaas ka naam hai,
                          Rahey samney aur dikhai bhi na dey


                          Comment


                          • Re: Sara Poetry Collection !!!

                            Jo pathar ho unhe dil ki sadaye kuch nahi kehti,
                            Agar sachchi mohabbat ho to phir wo chup nahi rehti,


                            Zaroori to nahi dil ko lafzon mein bayan kar doon,
                            Idhar dekho kya meri aankhe tumse kuch nahi kehti,


                            Teri masoom soorat jab se mere dil mein utri hai,
                            Mujhe yeh shokh yeh chanchal adaye kuch nahi kehti,


                            Yeh jadoo mere lafzon ka chal hi gaya aakhir,
                            Ke wo bhi gumsum si rehti hai kisi se kuch nahi kehti..!!!


                            Comment


                            • Re: Sara Poetry Collection !!!

                              Wo jazbon ki tijaratt thi yeh dil kuch aur samjha thaa...
                              Usay hasnay ki adat thi yeh dil kuch aur samja thaa...

                              Mujhe us ne kaha ao nai duniya basatay hain...
                              Usay soji shararat thi yeh dil kuch aur samja tha...

                              Hamesha us ki ankho mai dung say rang hote thee..
                              yeh us ki aam halaat thi yeh dil kuch aur samjha tha...

                              Wo mere pas beti dair tak ghazlain mere suntii..
                              Usay khudsay muhabbat thi yeh dil kuch aur samja tha..

                              Mere Kandhay per sar rakh kar kahen per kho gae thi...
                              Yeh ek waqti enayat thi ye dil kuch aur samja tha...

                              Mujhe wo dakh kar aksar negaheen pheer lete thii...
                              Yeh darparda haqarat thi yeh dil kuch aur samjha tha...


                              Comment


                              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                                kaisy mumkin tha keh her shakhs ko apna krtey
                                log to aaina they kya logo se dhoka krtey
                                sar-e-mehfil hanstey they sirf anaa ki khatir
                                warna halaat to aisy they keh roya krtey...!!


                                Comment

                                Working...
                                X