Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    yun to aaney ko bohat log yahan aaein gey
    ham kharabaat nasheen yaar kahan aaein gey
    lab to si loon ga main aey harf-e-tamana key hareef
    aur woh ashk jo ban ban key zubaan aein gey
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      yadein jaga rahi hein mujh mein nai ek LO
      ab roshni hey mujh mein, mein ban gai charagh:)

      hmm...filbadeeh

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        gham-e-doraan ney bhi seekhey hain gham-e-janaan key chalan
        wohi sochi hui chalein wohi besakhta pan
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          na rida-ay yaad hoti na huma~ yeh raat hoti
          na parwanay hayran hotay kiyun mein ban gai charagh

          :) ek aur felbadeeh:)
          Last edited by Gul; 29 October 2006, 17:21.

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Gham-e-Khyanat Mein tujh ko bhula diya maine
            Yaad-e-ehad-e-Rafta Ko Jala Diya maine
            Janta Hoon Ke Tera Naseeb Main nahi
            Nakaam Aarzuon ko Ro Ro Ke Sula Diya maine
            Last edited by amber; 29 October 2006, 17:55.

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              yuu.N chup rahanaa Thiik nahii.n ko_ii miiThii baat karo
              mor chakor papihaa koyal sab ko maat karo

              saavan to man bagiyaa se bin barase biit gayaa
              ras me.n Duube naGme kii ab tum barasaat karo

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                woh jin key hotey hain khursheed aastinon mein
                unhein kahin sey bulao barra andhera hai
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  YuN ghalaut tu nahi cha'hruN ka taasur bhi mager
                  Loog weysey bhi nahi jeysey nazer atey haiN

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    nisbat hai jahan mein gham-e-insaan sey jin ko
                    woh deedah bedar sada zindah rahein gey
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      yai shehar tanqeed_e_garan'yahan na sheesha hae na sung
                      koi bhi naqash yahan moatbar nahi hota
                      khuda draz karey umer mog_e_tofaan ki
                      somundron mae koi darbadar nahi hota......

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        ab nazar aati nahin chehron per hairani bhi
                        kaisey aabad hui shehron mein weerani bhi
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Yeh Riida-e-jaaN tujhey soonp dooN keh na dhoop tujhey kaRi lagey
                          Kahein dukh naa tujh ko atta karein sar-e-dasht-e-gham ki tamazatein.

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            na jaaney mohtasib kyun maikadey ka naam letey hain
                            jahan kuchh aadmi kartey hain apney dard ka chara
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              alfaz ki soorat main sakoon maang lo mujh sey
                              ehsaas ka sooraj to yahan doob chuka hai
                              Last edited by MuQadas; 29 October 2006, 21:30.

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                yaad kiye jab guzrey lamhey tanhaii mein ham ney
                                barseen apni ankhein aisey jaisey barkha barsey
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X