Re: MonthlY poetry contest of month Januray.
Sham ka dhalta suraj, kuch kehte kehte doob gaya.
Tanhai k ik roz aalam min.
Udasi k ik din manzar min.
Gham k gehre saye min.
Sham ka dhalta suraj, kuch kehte kehte doob gaya.
Chal rahi thi pursooz hawa.
Lagta tha k jese.
Koi sada zor se ghoonje gi.
Koi cheenkhe ga chilaye ga.
Rang falak bhi apna badle ga.
Aik surkhi har soo phele gi.
Min ne dekha jo dhalte suraj ko.
Aik karb ka manzar wazeh tha.
Aik dard ka fasana roshan tha.
Aik rang tha sirf udasi ka.
Aik ehsas tha sirf bezari ka.
Lagta tha jese.
Sadiyon pe pheli kahani ka.
Aaj raz to afshan ho ga.
Aaj sari duniya dekhe gi.
Aaj khoob tamasha hoga.
Yon lagta tha k jese.
Aaj dil khol k suraj roye ga.
Tab chen ki neend ye soye ga.
Is dil sooz hawa min jese.
Aaj bht se fesle hone hen.
Lekin fesle ki is ghari min.
Waqt ne bari na-insafi ki.
Min ne aankh utha k dekha jo.
Bari hasrat se, majburi se.
Meri aankhon min aankhen dale.
Sham ka dhalta suraj, kuch kehte kehte doob gaya.
~~mErI TaNhai ~~
~~ pOeM # 37 ~~
~~ pOeM # 37 ~~
Sham ka dhalta suraj, kuch kehte kehte doob gaya.
Tanhai k ik roz aalam min.
Udasi k ik din manzar min.
Gham k gehre saye min.
Sham ka dhalta suraj, kuch kehte kehte doob gaya.
Chal rahi thi pursooz hawa.
Lagta tha k jese.
Koi sada zor se ghoonje gi.
Koi cheenkhe ga chilaye ga.
Rang falak bhi apna badle ga.
Aik surkhi har soo phele gi.
Min ne dekha jo dhalte suraj ko.
Aik karb ka manzar wazeh tha.
Aik dard ka fasana roshan tha.
Aik rang tha sirf udasi ka.
Aik ehsas tha sirf bezari ka.
Lagta tha jese.
Sadiyon pe pheli kahani ka.
Aaj raz to afshan ho ga.
Aaj sari duniya dekhe gi.
Aaj khoob tamasha hoga.
Yon lagta tha k jese.
Aaj dil khol k suraj roye ga.
Tab chen ki neend ye soye ga.
Is dil sooz hawa min jese.
Aaj bht se fesle hone hen.
Lekin fesle ki is ghari min.
Waqt ne bari na-insafi ki.
Min ne aankh utha k dekha jo.
Bari hasrat se, majburi se.
Meri aankhon min aankhen dale.
Sham ka dhalta suraj, kuch kehte kehte doob gaya.
Comment