Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    Dosto, yahaan par 'yaad' par ya 'yaad' se muta'aliq ash'aar likhyey.



    Na tum aayey na neeNd aayee, tumhaaree yaad hee aayee
    Kisee patthar se Takra kar, meree faryaad hee aayee



  • #2
    Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    kabhii tave pe roTi jal jaaye, kabhii namak daal meiN baRh jaaye
    voh yaad bahut aata hai magar, aisii bhii kya be_dhyaani ho?

    Dr. Naseem Nik'Hat


    Comment


    • #3
      Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      Aap kee yaad aatee rahee raat bhar
      ChaaNdnee dil dukhaatee rahee raat bhar


      Comment


      • #4
        Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        phir aj Adam shaam se ghamgeen hai tabiyat
        phir aaj sar-e-shaam teri yaad aayi hai ......


        Comment


        • #5
          Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          Yaad theeN ham ko bhi ranNga raNg bazm aaraaiyaaN
          Lakin ab naqsh o nigaar-e-taaq nisyaaN ho geyeeN


          Comment


          • #6
            Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            yaadon k naye mosam nay ye ehsan kiya hai
            ab yaad mujhay dard puraanay nahin aatay


            Comment


            • #7
              Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              ab agar yaad dilaoun main usay beeti baatain
              apne har qoul say wo shakhs mukar jaayega
              main shab-e-hijr mai muntazir rahunga uska
              wo chand kisi aur ke aangan main utar jayega


              Comment


              • #8
                Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                Jab tujhay yaad kar liyaa, subha mahak mahak uThee
                Jab teraa Gham jagaa liyaa, raat machal machal gayee


                Comment


                • #9
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  mile to mil liye, bichre to yad bhi na kiya
                  taa'luqaat main aisi rawa-daari bhi na ho


                  Comment


                  • #10
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    NahiN aatee to yaad un kee, maheenoN tak nahIN aatee
                    Magar jab yaad aatey haiN, to aksar yaad aatey haiN


                    Comment


                    • #11
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      ab k tui iss tarha say yaad aaya
                      jis tarha dasht main ghane saaye
                      jaise dhundle se aaine k naqoosh
                      jaise sadiyon ki baat yaad aaye


                      Comment


                      • #12
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        Yaad ke baynishaaN jazeeroN se
                        Tairy aawaaz aa rahee hai abhee


                        Comment


                        • #13
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          Yaad na kar dil-e-hazeeN, bhoolee hu-ee kahaaniyaaN
                          Yaar k bazm-e-naaz meiN, guzree huwee jawaaniyaaN


                          Comment


                          • #14
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            Humari rooh pe jab bhi azab utarein gey
                            Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai...!!


                            Comment


                            • #15
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              HaQeeQat khul gayee 'Hasrat' teray tark-e-mohabbat kee
                              Tujhay to ab wo pehley se bhee baRh kar yaad aatey haiN


                              Comment

                              Working...
                              X