Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sara Poetry Collection !!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Sara Poetry Collection !!!

    Ishq k rang lye phirta hoon
    Os ki Tasweer bna day koi

    Comment


    • #77
      Re: Sara Poetry Collection !!!


      کیا ملا محبت سے
      خواب کی مسافت سے
      وصل کی تمازت سے
      روز و شب ریاضت سے
      کیا ملا محبت سے
      ایک ہجر کا صحرا
      ایک شام یادوں کی
      اِک تھکا ہوا آنسو

      Comment


      • #78
        Re: Sara Poetry Collection !!!

        Originally posted by life. View Post
        bohat khobsurat sharing siso jani
        thanQ thanQ life sis bht khush rehiye Ameen


        Comment


        • #79
          Re: Sara Poetry Collection !!!

          Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
          sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

          kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
          sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

          kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
          jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

          ab hai bus apna saamnaa darpesh
          har kisii se guzar gayaa huuN maiN

          voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
          sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN


          Comment


          • #80
            Re: Sara Poetry Collection !!!

            Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
            Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

            Muddat Hoye Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
            Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

            Wo Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
            Abhi To Merey Sir Pe Ye AasmaaN Baaqi Hai

            Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
            Bikhri Hoyi Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

            Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
            Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai

            Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
            Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

            Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
            Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai


            Comment


            • #81
              Re: Sara Poetry Collection !!!

              Kitnii der tak
              amaltas ke peR ke niiche
              baith ke ham ne baaten kiin
              kuch yaad nahiin
              bas itnaa andaazaa hai
              chaand hamaarii pusht se hokar
              aankhon tak aa pahuunchaa


              Comment


              • #82
                Re: Sara Poetry Collection !!!

                ہم دشت کے باسی، ہمیں ورثے میں ملی ہے
                یہ روح پیاسی، ہمیں ورثے میں ملی ہے

                دکھ درد سے صدیوں کا تعلق ہے ہمارا
                آنکھوں کی اداسی، ہمیں ورثے میں ملی ہے

                جاں دینا روایت ہے قبیلےکی ہماری
                یہ سرخ لباسی، ہمیں ورثے میں ملی ہے

                جو بات بھی کہتے ہیں اتر جاتی ہے دل میں
                تاثیر جدا سی، ہمیں ورثے میں ملی ہے

                جو ہاتھ بھی تھاما ہے، سدا ساتھ رہا ہے
                احباب شناسی، ہمیں ورثے میں ملی ہے



                Comment


                • #83
                  Re: Sara Poetry Collection !!!

                  mohabatoon kay safer main koie rastta nehin detta
                  zameen waqif nehin rehtti falak saiya nehin detta
                  khoshi or dukh kay mosam sab kay apny apny hotty hain
                  kisi ko koie apny hisay ka lamha nehin detta
                  udassi jiss kay dil main ho uss ki neend urtti hai
                  kissi ko apni ankhon say koi sapna nehin detta
                  uthana khood hi pertta hai thakka totta jism apna
                  kay jab tak sana chaltti hai koir kandha nehin detta


                  Comment


                  • #84
                    Re: Sara Poetry Collection !!!

                    yaad woh aag hai jo kabhi bujhti nahi
                    yaad woh nadi hai jo kabhi rukti nahi
                    yaad woh shaam hai jo kabhi dhalti nahi
                    yaad woh sachaai hai jo kabhi dhundlati nahi
                    yaad woh paheli hai jo kabhi suljhati nahi
                    yaad woh meet hai jo kabhi saath chodti nahi
                    yaad to bas yaad hai jo merne se pehle juda hoti nahi
                    laakh bhulana chaho kabhi kam nahi hota jo ehsaas
                    woh hai yaad yaad aur sirf yaad......!


                    Comment


                    • #85
                      Re: Sara Poetry Collection !!!

                      "Usay ye Kon Samjhaye"
                      K Dasht-e-Khamoshi main
                      Ungliyoun Main Seepiyan Pehnay
                      koi Sookhay Samandar Ki,
                      Adhori Piyaas ki Baatain,
                      Bohat Chup Chaap Sunta Hai
                      Bohat Khamosh Rehta Hai
                      Usay Ye Kon Samjhaye,
                      Khushi K Aik Ansoo Say
                      Samandar Bharr Bhi Jaatay Hain,
                      Bohat Khamosh Rehnay Say
                      Talluq Marr Bhi Jaatay Hain,


                      Comment


                      • #86
                        Re: Sara Poetry Collection !!!

                        Originally posted by sara butt View Post
                        thanQ thanQ life sis bht khush rehiye Ameen
                        most welcome siso jani

                        Comment


                        • #87
                          Re: Sara Poetry Collection !!!

                          phir se thanks ....
                          Originally posted by life. View Post
                          most welcome siso jani


                          Comment


                          • #88
                            Re: Sara Poetry Collection !!!

                            itne shidat se wo meri ragoon main utar gia hai mohsin
                            ke ab usay bhool jane k liye muje marna hoga..


                            Comment


                            • #89
                              Re: Sara Poetry Collection !!!

                              Us K Nazdik Gham-e-Tarke wafa kuch b nahi.
                              Mutmin aise hai wo jesy hua kuch b nahi.

                              Ab To Hatho Se Lakirein Bhi Mite jati hain.
                              Us Ko Khor Kar To Mere Pass Raha Kuch b nahi.

                              Kal Bicharna hai To Ahd-e-wafa soch k bandh.
                              Abi Agaz-e-Mohabat hai Giya Kuch bhi Nahi.

                              Mai To is waste Chup Hoon K Tamasha Na Bane.
                              Tu Samajta hai Muje Tujse Gila Kuch B Nahi.


                              Comment


                              • #90
                                Re: Sara Poetry Collection !!!

                                Qabro main nahi hum ko kitabo main utar do.
                                hum Log Mohabat Ki Kahani Main Mare Hai.!!!


                                Comment

                                Working...
                                X