Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sara Poetry Collection !!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Sara Poetry Collection !!!

    Ab kis say kahain aur kaun sunay jo haal tumhare baad huwa
    Is dil ki jheel si aankhoon mein ek khwaab bohat barbaad huwa

    Yeh hijr hawa bhi dushman hai us naam kay saaray rangon ki
    Woh naam jo mere honton per khushboo ki tarah abaad huwa

    Is shehar mein kitne chehray thay kuch yaad nahee sab bhool gaye
    Ek shaks kitabon jaisa thaa woh shaks zubaani yaad huwa

    Woh apne gaaon ki galiyaan theen dil jin mein naachta gaata thaa
    Ab is se farq nahee parta na'shaad huwa ya shaad huwa

    Bay-naam sataaish rehti thee un ghehri saanwli aankhoon mein
    Aisa tu kabhi socha bhi na thaa dil ab jitna bay-daad huwa...


    Comment


    • Re: Sara Poetry Collection !!!

      Humain Awaz Day Laina
      Agar dukh zindagani k
      Tumhain aazar pohchaian
      Koi jalti hue sa'aat koi bujhta hua lamha
      Tumharay dil pay dastak day
      Tu hum ko yaad kar laina
      Abhi zinda hain hum zindagi ki bay-karani main
      Abhi tak day rahay hain imtihaan
      Is kaar gaah-e-imtahaini main
      Abhi tak mubtala humain, hum is khawab-e-jawani main
      Tum apna koi dukh hum say nahi tou kis say bantoo gay
      Kisay Aawaz do gay tum ?


      Comment


      • Re: Sara Poetry Collection !!!

        Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun
        Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kiun

        Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai
        To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kiun

        Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai
        Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kiun

        Agar bhulaye huye usko aik umr hui
        To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiun

        Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey
        Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiun

        Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka
        Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun


        Comment


        • Re: Sara Poetry Collection !!!

          abhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
          Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

          Jo AAta hay WOh Ja Taa Hay Ya Dunya Ani JaaNi Hay
          Yahan Her Shey Musafir Hay Safer Main Zindaagane HAY
          Ujaloon Ki Zaroorat Hay Andhera Meri Kismat Hay

          Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
          Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

          Zara Aye Zindagee Dum Lay Tera Deedar Tu Ker Lon
          Kabhee Dekha Nahin Jis ko Uska Deedaar Tu Ker Loon
          Abhi Say Choor Ker Maat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hay

          Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
          Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

          Koi Anjaan Sa (Chehraa)Obher Taa hay Fizaaon Main
          Yeh Kis Ki AAhatain Jageen Meri Khamoosh Rahon Main
          Abhi Aye Mout Naa AAnaa Mera Thikaana janat Hay

          Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
          Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat Hay.


          Comment


          • Re: Sara Poetry Collection !!!

            Suna hey
            Is jahan me zindagi ki qeht saali hey
            Yahan do chaar din jiney ka aksar zikr hota hey
            Yahan har chiz fani hey
            Sbhi ko moat aani hey
            Yahan izhaar kia karna
            Yahan par piyar kia krna
            Mgr kuch yun b sunta hun
            Ke esa ik jahan hoga
            Ke jis me moat aney ka koi dharka nhi hoga
            Hayat e javidan ke sb wahan asbab rakhey hen
            Ye mera tum se wada hey
            Agr dono wahan mil gaye
            Wahin iqrar kr len ge
            Wahin izhar kr len ge
            Wahin phir piyar kr len ge


            Comment


            • Re: Sara Poetry Collection !!!

              zahan-e-aadamiiyat par maslahat ke pahare haiN
              log jitne muKhlis haiN zaKhm utne gahare haiN

              phool haiN yahaaN kaaNTe, jism haiN yahaaN patthar
              kis jahaaN ke baasi the, kis nagar meN Thahare haiN

              ziNdagii ka darvaaza khaT_khaTa ke dekhaa hai
              is makaan ke maalik, mar chuke ya bahare haiN

              mujrim-e-muhabbat hai sher kii adaalat meN
              soch ke salaasal haiN, dard ke kaTahare haiN

              kis ke tan kii raNgiinii mauj_zan hai seene meN
              aaNkh bhii gulaabii hai, ashk bhii sunahare haiN

              bhiigtii hawaaoN ke dosh par chale aao
              ghaas ke samaNdar par sabz-sabz lahareN haiN

              kaise maiN adab kii had phaaNd kar piyooN ''Shahid''
              ras bharii un aaNkhoN par jab hayaa ke pahare haiN


              Comment


              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                Naqsh yadon ka mitaati hai to ro parti hai.

                wo mera khatt jo jalati he to ro parti hai.

                khoon dikhta hai mery marty hoye sapno ka,

                khuwab ankhon main basati he to ro parti hai.

                log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,

                baat logon se chupaati he to ro parti hai.

                yaad karti he mujhy toot kar us lumhy,

                shaam chehra jo dikhaati hai to ro parti hai.

                woh bary zubt bhary hosly wali larki,

                ghum ko tahreer banati he to ro parti hai.


                Comment


                • Re: Sara Poetry Collection !!!

                  Hosla chor gaya saath nibhaane wala,

                  Jaane kis simat gaya aj wo jaane wala,

                  Aaj phir aankh mein aaye hazaron aansoo.

                  Aaj phir yaad wo aaya hai bhulaane wala,

                  Ab kahin ja k mere zakhm bhare hain,

                  Ab kahin lout k aa jaaye na jaane wala,



                  Us ka har khuwab salaamat rakhna,

                  Ghum na dekhe wo mere khuwab jalaane wala,

                  Ab kahin raah mein mil jaaye to itna kehna,



                  Mar gaya kab ka tere naaz uthaane wala . !!!.


                  Comment


                  • Re: Sara Poetry Collection !!!

                    Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy

                    Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy

                    Wo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna

                    Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy

                    Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham Mohsin

                    Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy.





                    Comment


                    • Re: Sara Poetry Collection !!!

                      Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.

                      Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.

                      Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.

                      Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.

                      ho gya hay ye yaqin ab woh nahin aega.

                      Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.

                      Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha.

                      Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.

                      Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.

                      Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin!!!


                      Comment


                      • Re: Sara Poetry Collection !!!

                        Usko fursat hi nahi
                        waqt nikaly Mohsin

                        Aisy hoty hain bhala
                        Chahny waly Mohsin

                        Yaad k dasht me phirta hon
                        Main nangy paon

                        Dekh to aa k kabi
                        Paon k chhaly Mohsin

                        Kho gai subho ki umeed
                        or ab lgta hai

                        Hum nahi hon gay
                        K jb hon gy ujaly Mohsin

                        Wo jo ik shakhs
                        Mtaa-e-dil-o-jan tha
                        Na raha

                        Ab bhala kon mery
                        Dard sambhaly Mohsin





                        Comment


                        • Re: Sara Poetry Collection !!!

                          Marte huey zameer ko bachana para mujhe

                          Badal ki tarah dasht mein Aana para mujhe

                          Wo kar nahi raha tha meri baat ka yaqeen!

                          Phir yun hua k mar k dikhana para mujhe

                          Bhoole se meri simt koi dekhta na tha!

                          Chehre pe ek zakham lagana para mujhe

                          Ek aJnabi se hath milane k waaste!

                          Mehfil mein sb se hath milana para mujhe

                          Us bewafa ki yaad dilata tha bar bar!

                          Kal Aaine pe hath uthana para mujhe..





                          Comment


                          • Re: Sara Poetry Collection !!!

                            shaandar .... bahut khoob... khush rahen hamesha

                            Comment


                            • Re: Sara Poetry Collection !!!

                              bahut skhuriya driver jee...
                              Originally posted by -=The Driver=- View Post
                              shaandar .... bahut khoob... khush rahen hamesha


                              Comment


                              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                                Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
                                tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai

                                Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
                                ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai

                                Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
                                tum mere pas sey utho tu bura lagta hai

                                Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
                                tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai

                                Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
                                tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai


                                Comment

                                Working...
                                X