Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    GhunchoN ke dil se puuchiye lutf-e-shaguftagii
    baad-e-sabaa pe tohmat-e-aavaargii sahii


    great choice ... khush rahye
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by Aania View Post
      GhunchoN ke dil se puuchiye lutf-e-shaguftagii
      baad-e-sabaa pe tohmat-e-aavaargii sahii


      great choice ... khush rahye
      Thanx:rose

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice


        Zaruri to nahi jine ke liye Sahara ho,
        Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho,
        Kuch kashtiya doob bhi jaya karti hai,
        Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho..

        Comment


        • ranj kii jab guftaguu hone lagii

          ranj kii jab guftaguu hone lagii
          aap se tum tum se tuu hone lagii

          chaahiye paiGaamabar dono taraf
          lutf kyaa jab duu-ba-duu hone lagii

          merii rusawaaii kii naubat aa gaii
          unakii shoharat quu-ba-quu hone lagii

          naazir ba.D gaii hai is qadar
          aarazuu kii aarazuu hone lagii

          ab to mil kar dekhiye kyaa rang ho
          phir hamaarii justajuu hone lagii

          'DaaG' itaraaye hue phirate hai.n aap
          shaayad unakii aabaruu hone lagii

          Comment


          • Kya Maange

            Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange
            Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

            Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
            Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

            Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho
            Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange

            Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye
            Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange

            Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab
            Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange

            Comment


            • kehna usse

              Ab na hoga raabta kehna usse


              jis pe hum chalte rahe hain saath saath


              Khogaya woh raasta kehna usse


              Teri yaadein Dil se rukhsat hogayin


              Hochuka yeh saniha kehna usse


              Ab na dekhenge tumhara raasta


              Dil ko hum samjha chuke kehna usse


              Chain se sone na dega gham tujhe


              Raat bhar ab jaagna kehna usse


              Aashna ban ker na milna raah main


              Dosti ek khuwaab tha kehna usse


              Murr kar peeche dekhte hum bhi nahi


              Soch ker moonh phairna kehna usse

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                meri zindagi kay kisi bab say kabhi roshni ka guzar na ho
                koi khusbooun ka safar na ho..
                chahay khiza ho k bahar ho
                mere dil ko na hi karar ho
                mujay roshni ka aser na ho..
                par ay Khuda!!!..ay mere Khuda!!
                meri hai ek ilteja..
                wo jo kabhi tuj se dua karay..
                wo jo mera dost hai..ajeeb sa
                tu To itna usse ata karay
                phir na mangnay ko dua rahay
                kay khushiyan itni naseeb hoon..
                kabhi ghum na us k qareeb ho
                phir jism-o-jan kay chiragh ko
                Tu chandni ka uoon noor de..kay
                us kay hootoon ki hansi..
                us ki ankhoon ki chamak
                us ki chori ki kahnak
                aur wo bhi jo buhut kam nazar ati hai..
                us ki bali ki jhalak
                chahay main dekhnay ko rahoon ya na rahoon
                sub salamat rahay
                ta qayamat rahay

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Muskara


                  Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya



                  Youn Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-e-Etibaar


                  Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-e-Toofaan Kardiya





                  Mein Ne Raushan Manzar-e-Gor- e-Gharibaan Kardiya



                  Maut Ab Aajaye, Mein Jam-e-Mohabbat Pi Chuka


                  Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya



                  Kayenaat-e-Husn Ka Ek Harba-e-Masoom Tha!


                  Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-e-Esyaan Kardiya



                  Rakh Diya Zer-e- Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka


                  Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya

                  Comment


                  • Mat Tanha Tanha Ghabrana, Tum Paas Hamare aa jana

                    Jab Panchi sarey Urr jayein, Her Simt Andhera chha jaye
                    Jab Guzri Batein Yaad aayein, Aur bitey lamhey Tarpayein

                    Mat Tanha Tanha Ghabrana, Tum Paas Hamare aa jana

                    Jab koi Din me Shaam kare, Ya Lab ki Hansi Badnaam kare
                    Jab Wehshat dil ke Naam kare, Ya Aankh me Neend Haram kare

                    Mat Tanha Tanha Ghabrana, Tum Paas Hamarae aa jana

                    Dil Preet Hamari dohraye, Ya Reet purani Yaad aaye
                    Jab milne ko bhi Dil chahey, Aur Pyar Bhara na Dil paye

                    Mat Tanha Tanha Ghabrana, Tum Paas Hamarae aa jana

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Labon Pe Rukti, Dilon Mai Sama Nahi Sakti
                      Wo Ek Baat Jo Lafzon Mai Aa Nahi Sakti

                      Jo Dil Mai Ho Nazar-e-Gham To Ashq Paani Hai
                      Ke Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti

                      Yaqeen, Gumaan Se Bahar To Ho Nahi Sakta
                      Nazar Khayaal Se Aagey To Jaa Nahi Sakti

                      Dilon Ki Ramz Faqat Ehl-e-Dil Jaantey Hein
                      Teri Samajh Mai Meri Baat Aaa Nahi Sakti

                      Yeh Souz-e-Ishq To Goongey Ka Khuaab Hai Jesey
                      Meri Zubaan Meri Haalat Bataa Nahi Sakti

                      Simat Rahi Hai Mere Baazuoun Ke Halqay Mai
                      Haya Ke Boojh Se Palkein Utha Nahi Sakti

                      Jo Keh Raha Hai Sulagta Hua Badan Us Ka
                      Bata Bhi Paati Nahi, Aur Chupa Nahi Sakti

                      Ek Aise Hijar Ki Aatish Hai Mere Dil Mai Jesey
                      Kisi Visal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti

                      To Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yahin Pe Hona Hai
                      Zameen Madaar Se Bahar To Jaa Nahi Sakti

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kiya,
                        Woh kaun Hai zalim, Jisne tera yeh haal kiya,
                        Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai,
                        woh nikli bewafa bus itni si baat hai...

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
                          Bikhar gay hain tera intazaar kartay howay

                          Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
                          Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay

                          Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
                          Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay

                          Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
                          Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay

                          Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
                          Main un main doob gia ahtabaar kartay howay

                          Mujhay khaber thi kah ab loot kar na aaonga
                          Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay...!!!

                          Comment


                          • jab se ham tabaah ho gaye

                            jab se ham tabaah ho gaye
                            tum jahaa.N_panaah ho gaye

                            husn par nikhaar aa gayaa
                            aa_iine siyaah ho gaye

                            aa.Ndhiyo.n ko kuchh pataa nahii.n
                            ham bhii gard-e-raah ho gaye

                            dushmano.n ko chiTThiyaa.N likkho
                            dost Khair-Khvaah ho gaye

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Originally posted by musaddaq View Post
                              Zaruri to nahi jine ke liye Sahara ho,
                              Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho,
                              Kuch kashtiya doob bhi jaya karti hai,

                              Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho..

                              Sahi kaha app ney her koi apni manzil na paasaktaa,kabhi qismat sath nahi deti or kabhi hum qismat ka saath nahi deteyy..app ney kaha khushi dhoondni parti hai or ager dhoondney per bhi na miley tu .....

                              Khiar yeh karoobar-e-zindagi haii ,jiisey main yehi sooch ker guzar rahi hoo jubachey din nahi rahey tu burey bhi nahi rahey gey kabhi tu is raat ki subhaa hogii :) ....bus yehi umeed hai jo zinda rakhey howey haii.

                              App ka intekhab bauhtt khoobsooart haii....

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Originally posted by aquari View Post
                                Sahi kaha app ney her koi apni manzil na paasaktaa,kabhi qismat sath nahi deti or kabhi hum qismat ka saath nahi deteyy..app ney kaha khushi dhoondni parti hai or ager dhoondney per bhi na miley tu .....

                                Khiar yeh karoobar-e-zindagi haii ,jiisey main yehi sooch ker guzar rahi hoo jubachey din nahi rahey tu burey bhi nahi rahey gey kabhi tu is raat ki subhaa hogii :) ....bus yehi umeed hai jo zinda rakhey howey haii.

                                App ka intekhab bauhtt khoobsooart haii....
                                first of all thanx, jahan tak khushi dhoondne ka sawal hia to baki zindagi keh assolon keh sath yeh bhi asool hia keh jiss cheez keh peecha normally hum log bhagte hain woh cheez hum se doooor hoti jati hai to khushion ka bhi yehi haal hia,buss ek umeed si hi rehti hai,pata hai ajeeb si baat ha hamesha humain yehi lagta hai keh poori khushi nahi milli, woh ek poetry hai na mujeh abhi poori yaad nahihai keh "yeh zindagi badi ajeeb si," hum sirf dua hi ker sakta hian,baki kuch dukh or weranian kismat ki wajah se hoti hai jiss main koi amal(act) kaam nahi aata, yeh meri ek personal feeling hia may be ghalat hi ho,but kuchh cheezain hoti hian aisi espacially relations main aisa hota hia, jiss mian aap apni poori honesty bhi kerta hian but phir bhi... :)

                                Comment

                                Working...
                                X