Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    Zara si bat sahi tera yad a jana.
    Zara si bat bht der tak rulati rahe.


    Comment


    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      Bahar ayi or mujhe teri yaad na ayi
      khasaan ayi or phir teri yaad na ayi

      tune samjha ke main tujhe bhul gayi shayad
      koi esa pal nahi jis pal mujhe teri yaad na ayi


      Comment


      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        Bohat Thak Gayi Hoon Main
        Ye Nazaara daikhtay daikhtay
        Aik Dil Ko Apne Hi Haatoon
        Barbaad Hotay Hue


        Comment


        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          Ye boond boond si barish kisi ki yaadon ki
          Mery yaqeen ka kacha makan giraaye gi


          Comment


          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            Apni yadon ka aalam puch kabhi meri tanhai se.
            Jo mujhe tanha hote hoe bhi tanha hone nhi detin.


            Comment


            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              Yadon k hashiye bht eham hen Mohsin.
              Deemak lagi kitab ko ahista kholiye.


              Comment


              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                uski yaad deti hai jeene ka sahara mujhko
                marjaate ham kab ke jo uski yaad bhi na hoti


                Comment


                • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  Jab koi puchta he mujh se meri zindagi ki qeemat.
                  To mujhe yad aa jata he tera muskurana.


                  Comment


                  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    yaad aati hai mujhe uski par wo hi nahi aata
                    sitam dekho judaai ka milan ho hi nahi pata


                    Comment


                    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      Har waqt meri khoj min rehti he teri yad.
                      Tu ne to mere wajud ki tanhai bhi cheen li.


                      Comment


                      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        Yaad aye na uski mujhe ye dua dijiye
                        nahiN to kaffan mera tayyar kijiye


                        Comment


                        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          Meri yadon ki dhoop chaon min.
                          Us ki soorat nikhar gai hogi.


                          Comment


                          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            صبح دم پل بھر کو آی تیری یاد
                            اور مجھے دیکھا گیا دن بھر اداس

                            افتخار راغب

                            SubaH dam pal bhar ko aai teri yaad
                            aor mujhay dekhha geya din bhar udaas

                            Iftikhar Raghib


                            Comment


                            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              samaaN KAL ka reh reh ke aata hae yaad
                              abhi keya tha aur keya se keya ho geya

                              سماں کل کا رہ رہ کے آتا ہے یاد
                              ابھی کیا تھا اور کیا سے کیا ہو گیا

                              حالی


                              Comment


                              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                                Yad ata he roz-o-shab koi.
                                Hum se rootha he be-sabab koi.


                                Comment

                                Working...
                                X