Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sara Poetry Collection !!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Sara Poetry Collection !!!

    yeh kaisa ahaad tha ke nibhane bhi na aye
    ankhoun ko koi khwaab dikhane bhi na aye


    Comment


    • Re: Sara Poetry Collection !!!

      yaad Rakhna Hi mUhabbat Mein Nahi Sab Kuch
      BhOol Jaana Bhi baRi Baat hUa Kartii hAi


      Comment


      • Re: Sara Poetry Collection !!!

        Kahan jao gay mojhay chor kar, main yehi pooch pooch ke thak gaya
        Woh jawab mojh ko nah day saka, woh to khod sarapa sawal tha


        Comment


        • Re: Sara Poetry Collection !!!

          MOHABBAT mat SAMJH Laina




          Kisi k Sath Chalne OR Dukh Sukh Ki Sharakat KO
          Mohabbat mat Samjh Laina
          Mohabbat ka Labada Paniyon k Rung Jaisa Hai
          Mohabbat saat Pardoon main Nihaan ho kr Ayaaan Hai
          Ye Hakeekat Hai
          Aur Es ki Khushboun Ko
          Hum Dhanak main Dhond Sakte

          Magar Ye bhi Hakeekat Hai
          K Es ko Jis ne Paya Hai
          Wo Apna Ap KHO Betha
          Ye Mil kr bhi Nahi Milti

          Kisi k Sath Chalne or Dukh Sukh Ki Shrakat ko
          Mohabbat mat Samjh Laina
          K JIS KO CHOO LIYA JAYE
          KHUDA WO HO NAHI SAKTA
          MOHABBAT AISA NSHTAR HAI
          FANA JO HO NAHI SAKTA


          Comment


          • Re: Sara Poetry Collection !!!

            MOSAM-e-Gul Ka Akhari PAYGHAM



            Jab ye Socho K Bhar Chuka Hai Dil
            Mari Chahat Mari Rafaqat Se
            Khud Ko Waqf-e-Azaab mat Krna
            Lamba Chorra KHATAB mat Krna
            Card bhi INTAKHAB mat Krna
            Aik Sokha Hoa Gulab Ka Phool
            Bas Lfafay main Bajhe daina Tum
            Mari Tashna Mohabbton k NAM
            Mosam-e-Gul ka Akhari Paygham


            Comment


            • Re: Sara Poetry Collection !!!

              Chalo Aub Feysala Kr Lo


              Chalo Aub Fesala Kr Lo
              K Jo Apni Mohabat Thee
              Nasha Tha Wo Jawani Ka
              Khumar Utra Tu Jana
              Mohabbat Youn Nahi Hoti
              Jo Main ne Khawab Dahkee Thay
              Aub Un Ki Kerchiyan Hain
              Aur Zahmi Paaon Hain Mare
              Tumhara Hmqadam Rehna
              Mujhe Mumkin Nahi Lagta
              Tumhare or Mare Darmyan
              Dewaar Hai Shayed
              Jo Har giz Girr nahi Sakti
              Tumhein Wo Log Payare Hain
              Jo Mujh Ko Zehar Lagte Hain
              Mujhe Tum Aub bhi payare Ho
              Magar Aub Morre Aisa Hai
              Jahan Itne Mukhalaf Hain
              Tumhein Ye Tu pata Hoga
              Mukhalaf Simat Chalne se
              Kabhi Manzil Nahi Milti
              Tu Phair Kyoun Waqat Khote Ho
              Chalo Aub Feysala Kr Lo


              Comment


              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                DUKH KI BAAT


                Bichar Gay Hain tu Phir Milein Gay Hum Dono Ek Bar
                Ya Es Basti DUniya Main Ya Us Ki Hadoon K Paar
                Lakin Ghum Hai Tu Bas Itna Jab Hum Wahan Milein Gay
                Ek Dosre Ko Hum Kaise Tab Pehchan Sakein Gay
                Ye Sochate Apni Jaga Chup Chap Khare Rahain Gay
                Es SE pEHLE bHI hUM dONO Kahein Zaror Mile Thay
                Ye pehchan K Nay Shagofay Pehle Kahan Khulay Thay
                Ya Es Basti DUNIYA main Ya Us Ki Hadoon K PAAR
                BICHAR Gay Hain MIL kr Dono Pehle Bhi Ek Bar


                Comment


                • Re: Sara Poetry Collection !!!

                  ........RAD-e-AMAL........

                  Gay Mousam K Kisi Lamhay Main
                  Tu Ne Es Tarha Pukara Thaa Mujhe
                  Jaise MADHAM ka Bohat METHA Sur
                  Rohh Ka Koi Sirra CHHO Jaye
                  Jaise SHABNAM ka Akela MOTI
                  AARZ-e-BARG-e-HINA Chho Jaye
                  Jaise Ek MOJ Hawa Ki SORAT
                  RAAT ki RANI se Kuch RAAZ Kahay
                  Jaise BACHPAN ki SAHEYLI mari
                  SHOH Lehjay Main Tari BAAT Kahay


                  Comment


                  • Re: Sara Poetry Collection !!!

                    ........KIA KAHON TUM SE........

                    Hum Mohabbat ko Lifafon Main Nahi Rakh Sakte
                    Ek Do Pal Raat k Apne Liye Rakh Choray Thay
                    Aub Wo TANHAIE ka LAMHA bhi SANAM Tera Hoa
                    Itne MANOOS Hoe HainTari KHUSHBO Se k Aub
                    Hum Ko Har SHAKHS se tari Hi MEHAK Atyi hai
                    Hum Koi AHD-e-WAFA Tujh SE Nahi Mangte Hain
                    Ye Jo ByTabi Hai ByChaini Hai Sub Tera KHUMAR
                    Mare ANGAN main SITAROON ki Jo BARSATAIN hain
                    CHAND jo THEHR Geya Hai Mari Chhat Par Aa Kr
                    Ye KARSHMEIN hain Tare,Tari INAYET hai SANAM
                    Aur Aub Es k Siwa Tujh Se Bhala Kia Mangein
                    Aur Waise Bhi Hawaoon Ka Thekana Hai Kahan
                    KAGHZI RISHTON main SMJHOTON ki ZANJEEREIN hain
                    Hum MOHABBAT ko LIFAFOON main Nahi RAKH Sakte


                    Comment


                    • Re: Sara Poetry Collection !!!

                      Chalo Phir Nafratoon Ki Aag Ko
                      Ikhlaas K Chashmoon Se Dhoo Dalain
                      Jinhon Ne Dil Ba Dil,Lamha Ba Lamha
                      BadGumaani Kasht Ki Hai
                      Un Wafa NaAshana Sochoon Ko
                      Zehnoon Se Kurchh Kr
                      Dedah O NaDedah Zekhmoon Ko Dafan Kr K
                      Lagaien Aeon Sab Mil Kr
                      Kuch Zeetoon Ki Shakhein
                      K Jin K Shabnami Saayee Main Khwaboon Ka Baseera Ho
                      Jahan Had-e-Takhiyul Tak Saweera Hi Saweera Ho


                      Comment


                      • Re: Sara Poetry Collection !!!

                        Mohabbat Nam Ka Jo Ek Jazera Hai
                        Wahan Jana Pare Tum Ko
                        Hamari Yaad Ko Bhi Sath Lay Laina
                        Suna Hai Es Jazeeray Pe Kabhi Do Hanas Rehte Thay
                        Wo Dono Aik Doje K Dilon Par Raj Karte Thay
                        Wo Ek Doje Ki Ankhon Main Utar Kr Khwab Chunte Thay
                        Wafa K Taney Baney Reshami Batoon Se Bunte Thay
                        Phir Roz Us Ki Tajdeed Bhi Karte Thay
                        Magar Rutt K Badalte Hi Hoa Aise
                        Wo Dono Mukhtalif Simatoon Main Chal Nikle
                        Suna Hai Phir Dono Ko Ek sath Nahi Dekha
                        Mohabbat Nam Ka Jo Ek Jazera Hai
                        Wahan Jana Pare Tum Ko
                        To Us Tanha Shajar K Paas Bhi Jana
                        K Jis Ki Sari Shakhon K Labade Par
                        Har Ek Janib Ek Nam Likha Hai
                        Suna Hai Likhne Wala Zindagi Bhar
                        Phir Kabhi Kuch Na Likh Paya
                        Wo Apni Ungliyon Par Khon Ki Muhrein Laga Betha
                        Muqadar War Kr Betha,Wo Khud ko Haar kr Betha
                        Mohabbat Nam Ka Jo Ek Jazeera Hai
                        Wahan Jana Pare Tum Ko
                        Hamari yaad ko Bhi Sath Lay Laina
                        Hamari yad Tapti Dhoop Main Chaaon Ki Sorat Hai
                        Ye Mazi K Kisi Maasom Se Gaaon Ki Sorat Hai


                        Comment


                        • Re: Sara Poetry Collection !!!

                          ........KABHI YOUN BHI To HO........

                          Kabhi Youn Bhi TO Ho
                          Dariyaa Ka Sahil Ho
                          Poray Chand Ki raat Ho
                          Aur Tum Aao

                          Kabhi Youn Bhi To Ho
                          Pariyoon Ki Mehfil Ho
                          Koi Tumhari Baat Ho
                          Aur Tum Aao

                          Kabhi Youn Bhi To Ho
                          Ye Naram Mulaym Thhandi Hawaien
                          Jab Ghar Se Tumhare Guzarein
                          Tumhari Khushboo Churayein
                          Mare Ghar Lay Aayein

                          Kabhi Youn Bhi To Ho
                          Sooni Har Manzil Ho
                          Koi Na Mare Sath Ho
                          Aur Tum Aao

                          Kabhi Youn Bhi To Ho
                          Ye Badal Aisa Toot K Barsay
                          Mare Dil Ki Tarah Milne Ko
                          Tumhara Dil Bhi Tarsay
                          Tum Niklo Ghar Se...

                          Kabhi Youn Bhi To HO
                          Tanhai Ho, Dil Ho
                          Boondein Hon, Barsat Ho
                          Aur Tum Aao
                          Kabhi To Youn Bhi Ho!


                          Comment


                          • Re: Sara Poetry Collection !!!

                            Jo Saza Hum Ko Mile...

                            Aur Humein Dard Ki Manzil Pe Pohchhnay Wale
                            Keh Rahay Hain K Isay Aur Bhi Aasan Karo
                            Ta,K Hum Apne Paraye Ko Bhi Pehchhan Sakein
                            Aur Kuchh Dost Isi Rah Pe Qurbaan Karo

                            Shaam Aayi Hai Hamesha Yehi Lali Lay Kr
                            Jo Kabhi Khon-e-Tamana Kabhi Gulzaar Lage
                            Itni Aashfta Na Thii Khwahish-e-Yaraan Pehle
                            Aub Tu Har Jazba Aasodah Bhi Talwaar Lage

                            Tu K Tanha Hai Meri Tarah To Majboor Na Ban
                            Karwaan Utarain Ge Is Koh-e-Nida Se Kitne
                            Shamein Bujh Jayein Gi Aur Khursheed Ubhar Aayein Ge
                            Aur Is sahil-e-Umeed Se Piyaasay Kitne
                            Youn Pukaarain Ge K Har Bond Samandar Kr Dey
                            Aaj Masloob Jo Ho Us Ko Payambar Kr Dey
                            Ye Jo Hona Hai Tu Hum Younhi Gunahgar Rahain
                            Jo Saza HumKo Mile Us K Sazawaar Rahain


                            Comment


                            • Re: Sara Poetry Collection !!!

                              ajub junoon-e-musafat main ghar se nikla tha.
                              khabar nahi ke sooruj kidhar se nikla tha.


                              ye kon phir se mujhy raston main chor gaya,
                              abhi abhi to azaab-e-safar se nikla nikla tha.


                              ye teer dil main magar be sabab nahi utra,
                              koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha.


                              men raat toot kar roya to chain se soya,
                              ke dil ka zahar meri chusm-e-tar se nikla tha.


                              wo qais ab jisay mujnoo pokarty hen log,
                              meri terha koi deewana ghar se nikla tha....


                              Comment


                              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                                inn faslon ki fikar men kiyon karon bhala,
                                boht door reh kar bhi mery paas he koi.


                                iss soch main dooba hai boht dair se mera dil,
                                kia uss ke dil main bhi aisa ehsaas he koi.


                                un ki nuzron se buna meri sanson ka tasalsul,
                                iss terha meri zindagi ki aas he koi.


                                uss ka jo poocha he to bus itna jan lo,
                                boht khas boht khas boht khas he koi.


                                mohsin jo ja rahy to ye bhi usy kehna,
                                ab uss ke bina iss shehar main udaas he koi.


                                Comment

                                Working...
                                X