Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    jo humsafar sar e manzil bichar raha hai 'Faraz'
    ajab nahi ke agar yaad bhi na aaooN ussay


    Comment


    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      JahaaN haiN, aur jis haal meiN haiN, ham tumhaarey haiN
      Tum hi aabaad ho dil meiN, tum hi ko yaad kartay haiN


      Comment


      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        tumhare dil mein kahaaN meri yaad ka paratau
        wo ek halka sa badal tha chaT gaya hoga


        Comment


        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          Suna hai phir unkey dais meiN loag Khoob saawan mana rahey haiN
          Aur apnay bhooley hu'oN ko phir bhi na yaad aayaiN to kya kareiN ham


          Comment


          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            saaye ki zaroorat hai to phir dhoop siya kar
            warna meri yaadoN ka badan oRh liya kar
            shayad wo ik lamha teri qismat ko badal de
            jo kuch bhi tere dil meiN ho wo bol diya kar


            Comment


            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              KahaaN ka waaqeya itna to yaad hai ab tak
              Nigaah mil ke haTi thi ke dil nishaana tha


              Comment


              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                yaad kar ke mujhe takleef he hoti hogi
                ek qissa hooN purana sa bhula de mujh ko


                Comment


                • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  DhyaaN taira kya aaya, jaan-e-sad bahaar aayee
                  Yaad tairy kya aayee, haasil-e-sharaab aaya


                  Comment


                  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    sata sata ke humhien ashk baar karti hai
                    tumhari yaad bohat beqaraar karti hai


                    Comment


                    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      Kaifeeyat-e-chashm uskee mujhey yaad hai 'Sauda'
                      SaaGhar ko meray haath sey laina ke chala maiN


                      Comment


                      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        marta hon mien iss dukh se, yaad ati hain wo baatein
                        kiya din wo mubarak thay, kiya khoob thien wo raatien


                        Comment


                        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          Har aik phool kisee yaad se mahekta hai
                          Teray Kheyaal se jaagi hui fizaayeiN haiN


                          Comment


                          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            Sunte the ke aata hai museebat mein khuda yaad
                            hum par to woh guzri ke khuda bhi na raha yaad


                            Comment


                            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              dil girafta he sahi bazm saja li jaaye
                              yaad-e-janaaN se koi shaam na khaali jaaye


                              Comment


                              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                                Her waqat meri khoj myn rehti hy teri yaad
                                Tu ny mery wajood ki tanhaiyaa leen chheen


                                Comment

                                Working...
                                X