Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Chalay jo ho to bata k jao
    Keh kitni shaamein udaas aankhon main kaatni hein
    Keh kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein
    Bata k jao Keh kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai
    Keh kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein
    Bata k jao keh chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai
    Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai
    Bata k jao keh kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke
    Keh kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein
    Bata k jao keh panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha
    Tou kaya kahoon ga?
    Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga
    Bichar kay tujh se habib..kis se mila karoon ga
    Bata k jao keh aankh barsi to kon moti chuna karay ga
    Udaas lamhon mein dil ki dharkan suna karay ga
    Bata k jao k mousamon ko payam dene hein ya nahee hain
    Fallk ko, taron ko, jugnu’on ko salam dene hein ya nahee hain
    Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna
    To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyar karna
    Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho
    Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho
    Arooj kiya ho, zawaal kiya ho
    Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho
    Bata k jao keh meri halat pe chandni khikhila pari to
    main kya karoon ga
    Bata k jao k meri soorat pe teergi muskara parri tou
    Main kiya karoon ga
    Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai
    Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai
    Ujaarna hai? nikhaarna hai?
    Chalay jo ho tou bata kay jao
    kay loutna bhi hai ya.......... ......??? ?????

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Mohabbat Bakhsh Deti Hai
      Kabi Ra'anayiaan Aisi
      K Jaisay Dhoop K Hotay
      Kabi Badal Baras Jaye
      K Jaisay Bin Kahay Koyi
      Kahi Dil Mai Utar Jaye
      Kahi Pariyo Ki Waadi Mai
      Barray Se Takht Per Betay
      Koyi Phoolo K Daman Se
      Koyi Rango K Aanchal Se
      Saro Per Sayebaan Ker De

      Mohabbat Bakhsh Deti Hai
      Kabi Tanhayiaan Aisi
      K Jaisay Aag Si Barsay
      Jo Sara Tan Jala Dalay
      K Jaisay Raastay Mai He
      Koyi Raahi Bhattak Jaye
      K Jaisay Mun K Andar Kuch
      Chanak Se Toot Sa Jaye
      K Jaisay Dil PigaL Jaye
      Mohabbat Kya Hai Phir Socho !
      Ra'anaayi ?
      Ya
      Tanhaayi ?

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Koi wada nahi hum main'
        Na apas main bohoot bateen
        Na milne main bohoot shokhi
        Na akhir shub manajateen
        Muger aik un kahi si hai
        Jo hum dono samajhte hain
        Ye sare dilruba manzer
        Tilasmi chandni rateen
        Sunheri dhoop ke musam
        Ya halke sukh ki bersateen
        Sabhi aik zid main rehte hain
        Mujhe pehum ye kehte hain
        Mohabbat youn nahi achi

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Hasraton ki lehren
          Mere dar pe dastak deti haiN
          Jab tera KHayaal ata hai

          Ye faasle, ye sarhadeN
          Ik pal mein mitaane ki khwahisheN
          Rah-rah ke shor machaati haiN
          Jab tera KHayaal ata hai

          Tujhe phir se milne ki arzoo
          Tere dil ko chhoone ki justajoo
          Ai sanam, tu ho mere roo-ba-roo
          Kitni tamannaeN machalti haiN
          Jab tera KHayaal ata hai

          ANchal mein tere
          Rakh ke sar apna
          SapnoN ke jahaaN ki
          Tere saNg sair kar looN
          Aa, tujh ko baahoN mein bhar looN
          Mausam-e-gul meiN
          Dil ki kaliyaaN chataKHti haiN
          Jab tera KHayaal ata hai

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Jis din se juda woh humse hue,
            is dil ne dhadakna chhod diya,
            Hai chand ka munh utra utra,
            taaron ne chamakna chhod diya,

            Woh paas hamare rehte they,
            be-rut bhi bhahaar aa jaati thi
            Ab laakh bhahaarein aayein to kya,
            Phoolon ne mahakna chhod diya,

            Humraah koi, saathi bhi nahin,
            ab yaad koi baaki bhi nahin
            ab phool khile zakhmon ke kya,
            aankhon ne barasna chhod diya,

            Humne yeh duvaa jab bhi maangi,
            taqdeer badal de aye maalik
            Awaaz aayi ke ab humne,
            taqdeer badalna chhod diya,


            Hai chand ka munh utra utra,
            taaron ne chamakna chhod diya,

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Vo Jazbon ki tejaarat thi ye dil kuch aur samjha tha
              usy hensny ki aadat thi ye dil kuch aur samjha tha

              Mujy us ny keha aur nae dunya besaaty hain
              usy soojhi sheraarat thi ye dil kuch aur samjha tha

              hemaisha us ki aankhon main dhenak sy rang rehty thy
              ye us ki aam halat thi ye dil kuch aur samjha tha

              vo mairy paas baithi dair tak ghezlain mairi sunti
              usy khud sy muhaabat thi ye dil kuch aur samjha tha

              mairy kaandhy py ser rekh ker keheen kho gie thi vo
              ye ik vaqti anaayat thi ye dil kuch aur samjha tha

              mujy vo daikh ker aksar nigaahain phair laiti thi
              ye der perda heqaarat thi ye dil kuch aur samjha tha

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                kuch read kia... buht achi hai..
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Kaash Koi Samjha Daita ...

                  Guftugo Ke Lamhon Main
                  Dekh He Nahi Paatay
                  Ham Tumharay Chehray Ko
                  Tum Hamari Aankhon Ko
                  Aaj Aisa Kartay Hain
                  Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
                  Baat Chor Datay Hain

                  Jaane Kiya Lamha Hoga
                  Jab Ye Hath Hathon Say
                  Gar Kabhi Juda Hoga
                  Aaj Aisa Kartay Hain
                  Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
                  Hath Chor Datay Hain

                  Kash Koi Samjha Day
                  Loag Kis Tarah Dil Ki
                  Manzilain Alag Kar Kay
                  Saath Chor Datay Hain
                  Aaj Aisa Kartay Hain
                  Bey-sabab Bikhartay Hain
                  Zaat Taur Datay Hain...

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Tumhara naam likh likh ker mitana bhul jata hun,
                    Tumhe jab yaad kerta hun..bhulana bhul jaata hun,

                    Buhat si aisi baaten hain ju mere dil may rehti hain,
                    Magar jab tumse milta hun..sunana bhul jaata hun,

                    Tumhare baad abh har pal bari mushkil se katta hai,
                    Main aksar tumko khwabun may..batana bhul jaata hun,

                    May har shaam kehta hun k tumko bhul jaunga,
                    Magar jab subha huti hai..to bhulana bhul jaata hun......... .

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      achi shairi hai........... keep it up janab

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        Tumhara naam likh likh ker mitana bhul jata hun,

                        Tumhe jab yaad kerta hun..bhulana bhul jaata hun,

                        Buhat si aisi baaten hain ju mere dil may rehti hain,
                        Magar jab tumse milta hun..sunana bhul jaata hun,

                        Tumhare baad abh har pal bari mushkil se katta hai,
                        Main aksar tumko khwabun may..batana bhul jaata hun,

                        May har shaam kehta hun k tumko bhul jaunga,

                        Magar jab subha huti hai..to bhulana bhul jaata hun......... .


                        bohat khobsurat choice :rose
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          Vo Jazbon ki tejaarat thi ye dil kuch aur samjha tha

                          usy hensny ki aadat thi ye dil kuch aur samjha tha

                          Mujy us ny keha aur nae dunya besaaty hain
                          usy soojhi sheraarat thi ye dil kuch aur samjha tha

                          hemaisha us ki aankhon main dhenak sy rang rehty thy
                          ye us ki aam halat thi ye dil kuch aur samjha tha

                          vo mairy paas baithi dair tak ghezlain mairi sunti
                          usy khud sy muhaabat thi ye dil kuch aur samjha tha

                          mairy kaandhy py ser rekh ker keheen kho gie thi vo
                          ye ik vaqti anaayat thi ye dil kuch aur samjha tha

                          mujy vo daikh ker aksar nigaahain phair laiti thi

                          ye der perda heqaarat thi ye dil kuch aur samjha tha

                          aahaa

                          :rose
                          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Bahot khoob janab nice collections
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Sitaray jo damaktay haiN
                              Kisi ki chashm-e-hairaaN maiN
                              MulaaqataiN jo hoti haiN
                              Jamal-e-abr-o-baraaN maiN
                              Yeh na abaad waqtoN maiN
                              Dil-e-nashaad maiN ho gi
                              Mohabbat ab nahi ho gi
                              Yeh kuch din baad maiN ho gi
                              Guzar jaaeiN gay jab yeh din
                              Yeh unki yaad maiN ho gi

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Dua keh liya jab bhi haath uthaye
                                Tamanaon ki bheerr main sab se aage
                                Wohi ek chehra
                                Nigahoon main aata hai
                                Main bhool jata hoon
                                Kya maanga tha
                                Bicherne keh dukh main kami
                                Ya
                                Milan ki dua

                                Comment

                                Working...
                                X