Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sara Poetry Collection !!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Sara Poetry Collection !!!

    Kisi kamzoor LAMHAY main

    Agar main tum se ye keh dun

    Mujhe tum se “MOHABBAT” hai

    To tum ye mat samajh lena

    Ke mene such kaha hoga..!

    Ke aesi dil nasheen batein

    Mujhe Bachpan se aati hain,

    Meri Aankhein mera chehra,

    Mera be sakhta lehja,

    Ye sub kuch JHOOT hota hai
    magar iss bar k iss jhoot main ik sach b shamil hay
    mujhy tum say mohbat hay,mujhy tum say mohbat hay..


    Comment


    • Re: Sara Poetry Collection !!!

      Usay maine hi likha tha...!


      Usay maine hi likha tha
      Ke lehjey barf ho jayein
      To phir pigla nahi kartey
      Parinday darr k urr jayein
      Tho phir lota nahi kartey

      Usay maine hi likha tha
      Yaqeen uth jaye tho shayed
      Kabhi wapis nahi aata
      Hawa'on ka koi toofaan
      Kabhi barish nahi lata.........!!!

      Usay maine hi likha tha
      Ke sheesha too't jaye tho
      Kabhi phir jurr nahi pata
      Jo rastey se bhatak jaye
      Wo wapas murr nahi pata

      Usay kehna woh be'ma'eni adhoora khat
      Usay maine hi likha tha
      Usay kehna k deewanay...........!!!
      mukammal khat nahi likhtey...!


      Comment


      • Re: Sara Poetry Collection !!!

        agar Hum Dost Hotay To
        Karam Ki Inteha Kartay ....!

        TumhenPalkon Pey Rakhtay Hum
        Tumhen Dill main Basatay Hum ...!

        agar Tum Rooth Jaatay To
        Tumhen Kitna Manatey Hum ....!

        Jo Milney Tum Nahi aatey
        To aa kar Khud Tumhain miltey ...!

        Tumhari Laghzishon Ko Bhi
        Hansi main Hum Uraa Detay ...!

        agr apni Khata Hoti
        To Khud Ko Bhi Saza Daitey ...!

        mgr Ye Sab Jabhi Hota
        agr Hum Dost Hotey To ….!

        * mgr itna hee Jana Hay
        K Tum Ney aaj Tak Hum Ko
        Paraya Keh Kar Jana Hay
        Kabhi Hamdam Naa mana Hay
        agar ham dost hotay to..


        Comment


        • Re: Sara Poetry Collection !!!



          Comment


          • Re: Sara Poetry Collection !!!

            Main aaina tha,wo mera khayaal rakhti thi
            Main toot-ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi

            Har aik maslay ka hal nikaal rakhti thi
            Zaheen thi,mujhe Hairat mein daal rakhti thi

            main jab bhi Tark-e-Taluq ki baat karta tha
            wo Rokti thi mujhe,kal pay taal Rakhti thi

            wo mere dard ko chunti thi apni poroon se
            wo mere wastay khud ko Nadhaal rakhti thi

            wo Doobnay nahi deti thi dukh k darya mein
            meray wajood ki nauw Uchaal rakhti thi

            Duaain us ki Balaun ko rok leti thin
            wo mere chaar soo Hathon ki Dhaal rakhti thi

            ik aisi Dhun k nahi phir kabhi main ne suni
            wo munfarid sa Hansi mein kamaal Rakhti thi

            usay Nadamatain meri kahan Gawara thin
            wo mere wastay asaan Sawaal rakhti thi

            Bichar k us se main Dunya ki Thokaron mein hon
            wo paas thi to mujhay La zawaal rakhti thi

            sahar tha naam,ujaalay Ghulam thay us k
            wo zindgi k Andhairay ujaal rakhti thi

            wo muntazir meri Rehti thi Dhoop mein
            main laut-ta tha to Chaoun Nikaal Rakhti thi


            Comment


            • Re: Sara Poetry Collection !!!

              safar malaal ka hai aur chal rahi hooN maiN
              ghubaar-e-shab ki udaasi meiN Dhal rahi hooN maiN

              ajeeb barf ki baarish badan pe utri hai
              k jis ki aag meiN chup chaap jal rahi hooN maiN

              phir ik charaagh jala shaam ki haveli meiN
              phir eik dard se aakhir saNbhal rahi hooN maiN

              yeh rakh rakhaao usay jaan'ne naheeN de ga!
              k apne aap meiN kese pighal rahi hooN maiN

              yeh ishq sach se juda kaise ho gaya jaanaaN?
              ab is savaal se baahir nikal rahi hooN maiN

              bas eik ishq meri zaat par saheefa ho
              mere khuda! yeh aqeeda badal rahi hooN meiN


              Comment


              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                Bohat khamoush reh kar wo sadaaen mujh ko deta tha
                bade bhar-pour jazboun ki qabaaen mujh ko deta tha

                kabhi jo dard ki aatish mujhay sulganay lagti thi
                wo apne saans ki mehki hawaaen mujh ko deta tha

                wo uski chahatain bhe sari duniya se anokhi then
                riyazat khud wo karta tha jazaaen mujh ko deta tha

                meray ehsaas k seharaoun main jo dhoop barhti thi
                wo mousam ka khuda ban kar ghataaen mujh ko deta tha

                usay main ajnabi samjha magar har mour par Ramish
                wo apne naam ki sari duaaen mujh ko deta tha


                Comment


                • Re: Sara Poetry Collection !!!

                  ye kaun doob gya aur ubhaar gaya mujh main
                  yu kaun saye ki suraat guzar gaya mujh main

                  ye kis kay sog mai shorida haal phirta ho’n
                  woh kon shakhs tha aisa kay mar gaya mujh main

                  ajab hawa-e-baharaa’n nay chara-saazi ki
                  woh zakhm jis ko na bharana tha bhar gaya mujh main

                  woh admi kay jo pathar tha jiee raha hai abhi
                  jo ainna tha woh bikhar gayaa mujh main

                  misaal kya kay woh jab bhi kareeb say guzara
                  vo youun laga kay koi raqs kar gaya mujh main

                  woh sath tha to ajab dhuup chanaoo rehti thi
                  bas ab to ek hi mausam tehar gaya mujh main


                  Comment


                  • Re: Sara Poetry Collection !!!

                    koee lamha bhee kabhee laut kar nahee aaya
                    woh shakhs aisa gaya phir nazar nahee aaya

                    wafaa ke dasht mein raasta nahee mila koee
                    siwaye gard-e-safar humsafar nahee aaya

                    kisee chiraag ne poochee nahee khabar meri
                    koee bhee phool mere naam per nahee aaya

                    palat kar aane lagay shaam ke parindey bhee
                    hamaaraa subha ka bhoola magar nahee aaya

                    hamein yakeen hai Amjad woh waadaa khilaaf
                    yah umar kaise kategee agar nahee aayaa


                    Comment


                    • Re: Sara Poetry Collection !!!

                      w0h shaks ke jis se mein m0habbat nhi karta
                      hansta hay mujhe dekh kar nafrat nhi karta


                      ghar wal0n ko Ghaflat pe sabhi k0s rAhy hain
                      chor0n ko magar k0i malamat nhi karta


                      dety hay ujaAly mere sajd0n ki gawahi
                      mein chupke Andher0n mein ibadat nhi karta


                      bho0la nhi mein aaj bhi adab-e-jawani
                      mein iis liye aur0n ko nasihat nhi karta


                      dunyia mein Qteel us sa munafiq nhi dekha
                      jo zulm to sehata hay baghawat nhi karta


                      Comment


                      • Re: Sara Poetry Collection !!!

                        Mujhe ab dar nahi lagta
                        kisi k door jane se
                        Ta'luq Tot jane se
                        kisi k maan jane se
                        kisi k roth jane se
                        Mujhe ab dar nahi lagta
                        Kisi ko azmane se
                        kisi k azmane se
                        kisi ko yad rakhne se
                        kisi ko bhol jane se
                        Mujhe ab dar nahi lagta
                        Kisi ko chor dene se
                        kisi k chor jane se
                        Na shama ko jalane se
                        Na shama ko bujhane se
                        Mujhe ab dar nahi lagta
                        Akele muskrane se
                        kabhi ansoo bhane se
                        Na is sare zmane se
                        Haqeeqat se fasane se
                        Mujhe ab dar nahi lagta
                        Kisi ki na'rasai se
                        Kisi ki parsai se
                        Kisi ki bewafai se
                        Kisi dukh intehai se
                        Mujhe ab dar nahi lagta
                        Na to is paar rehne se
                        Na to us paar rehne se
                        Na apni zindgani se
                        Na ik din mout aane se
                        Mujhe Ab Dar Nahi Lagta............!


                        Comment


                        • Re: Sara Poetry Collection !!!

                          uski yadoN mai doob jata hoon
                          khud ko tanha kabhi jo pata hooN

                          qatra qatra wajood se le kar
                          khowahishoN ko lahoo pilata hooN

                          log khushya talash karte haiN
                          maiN to gham bhi khareed lata hooN

                          aaj kal hai mizaj-e-dil barham
                          rona chahoo to muskurata hooN

                          roze kehta hu bhool jaooN tujhe
                          roze yeh baat bhool jata hooN


                          Comment


                          • Re: Sara Poetry Collection !!!

                            Sadma t0 haii mujhe Bhi k tujhSe juda huN main
                            lekin ye s0chta hun k ab tera kya hun maiN

                            Bikhra para hai tere hi ghAr mein tera wajud
                            bekAr mahfil0n mein tujhe Dhundta hun main

                            main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
                            Apne badan ki qabr mein kabSe gara hun maiN

                            kis-kiSka nam laun Zaban par k tere sath
                            har r0z ek shakhs naya dekhta hun main

                            Na jane kiis Ada se liya tune mera nAam
                            duNiya samajh rahi hai k sab kuch tera hun maiN

                            le mere tajurbon se sabak ae mere raqiib
                            do chAr saAl Umr mein tujhse bara hun main

                            jaga Hua zamiir wo Aiina hai "Qateel"
                            S0ne se pahale rOz jiise dekhta hun maiN


                            Comment


                            • Re: Sara Poetry Collection !!!

                              vo baat baat meN itnaa badaltaa jaataa hai
                              ke jis tarah ko’ii va’adaa badaltaa jaataa hai

                              ye aarzuu thii ke ham uske saath saath chaleN
                              magar vo shaKhs to rastaa badaltaa jaataa hai

                              jo tez dhuup meN sar par rahaa vohii aaNchal
                              havaa chalii hai to kitnaa badaltaa jaataa hai

                              ruteN visaal kii ab Khvaab hone vaalii haiN
                              ke uskii baat kaa lehjaa badaltaa jaataa hai

                              vo baat kar jise duniyaa bhii moatbar samjhe
                              tujhe Khabar hai zamaanaa badaltaa jaataa hai


                              Comment


                              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                                Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
                                Aur Abb Bhi Hai Mairey Shaaney Pey Sar Udaasi Ka

                                Woh Kon Keemiyaa-gar Tha Ke Jo Bikheir Gaya
                                Terey Gulaab Say Chehrey Pey Zar Udaasi Ka

                                Merey Wajood Ke Khalvat-kadey Mein Koi To Tha
                                Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udaasi Ka

                                Main Tujh Say Kaisey Kahoon Yaar-e-Meherbaan Mairey
                                Ke Tu Hi Ilaj ha Mairi Har Udaasi Ka

                                Ye Abb Jo Aag Ka Darya Mairey Wajood Mein Hai
                                Yehi To Pehley Pehal Tha Sharaar Udaasi Ka

                                Na Janey Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-shaam
                                Woh Maira Dost, Maira Humsafar Udaasi Ka

                                Faraz Deeda-e-Puraab Mein Na Dhoondh Ussey
                                Ke Dil Ki Teh Mein Kahin Hai Gohar Udaasi Ka


                                Comment

                                Working...
                                X