Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
    kahin zameen to kahin aasman nahin milta
    woh zindagi hi kya jahan sub kuch mil jayee:)


    jisay bhi dekhiyay woh apnay aap mein goum hai
    zuban mili hai magar hum zuban nahin milta
    yehi tu almiaa hai aaj kal ka sub sey bara..!



    teray jahan mein aisa nahin kay pyar na ho
    jahan umeed ho iski wahan nahin milta
    behtreen shair..:em:
    bilkul thek kaha shair ney ,humain waqai aksar wahan sey pyar nahi milta jahan pr hum apni mohabbat ki dolat luta'tey hain jabhi tu kehtey hain k zindagi us k saath guzaroo jo tumhian chahaeyy

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by musaddaq View Post
      Wafaa k sheesh mahal main sajaa liyaa mainey
      Wo eik dil jisey pather bana liyaa mainey

      Ye soch ker k na ho taak main khushii koi
      Gamon ki oo'T main khud ko chupaa liya mainey

      Kabi na khatm kia mainey roshanii ka muhaaz
      Agar chiraagh bhujaa, dil jala liya mainey

      Kamaal ye hai k jo dushman pe chalanaa thaa
      Wo teer apney kalejey pe khaa liya mainey

      'QATEEL' jiskii adaavat main ek pyaar bhii thaa
      Us aadamee ko galey se laga liya mainey
      awesome..:hug:

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Pichle pehar ka chaand
        Jab khule dareecha se jhaankta hai
        To be-saakhta mera mann, meri aankhain
        Tujhe pukarne lagti hain
        Or hath dua keh lia uth jate hain
        Kion keh main ne suna hai
        Pichle pehar maangi hui duain, qubool hoti hain

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          :)
          Last edited by musaddaq; 2 April 2008, 06:38.

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain
            Ghum Roz Roz Sehny ki Aadat Nahi Humain

            Har Bar Tere Samne Sar Ko Jhoka Liya
            Aur Phir Bhi Dekh Tujh se Shikayat Nahi Humain

            Tu Aitebar kar k Tujhe Chahate Hain Hum
            Tery Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humain

            Hum Jante Hain Tum Tanha Nahi Hamary Bin
            Auron se Pochne ki Zarorat Nahi Humain

            Kese Rahen Gay Bin Tere Ab Baat Maan lay
            Tery Bagair Rahene ki ab Aadat Nahi Humain

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Yoon be_kal be-kal lamhoon main
              Jab bojhal bojhal qadmoon sey
              Sahil ki taraf main jati hoon
              Tumhain saath main aksar paati hoon
              Jab aati jati mojoon sey
              be-rabt si baatain karti hoon
              Tab yaad tumhain main karti hoon

              Kabhi aadhi raat ko uth kar jab
              Be-wajha tehla karti hoon
              Ya apney kamrey ki khirki sey
              Chand ko dekha karti hoon
              Aur uss ki thandi roshni ko
              Ang ang main samoya karti hoon
              Tab yaad tumhain main karti hoon

              Jab zabt k khooni panjoon sey
              Main apna app bachati hoon
              Kar kar k yaad wo guzrey pall
              Main pehron ask bahati hoon
              Phir ankhoon k totey taroon sey
              Aanchal ko bhigoya karti hon
              Tab yaad tumhain main karti hoon

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                nice

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Ik taaza hikayat hai
                  Sun lo to inaayat hai

                  Ik shakhs ko dekha tha
                  Taaron ki tarah ham ne
                  Ik shakhs ko chaha tha
                  Apnon ki tarah ham ne
                  Ik shakhs ko samjha tha
                  Phoolon ki tarah ham ne

                  Woh shakhs qayamat tha
                  Kiya us ki karain baatain
                  Din us ke liye paida
                  Aur us ki hi thi raatain
                  Kam milna kisi se tha
                  Ham se theen mulaqaatain

                  Rang us ka shahabi tha
                  Zulfon main theen mehkaarain
                  Aankhain theen ke jadoo tha
                  Palkain theen ke talwaarain
                  Dushman bhi agar dekhain
                  Sou jaan se dil haarain

                  Kuch tum se woh milta tha
                  Baaton main shabahat main
                  Haan tum sa hi lagta tha
                  Shokhi main shararat main
                  Lagta bhi tumhi sa tha
                  Dastoor-e-mohabbat main

                  Woh shakhs hamain ik din
                  Apnon ki tarah bhoola
                  Taaron ki tarah dooba
                  Phoolon ki tarah toota
                  Phir haath na aaya woh
                  Ham ne to buhat dhoonda

                  Tum kis liye chonkey ho
                  Kab zikr tumahra tha
                  Kab tum se taqaza hai
                  Kab tum se shikayat hai

                  Ik taaza hikaya hai
                  Sun lo to inayat hai

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Meri galation ko chuna karo, meri larzishon ko gina karo
                    Qadam qadam ki hadood kya, mery sath sath chala karo


                    Main khuly majaz ka shaks hoon, main takllufaat say hon maavra
                    Ye mehrbaani k lafz hain, enhian tum na mujh say kaha karo


                    Kahin tum na ho jao bay sakoon, Koi bad'd dua tumhain kha na lay
                    Ye jo khoye khoye say log hian, enhain dekh kar hansa na karo


                    Ye dua hai RUB-E-KAREEM say, teri taazgi ko khizaan na ho
                    Ye baahar tum say jala kary, sada muskuraty raha karo,,,,,!!! !

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Originally posted by musaddaq View Post
                      Pichle pehar ka chaand
                      Jab khule dareecha se jhaankta hai
                      To be-saakhta mera mann, meri aankhain
                      Tujhe pukarne lagti hain
                      Or hath dua keh lia uth jate hain
                      Kion keh main ne suna hai
                      Pichle pehar maangi hui duain, qubool hoti hain
                      very ncie bohat acha likha hay app nay:)

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain
                        Ghum Roz Roz Sehny ki Aadat Nahi Humain

                        Har Bar Tere Samne Sar Ko Jhoka Liya
                        Aur Phir Bhi Dekh Tujh se Shikayat Nahi Humain

                        Tu Aitebar kar k Tujhe Chahate Hain Hum
                        Tery Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humain

                        Hum Jante Hain Tum Tanha Nahi Hamary Bin
                        Auron se Pochne ki Zarorat Nahi Humain

                        Kese Rahen Gay Bin Tere Ab Baat Maan lay
                        Tery Bagair Rahene ki ab Aadat Nahi Humain
                        very nice musaddaq
                        bohat he acha likah hay app nay
                        keep it up
                        b happy:rose

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          great

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            bohat achajia geee

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Bin us k zindagi dard hai tanhai hai
                              Meri aankhon mein kiyun maut simat aayee hai

                              Kehtay hain log ishq ko ibaadat yaaro
                              Ibaadat mein phir kiyun ruswaai hai

                              Woh na aaye tau dil ko lubhanay mere
                              Shab-E-Hijr mein uski yaad chali aayee hai

                              Mehfil mein reh kar bhi tanha rehna
                              Yeh adaa uski muhabbat ne sikhlaayee hai

                              Yeh bhi uski muhabbat ki inaayat hai yaaro
                              Main tamasha hoon aur duniya tamaashaayee hai

                              Intizar mein kissi ki na raat ko barbaad karna
                              Doobtay taaron ne mujhe yeh baat samjhaayee hai

                              Us se talluq kuch aisa raha hai yaaro
                              Jab bhi socha ussay aankh bhar aayee hai...!!!

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Us simt mujh ko yar ne jane nahi diya
                                ek aur shahar e yar may ane nahi diya

                                Kuch aur waqt chahate the ki sochen tere liye
                                tune wo waqt ham ko zamane nahi diya

                                Manzil hai is mahak ki kahan kis chaman may hai
                                is ka pata safar may hawa ne nahi diya

                                Roka ana ne kawish e besud se mujhe
                                us but ko apana hal sunane nahi diya

                                Hai jis ke bad ahad e zawal ashna "Munir"
                                itana kamal ham ko Khuda ne nahi diya

                                Comment

                                Working...
                                X