Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    ye lag raha hai ab ek bojh hat gaya dilse
    guzishta raat mein Irfan dat ke roya tha

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      uchhaal Saaghir may dil bahaal hoon saaqi
      keh roshni ko tarastey hain zindagi key chiragh

      [Saaghir Siddiqi]
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        last word hay ya ghain ?

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          ji GHAIN
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            ji sya nahi aata ghain hi chalay ga

            Goongay Baney Rahey To Sabhi Maantey They Baat
            Boley Ham To Kisi Ko Bee Qaa'el Naa Ker Sakey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Originally posted by <<Muqadas>> View Post
              ji sya nahi aata ghain hi chalay ga

              Goongay Baney Rahey To Sabhi Maantey They Baat
              Boley Ham To Kisi Ko Bee Qaa'el Naa Ker Sakey
              :na: :na: nahin bibi yeh GAAF sey hai aap GHAIN - yani GHAM sey likhien
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Ay khuda log banaay thay agar pathar kay Maray ahsas ko cheesha na banaya hota

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  ghum e aashiqui tere shukaria
                  main kahan kahan say gyzar gaya
                  Last edited by MuQadas; 29 October 2006, 22:03.

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    abhi hawas ko muyassir nahin dilon ka gudaaz
                    abhi yeh log muqaam-e-nazar sey guzrey hain
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Originally posted by sedra View Post
                      Ay khuda log banaay thay agar pathar kay Maray ahsas ko cheesha na banaya hota
                      Ham aap ko bait baazi mein khush aamdeed kehtey hain :) aur saath yeh bhi btaey detey hain keh jis harf peh shair khatam ho usi sey neya shair shuru karna hai :)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Nahin iss khulli fiza mein koi gosha e faraaghat
                        yeh jahan ajab jahan hai na qafas na ashiyana
                        tairi banda parwari se maire din guzar rahe hain
                        na gilla hai doston kaa na shikayat e zamaanah

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Har ek baat per kehtey hoo tum,"k tu kya hai?"
                          tum hi kahoo yeh andaz-e-guftogoo kya hia ?

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Originally posted by Masood View Post
                            Ham aap ko bait baazi mein khush aamdeed kehtey hain :) aur saath yeh bhi btaey detey hain keh jis harf peh shair khatam ho usi sey neya shair shuru karna hai :)

                            thxs masood sahib .main na akhri harf sa hi shair shuru kia tha mainsamjhi nahi ka kon sa shair ka akhri lafz jo shair main na khud post kia us ka last word sa ya phir jo last shiar post ho us ka akhri lafz sa shuru karna ha/aur is ka ilava muja thoree si help chiay main is forum ka sary features kis tarah use kar saktee hoon .

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              YEHAN PAY RABT HAY SAB ZABT KA AUR KUCH NAHI JEEWAN
                              KABHI HOTA HAY JO APNA BUHAT., WAHI KAL GHAIR HOTA HAY.....
                              Last edited by Gul; 30 October 2006, 23:05.

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                ye din bahaar ke ab ke bhi raas na aa sakey
                                ki Gunchey khil to sakey khil key muskura na sakey
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X