Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Musaddaq Ki Choice
Collapse
X
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Yeh mumkin hai humare dermiaan koi
Ghalat fehmi bhi na rehti
Jo apny dil main choti si
Khalish hai khatam ho jati
Bata deta keh mujh ko aj bhi us ki zarurat hai
Jo es jewaan ko hasil hai to bas us ki muhabat hai
Bata deta keh logoon ki sabhi batin fasaney hain
Sabhi qisay puraney hain
Main keh deta
Zara si baat per yuun ruthna acha nahi hota
Muhbat kerny waloon main
ghalat Fehmi to ho sakti hai
Per jhagra nahi hota
Main her ik baat keh deta
Khalish bhi duur ho jati
Main us ka haath pakrey yuun hi us ka humqadam rehta
Wo agy haath to kerta !!
Wo mujh se baat to kerta!!
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostAisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain
Ghum Roz Roz Sehny ki Aadat Nahi Humain
Har Bar Tere Samne Sar Ko Jhoka Liya
Aur Phir Bhi Dekh Tujh se Shikayat Nahi Humain
Tu Aitebar kar k Tujhe Chahate Hain Hum
Tery Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humain
Hum Jante Hain Tum Tanha Nahi Hamary Bin
Auron se Pochne ki Zarorat Nahi Humain
Kese Rahen Gay Bin Tere Ab Baat Maan lay
Tery Bagair Rahene ki ab Aadat Nahi Humain
B HAPPY .~~~duaoon main dua yeah hay k bus mil jaein tujh ko he~~~~
~~~merey naseeb main likhi Khuda ney jo bhi khushiyan hon~~~
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostYeh mumkin hai humare dermiaan koi
Ghalat fehmi bhi na rehti
Jo apny dil main choti si
Khalish hai khatam ho jati
Bata deta keh mujh ko aj bhi us ki zarurat hai
Jo es jewaan ko hasil hai to bas us ki muhabat hai
Bata deta keh logoon ki sabhi batin fasaney hain
Sabhi qisay puraney hain
Main keh deta
Zara si baat per yuun ruthna acha nahi hota
Muhbat kerny waloon main
ghalat Fehmi to ho sakti hai
Per jhagra nahi hota
Main her ik baat keh deta
Khalish bhi duur ho jati
Main us ka haath pakrey yuun hi us ka humqadam rehta
Wo agy haath to kerta !!
Wo mujh se baat to kerta!!
hmmmm
khobsuratAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Usey main nay he likha tha k
Lehjay barf ho jaen tu Pigla nahi kerty
Parinday darr ke urr jaen
Tu phir lota nai kerty
Usey main ney he likha tha
Yaqeen uth jae tu shayad
Kabi wapas nai atta
Hawaon ka koi tufan
Kabi barish nai lata
Usey main he likha tha
Ke Sheesha Toot jae tu
Kabi phir judd nai pata
Jo rasty se bhatak jae
Wo wapis murr nai pata
Usey kehna
Wo adhora khatt
Usey main ne he likha tha
Usey kehna ke
Dewaney
Mukamal khat nai likhty!!!!
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Aankh Ban Jati Hay Sawan Ki Ghata Sham k Baad
Laut Jata Hay Agar Koi Khafa Sham k Baad
Vo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Sham k Baad
Koi To Tha k Jo Deta Tha Dua Sham k Baad
Aah Bharti Hay Shab e Hijar Yateemon Ki Tarah
Sard Ho Jati Hay Har Roz Hawa Sham k Baad
Sham Tak Qaid Raha Kartay Hain Dil k Andar
Dard Ho Jatay Hain Saray Rihaa Sham k Baad
Log Thak Haar k So Jatay Hain Lekin Jaana
Hum Ne Khush Ho k Tera Dard Saha Sham k Baad
Sham Se Pehly Tak Laakh Sulaye Rakhein
Jaag Uthti Hay Muhabbat Ki Ana Sham k Baad...!!!
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Mein Ney Tanhai Sey Poocha K Milo Gi Kab Tak
Us Ney Becheni Sey Foran Hi Kaha Shaam K Baad
Tu Ney Dekha Hai Kabhi Ik Nazar Shaam K Baad
Kitney Chup Chap Sey Lagtey Hain Shajar Shaam K Baad
Itney Chup Chap K Rastey Bhi Rahen Gey La Ilam
Chor Jayen Gey Kissi Roz Nagar Shaam K Baad
Mein Ney Aisey Hi Gunah Teri Judai Mein Kiye
Jaisey Toofan Mein Koi Chor Dey Ghar Shaam K Baad
Shaam Sey Pehley Woh Mast Apni Urano Mein Rahey
Jinkey Hathon Mein They Tootey Huye Par Shaam K Baad
Raat Beti To Giney Abley Aur Phir Soocha!
Kon Tha Ba isey Agaz e Safar Shaam K Baad
Tu Hai Suraj Tujhey Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kissi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam K Baad
Lot Aaye Na Kissi Roz Woh Awara Mizaj
Khol Rakhtey Hain Issi Aas Pe Dar Shaam K Baad
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Faqat ek khwaab ki chaah mein har haqeeqat bhula di hum ne
Ab sochtay hain kyon khud ko yeh saza di hum ne
Dono hi qaid rahay apni anaa ke hisaar mein
Na us ne murr ke dekha na sada dee hum ne
Is umeed pe ke kabhi tu shab-e-gham ki bhi sehar hogi
Tamaam umer tairgee mein hi bita dee hum ne
Rishtay bhi ajnabi thay ajnabi dayaar ke
Wohi dushman-e-jaan huwa jissay dil mein jaga di hum ne
Ehl-e-duniya dushmani jane kis tarhaan nibha letay hain
Ek dosti nibhaanay mein umer ganwa dee hum ne
Zindagi pehlay bhi kuch itni sehal nahee thee
Phir tujhe chaah ke aur bhi mushkil bana lee hum ne
Un ko bhi ho khabar yeh zarori tu nahee
Jin ki khaatir apni hasti hee mitta dee hum ne
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Moom Ki Tarah Pighaltey Howey Dikha Usko
Rut Jo Badli Badalatay Howey Dikha Usko
Wo Jo Kanton Ko B Narmi Say Chowa Karta Tha
Hum Nay Pholon Ko Masaltey Howey Dikha Usko
Janey Kis Ghum Ko Chupaney Ki Tamana Hai Usey
Aj Har Baat Peh Hastay Howay Dikha Usko
Janeh Wo Mangney Jata Hai Duaon Mai Kisey
Hath Uthatey He Sisktey Howey Dikha Usko
Comment
Comment