Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf Ghazal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: sirf Ghazal

    Kisi Bhi Dukh Par Malaal Karna Na Usko Aya Na Mujhko Aya
    Wafaon Ko Lazwaal Karna Na Usko Aya Na Mujhko Aya

    Jo Fasle The Unhain Mitana Agrcha Dono Hi Chahte The
    Magar Taaluq Bahaal Karna Na Usko Aya Na Mujhko Aya

    Dukhon mein dobi sadaein sun kar, Na main he roya na mai he tarpa
    Ke roh ko malamal karna Na usko Aya Na Mujhko Aya

    Duva K Roshan Charagh Apni Hathyliyun Par Jalay Hum ne
    Khuda Say Lekin Sawal Karna Na Usko Aya Na Mujhko Aya

    Comment


    • #77
      Re: sirf Ghazal

      Ye kya har dam kisi ki minnatein karna,
      Kya issi ko kehte ho Mohabbat karna

      Jo apni qismat mein hai mile ga wohi,
      Phir kis baat pe Rab se shikayten karna,

      Ye pagal pan nahi to or kya hai Wasi
      Phir Zameen k ho kar aasman se baghawtein karna,

      Boht kr chuka hai logo Pyaar ye dil,
      Ab koi sikha'ay is ko bhi nafratein karna,

      Pehle yaad karna usay, Phir rote rehna,
      Na jane kab chhore ga dil ye harkatein karna.

      Comment


      • #78
        Re: sirf Ghazal

        Sahaab Tha K Sitaara, Guraiz Pa Hi Laga ..
        Wo Apni Zaat K Har Rang Me Hawa Hi Laga ..

        Main aisy Shakhas Ki Masoomiyat Pe Kia Likhon ..
        Jo Muje Ko Apni Khataaon Mein B Bhala Hi Laga ..

        Zabaan Sy Chup Ha Magar Aankh Baat Karti Hai ..
        Nazar Uthaayi Hai Jub B To Bolta Hi Laga ..

        Na Mery Lutf Pe Hairaan Ha Na Apni Uljhan Per ..
        Mujhe Ye Shakhs To Har Shakhs Se Judaa Hi Laga, ..

        Comment


        • #79
          Re: sirf Ghazal

          Ye Dil Tum Se Pyaar Karna Chahta Hai
          Apni Mohabbat ka Iqraar karna chahta hai
          Jab se dekha hai Tum ko Ae Sanam!!
          Bas Tumhara hi Dedaar karna chahta hai
          Logon se sunte the Mohabbat ke Afsaane
          Khuwaab Hum ne bhi dekhhe the Suhaane
          Pyaar kya hai ? Hum aksar sochte the
          Is Baat se Hum apne Dil ko rokte the
          Lekin ab Tumhain is Dil main basa ker
          Yeh Khata ek baar karna chahta hai
          Yeh Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
          Apni Mohabbat ka Izhaar karna chahta hai

          Comment


          • #80
            Re: sirf Ghazal

            Boht Udas hai ye Dil Koi paigham hi likh do,
            Tum apna Naam mat likho Bhalay gumnam hi likh do..

            Mana k apni Kismat me gham-e-tanhai hai lakin,
            Tamam Umar na likho Magar ik sham hi likh do,

            Chalo hum maan laitay hain Saza k mustahiq hain hum
            Koi Inam na likho koi ilzam hi likh do.

            Comment


            • #81
              Re: sirf Ghazal

              Udas Lamhon Ki Wo Aziat
              Main Bhool Paon Ye Kesay Mumkin

              Main Apni Aankhon Ke Rutjagon Ke
              Azaab Bholon Ye Kesay Mumkin?

              Falk Ke Taroo Zameen Ke Yaro
              Tumhare Chehre Ki Muskraht

              Main Bhool Paon
              Ye Kesay Mumkin.?

              Wo Betay Lamhon Ke Tore Waday
              Main Bhool Paon Ye Kesay Mumkin.?

              Wo Bachpane Ki Thi Aarzoyen
              Main Bhool Paon
              Ye Kesay Mumkin.?

              Wo Din Dihare Sark Pe Rona
              Main Bhool Paon
              Ye Kesay Mumkin.

              Comment


              • #82
                Re: sirf Ghazal

                Subak raftaar Lamhon ki Hadain Tarteeb deta Hoon
                Sehar ki Saans ginta hoon Shabain Tarteeb deta Hoon

                Main Aab-E-Zar se Likhta hoon Tumhara Naam Shai’ron mein
                Sunehray Lafz bunta hoon Tumhain Tarteeb deta Hoon

                Tujhe sochoon to Pehloo se Sirak jaata hai DiL mera
                Main Dil par Haath rakh kar Dharkanain Tarteeb deta Hoon

                Mere Logon ki Tabiyat main Yazeedi Wasf Shaamil hai
                Wohi mujhe Mitatay hain Jinhain Tarteeb deta Hoon

                Comment


                • #83
                  Re: sirf Ghazal

                  niyat-e-shauq bhar na jaye kahin
                  tu bhi dil se utar na jaye kahin

                  aj dekha hai tujhe der k bad
                  aj ka din guzar na jaye kahin

                  na mila kar udas logon se
                  husn tera bikhar na jaye kahin

                  arzu hai k tu yahan aye
                  aur phir umr bhar na jaye kahin

                  ji jalata hun aur ye sochta hun
                  rayegan ye hunar na jaye kahin

                  ao kuch der ro hi len 'Nasir'
                  phir ye dariya utar na jaye kahin

                  Comment


                  • #84
                    Re: sirf Ghazal

                    یہ شب یہ خیال و خواب تیرے
                    کیا پھول کھلے ہیں منہ اندھیرے

                    شعلے میں ہے ایک رنگ تیرا
                    باقی ہیں تمام رنگ میرے

                    آنکھوں میں چھپائے پھر رہا ہوں
                    یادوں کے بجھے ہوئے سویرے

                    دیتے ہیں سراغ فصل گل کا
                    شاخوں پہ جلے ہوئے بسرے

                    منزل نہ ملی تو قافلوں نے
                    رستے میں جما لئے ہیں ڈیرے

                    جنگل میں ہوئی ہے شام ہم کو
                    بستی سے چلے تھے منہ اندھیرے

                    رودادِ سفر نہ چھیڑنا ناصر
                    پھر اشک نہ تھام سکیں گے میرے

                    Comment


                    • #85
                      Re: sirf Ghazal

                      *Tere Khayal Se Aankhain Milane Wali Hon,
                      Naye Saroop Ka Jado Jagane Wali Hon,

                      Main Seent Seent K Rakhe Howe Lihafon Se,
                      Tumhari rooh Ki Garmi Churane Wali Hon,

                      Kaho K Chaon Meri Khud Samait Le Aa Kar,
                      Main Ab Ghata Ka Paranda Hilane Wali Hon,

                      Jahan Pe Aam Ki Ghutli Dabi Thi Bhobhal Mein,
                      Wahain Pe Apne Dukhon Ko, Tapane Wali Hon

                      Is Algani Pe Akele Larzte Qatre Ko,
                      Bana K NENAA Main Surma Lagane Wali Hon......

                      Comment


                      • #86
                        Re: sirf Ghazal

                        Tumhain Dil Say Bhulatay Hain
                        Tou Aankhain Khoob Rooti Hain,
                        Dard Dil Main Jagatay Hain
                        Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

                        Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Janaan,
                        Kahin Bhi Dil Lagatay Hain
                        Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

                        Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diyey Hum Nay,
                        Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain
                        Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

                        Ghata Aawargi Main Jab Siyah Chola Pehanti Hai,
                        Parinday Jab Satatay Hain
                        Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

                        K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
                        Falaq Par Jagmagatay Hain
                        Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

                        Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
                        Dard Jab Muskuratay Hain
                        Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

                        Sahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say,
                        Wafa Likh Kar Mitatay Hain
                        Tou Aankhain Khoob Rooti hian.....

                        Comment


                        • #87
                          Re: sirf Ghazal

                          Sab Ek Se Hain

                          Deepak Jugunu Chand Sitare Ek se Hai

                          Yani Saare Ishq ke Maare Ek se Hain !

                          Hijr ki Shab me Dekh to aake Mere Chand

                          Mere Aansu aur ye Taare Ek se Hain !

                          Darya Hoon Mai Bher Bhav ko kya janu

                          Mere Liye to Dono Kinare Ek se Hain !

                          Meri Kashti kis ne Duboyi kya Maloom

                          Sari Lehrien saare Dhaare Ek se Hain !

                          Kuch apne aur kuch Be-Gaane aur Mai khud

                          Meri Jaan k Dushman saare Ek se Hain !

                          Ab Batlao Hum kis se Fariyad Karien

                          Kaatil, Haakim, Munsif saare Ek se Hain !

                          Comment


                          • #88
                            Re: sirf Ghazal

                            Main sun k us ki sab BATEEN,
                            Faqat itna kehti hoon,

                            KHAFA hona
                            MANA lena

                            Ye sadiyon sy riwayat hai
                            MUHABBAT ki alamat hai

                            Gilay shikway karo mujh sy
                            tumain yara IJAZAT hai

                            Magar ik BaaT meri bhi
                            Zara tum YaaD rakh lena

                            Kabhi aisa bhi hota hai
                            Hawain rukh badalti hain

                            Khizain loat aati hein
                            Khatain ho hi jati hain

                            KHATA hona bhi MUMKIN hai
                            KHAFA hona bhi MUMKIN hai


                            Hamesha YaaD rakhna tum
                            Ta-aluq Rooth Jany sy kabhi
                            TOOTA nahi karty..!!

                            Comment


                            • #89
                              Re: sirf Ghazal

                              gaye baras ki eid ka din kiya acha tha
                              chand ko dekh ke uska chehra dekha tha

                              faza mein cactus ke lehje ki nermahat thi
                              mausam apne rang mein faiz ka mesrah tha



                              Dua ke be-awaz, ulohi lamhoon mein
                              woh lamha bhi kitna dilkash lamha tha



                              haath utha ker jab Aankhoon hi
                              aankhoon mein...
                              uss ne mujh ko apne Rab se manga tha

                              Comment


                              • #90
                                Re: sirf Ghazal

                                Agar karnii hoon to phir Aa,karain hum piyaar ki baatein
                                wagarna choR dai baaqii hain sub baikaar ki baatein

                                buraa ho ya bhla koii kisi se kya gharaz hum ko
                                kya apnoon ki kamii he jo karein aghyaar ki baatein

                                lagaayaa dil agar hum ne,zamaana kya kahaiga phir
                                ye sub hain baad ki ab to na kar baikaar ki baatein

                                yahaan par to sunaa he ke hote hain kaaN diwaaroun ke
                                kisi ke saamne kaise karein asraar ki baatein

                                ye qol o fail main janaan he kuon itnaa tazaad aakhir
                                kisi se pyaar karta he kisi se pyaar ki baatein

                                teri nazroun main jab se pyaar ki daikhi jhalak hum ne
                                burii lagtii nahein hain ab hamain baikaar ki baatein

                                Comment

                                Working...
                                X