Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    Karchiyan tooti hoi yadon ki chun lo Nasir.
    Koi masoom kahin paon na zakhmi kar le.


    Comment


    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      میرے دل میں اُس کی یاد
      جیسے شیلف میں ایک کتاب

      merey dil mein uski yaad
      jesey shelf mein aik kitaab


      Comment


      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        Saath lati hy aik aik manzer
        Yaad kuch bhool k nahi aati


        Comment


        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          usko bhoole hue to ho ''Fani''
          kya karoge agar woh yaad aaya


          Comment


          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            Mujhy to is darza waqt'e'rukhsat saber ki talqeen kr rahy ho
            Mager kuch apny liye bhi socha main yaad aaya to kya kro gy


            Comment


            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              phir sawan rut ki pavan chali tum yaad aaye
              phir pattoN ki paazeb baji tum yaad aaye


              Comment


              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                Mashal e gham na bujhao k phir is k bagher.
                Rasta ghar ka bhula deti hen yaden aksr.


                Comment


                • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  جاتے ہوئے اک بار تو جی بھر کے رُلائیں
                  ممکن ہے کہ ہم آپ کو پھر یاد نہ آئیں

                  jaate hoye ik baar tou jee-bhar k rulayeN
                  mumkin hai k hum aap ko phir yaad na aayeN


                  Comment


                  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    میں تری یاد کو یوں دل میں لیے پھرتا ہوں
                    جیسے فرہاد نے سینے سے لگائے پتھر

                    mein teri yaad ko yoN dil mein liye phirta hoN
                    jesey Farhad ny seeney sy lagaye pathr


                    Comment


                    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      us shehar may kitne chehre thay kuch yaad nhi sab bhool gaye
                      ik shakhs kitabon jaisa tha wo shakhs zubani yaad hua


                      Comment


                      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        یاد سے نام مٹا،ذہن سے چہرہ اُترا
                        چند لمحوں میں نظر سے تری کیا کیا اُترا

                        yaad se naam mitta, zahen se chehra utra
                        chund lamhoN meiN nazar se teri kia kia utra


                        Comment


                        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          اے رفیقو سر منزل جا کر
                          کیا کوئی آبلہ پا یاد آیا

                          ae refeeqo sar_e_maNzil ja ker
                          kia koi aabla-paa yaad aaya


                          Comment


                          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            Ik Din Baharon Ke Phool Murjha Jayenge,
                            Jab Bhoole Se Kabhi Hum Yaad Aayenge,


                            Comment


                            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              جب بھی غمِ حیات سے بوجھل ہوا یہ دل
                              چپکے سے تیری یاد نے بانہوں میں لے لیا

                              نعیم حیدر


                              Comment


                              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                                yad kartay raha karo aye dost

                                is say rishtay puranay nain hotay


                                Comment

                                Working...
                                X