Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~meiji ka intikhaab~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

    Kaha Tha Kis Nay Kay Ahad e Wafa Karoo Uss Say
    Jo Yun Kiya Hai Tu Phir Kyun Gilla Karoo Uss Say

    Yeh Ahal e Baz Tunak Hoosla Sahee Phir Bhee
    Zara Fasana e Dil Key Ibtidaa Karoo Uss Say

    Yeh Kiya Keh Tum Hee Gham e Hijr Kay Fasanay Kahoo
    Kabhi Tu Uss Kay Bahanay Sunna Karoo Uss Say

    Naseeb Phir Koi Taqreeb e Qarab Ho Kay Na Ho
    Jo Dil Main Hun Wohi Baatain Kiya Karoo Uss Say............"sighs"

    Faraz Tarak e Taaluq Tu Khair Kiya Hooga
    Yehi Buhat Hai Keh Kum Kum Milla Karoo Uss Say

    Comment


    • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

      Zindagee Kay Mailay Main, Khawahishoon Kay Raillay Main
      Tum Say Kiya Kahain Jaana, Iss Qadar Jhamailay Main
      Waqt Key Rawani Hai, Bakhat Key Girani Hai
      Sakhat Bay Zameeni Hai, Sakhat Laa Makani Hai

      Hijr Kay Samundar Main

      Takht Oor Takhtay Key Aaik He Kahani Hai
      Tum Ko Joo Sunaani Hai
      Baat Go Zara See Hai
      Baat Umer Bhar Key Hai

      Umer Bhar Key Baatain Kub Doo Gharii Main Hooti Hain
      Dard Kay Samandur Main
      Unn Ginat Jazeeray Hain, Bay Shumaar Mooti Hain

      Ankh Kay Dareechay Main Tum Nay Joo Sajaya Tha
      Baat Uss Diay Key Hai
      Baat Uss Gilay Key Hai

      Joo Lahoo Key Khalwat Main Choor Bun Kay Aata Hai
      Lafz Key Faseelon Purr Toot Toot Jaata Hai
      Zindagee Say Lambi Hai, Baat Rutt Jagay Key Hai
      Rastay Main Kasiay Hoo!
      Baat Takhliay Key Hai

      Takhliay Key Baatoon Main Guftagoo Izafii Hai
      Piyaar Karnay Waloon Ko Ik Nigah Kafi Hai
      Hoo Sakay Tu Sunn Jaoo Aik Din Akeelay Main
      Tum Say Kiya Kahain Jaana, Iss Qadar Jhamailay Main

      Comment


      • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

        :thmbup:
        Originally posted by meiji View Post
        Zindagee Kay Mailay Main, Khawahishoon Kay Raillay Main
        Tum Say Kiya Kahain Jaana, Iss Qadar Jhamailay Main
        Waqt Key Rawani Hai, Bakhat Key Girani Hai
        Sakhat Bay Zameeni Hai, Sakhat Laa Makani Hai

        Hijr Kay Samundar Main

        Takht Oor Takhtay Key Aaik He Kahani Hai
        Tum Ko Joo Sunaani Hai
        Baat Go Zara See Hai
        Baat Umer Bhar Key Hai

        Umer Bhar Key Baatain Kub Doo Gharii Main Hooti Hain
        Dard Kay Samandur Main
        Unn Ginat Jazeeray Hain, Bay Shumaar Mooti Hain

        Ankh Kay Dareechay Main Tum Nay Joo Sajaya Tha
        Baat Uss Diay Key Hai
        Baat Uss Gilay Key Hai

        Joo Lahoo Key Khalwat Main Choor Bun Kay Aata Hai
        Lafz Key Faseelon Purr Toot Toot Jaata Hai
        Zindagee Say Lambi Hai, Baat Rutt Jagay Key Hai
        Rastay Main Kasiay Hoo!
        Baat Takhliay Key Hai

        Takhliay Key Baatoon Main Guftagoo Izafii Hai
        Piyaar Karnay Waloon Ko Ik Nigah Kafi Hai
        Hoo Sakay Tu Sunn Jaoo Aik Din Akeelay Main
        Tum Say Kiya Kahain Jaana, Iss Qadar Jhamailay Main
        :thmbup:one my all time fav

        Comment


        • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

          Originally posted by aquari View Post
          :thmbup:
          :thmbup:one my all time fav
          :)

          Comment


          • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

            Originally posted by meiji View Post

            Abhee Tu Sahiloon Pay Ik Hawaiy Shad Chalnii Thee
            Abhee Jo Chull Rahee Hai, Yeh Kuch Din Baad Chalnii Thee!
            very nice miji ge:thmbup:
            sigpic

            Comment


            • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

              Originally posted by nomi sialkoti View Post
              very nice miji ge:thmbup:
              :)

              Comment


              • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                Jo Log Jaan Boojh Kay Nadaan Bun Gaiy
                Maira Khiyaal Hai Keh Woh Insaan Bun Gaiy

                Hum Hasher Main Gaiy Magar Kuch Na Poochiay
                Woh Jaan Boojh Kar Wahan Anjaan Bun Gaiy

                Hastay Hain Hum Ko Daikh Kay Arbab e Aagahi
                Hum App Kay Mizaj Key Pehchaan Bun Gaiy

                Manjhdaar Tak Pohnchana Tu Himat Key Baat Thee
                Sahil Kay Aas Paas He Toofan Bun Gaiy

                Insaaniyat Key Baat Tu Itni Hai Shaikh Jii
                Bad-qismati Say Aap Bhee Insaan Bun Gaiy

                Kantay Buhat Thay daman e Fitarat Main Aiy "Adam"
                Kuch Phool Or Kuch Mairay Armaan Bun Gaiy

                Comment


                • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                  Jo Log Jaan Boojh Kay Nadaan Bun Gaiy
                  Maira Khiyaal Hai Keh Woh Insaan Bun Gaiy

                  Hum Hasher Main Gaiy Magar Kuch Na Poochiay
                  Woh Jaan Boojh Kar Wahan Anjaan Bun Gaiy
                  zaberdast..:clap:

                  Comment


                  • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                    bohat khub

                    Comment


                    • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                      bohat achy zabardast

                      Comment


                      • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                        Originally posted by aquari View Post
                        zaberdast..:clap:
                        Thank u Thank u:)

                        Comment


                        • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                          Originally posted by saimakhan View Post
                          bohat achy zabardast
                          Thank u Saimakhan for liking my post:)

                          Comment


                          • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                            Jab dard puranay ho baithay..
                            Jab `yaad ka jugnu`raakh hua
                            Jab aankh main aaansoo barf huay
                            Jab zakhm se dil manoos hua
                            Jab tees ko chubhna bhool gia
                            Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
                            Phir dil ko dharhakna yaad aya!!!


                            nice keep it up ,bohat khub choice hai.
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                              Kut Hee Gaiee Judaii Bhee Kub Yun Howa Kay Murr Gaiy
                              Tairay Bhee Din Guzar Gaiy Mairay Bhee Din Guzar Gaiy

                              Tu Bhee Kuch Oor Oor Hai Hum Bhee Kuch Oor Oor Hain
                              Jaanay Woh Tu Kidher Gaiee Jaanay Woh Hum Kidher Gaiy

                              Rahoon Main Hee Millay ThayHum Raahain Nasee Bun Gaieen
                              Tu Bhee Na Apnay Ghar Giya Hum Bhee Na Apnay Ghar Gaiy

                              Woh Bhee Ghubar e Khakh Tha Hum Bhee Ghubar e Khakh Thay
                              Woh Bhee Kaheen Bikhar Giya Hum Bhee Kaheen Bikhar Gaiy

                              Koi Kinaar e Aab Ju Jo Baitha Hai Sir Nigoon
                              Kishtee Kidher Chali Gaiee Jaanay Bhanwar Kidher Giya

                              Tairay Liay Challay Thay Hum Tairay Liay Thaher Gaiy
                              Tu Nay Kaha Tu ji Uthay Tu Nay Kaha Tu Murr Gaiy

                              Waqt He Kuch Judaii Ka Itna Taveel Hoo Giya
                              Dil Main Tairay Firaq Kay Jitnay Thay Zakham Bhur Gaiy

                              Baarish e Visal Woh Howi Sara Ghubaar Dhul Giya
                              Woh Bhee Nikhar Giya Hum Bhee Nikhar Gaiy

                              Itnay Qareeb Hoo Gaiy Itnay Raqeeb Hoo Gaiy
                              Woh Bhee Adeem Dar Giya Hum Bhee Adeem Dar Gaiy

                              Comment


                              • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                                Originally posted by Afshan Shani View Post
                                Jab dard puranay ho baithay..
                                Jab `yaad ka jugnu`raakh hua
                                Jab aankh main aaansoo barf huay
                                Jab zakhm se dil manoos hua
                                Jab tees ko chubhna bhool gia
                                Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
                                Phir dil ko dharhakna yaad aya!!!


                                nice keep it up ,bohat khub choice hai.
                                Thank u for liking my choice Afshan:)

                                Comment

                                Working...
                                X