Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Ahl-e-gul ki baat hoti to maan bhi jatey
    tu ney kanton peh bhi haq hamara jana kyun na?
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Aksar yeh hum nay chaha keh yeh baat kahien onn say
      hein gul hee kahan onn k jo kantoun pay haq wo rakhtay..

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        yeh chahaton key dhanak rang urr na jaein kahin
        khiyal phoolon ka, aey sar phiri hawa rakhta
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Originally posted by Masood View Post
          yeh chahaton key dhanak rang urr na jaein kahin
          khiyal phoolon ka, aey sar phiri hawa rakhta
          Ajeeb rang daykhay ab kay hawaon kay
          chalti rahien wo musst, laikin koi zukhm chila nahi..

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            nahin keh mujh ko qayamat ka aetqad nahin
            shab-e-firaaq sey roz-e-jaza ziyaad nahin
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Originally posted by Masood View Post
              nahin keh mujh ko qayamat ka aetqad nahin
              shab-e-firaaq sey roz-e-jaza ziyaad nahin
              nahi khabar onhein meray haal-e-zar ki kehna
              suno! machalti boundoun bass kuch zor say chalak parna

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Ek no bahar naz ko take hai phir nigah
                chehra farioogh mai sey gulistan kya howey
                ghalib humain na cher k phir josh-e-ask sey
                bethey hai hum tahiya-e-toofan kya howeyy

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  yeh koan otra hay falak say GULAB ki soorat
                  mehk ga'ay hein sab lamhay meray takhayul kay

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    Yehh meri kitaab-e-hayaat hai, issay dill ki ankh sey perhh zaraa
                    Mein warq warq teray samnay, teray ro-baroo, teray saath hoon
                    .

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Nigahein kyun ufaq ko dhoondti hain
                      abhi to raat baqi hai sehar per

                      [samad ansari]
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Rukhsat howa too bat mare maan kar gaya
                        jo kuch tha uskay pass sabhi kuch daan kargaya
                        bichra kuch iss ada say k rut hi badal gai
                        aik shaks poray shehar ko veeran kargaya

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          iss shart pay kheloun gee piya tujh say yeh baazi
                          jeetoun tu paoon tujh ko , haroun tu piya teri:)

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            :D

                            yehi maqsood-e-fitrat hay yehi ramz-e-musalmani
                            ukhuwat ki jhahangEri muhabat ki farawani

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              yeh tajaliyon ki mehfil hai isi key zer-e-saya
                              yeh jahan-e-kaif iska jissey woh nazar sambhaley
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Yeh khunak rut yeh naye saal ka pehla lamha
                                DIL yeh kehta hai kay muasum ab koii yaad aye
                                Mainda Ziker Vi Tu'n, Mainda Fiker Vi Tu'n
                                Mainda Zoaq Vi Tu'n, Vajdaan Vi Tu'n
                                Mainda Aval, Akhir, Ander, Bahir
                                Zahir Tey Pinha'an Vi Tu'n
                                Mainda Bakht Tey, Naam Nishan Vi Tu'n

                                Comment

                                Working...
                                X