Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~meiji ka intikhaab~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

    Originally posted by aik_lerki View Post
    Bohat acha intikhaab hai aap ka meiji
    Thank u for liking my Intikhaab:)

    Comment


    • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

      Originally posted by Dil_E_Veran View Post
      :phool:
      Thank u for the nice bunch of flowers............:welcome:

      Comment


      • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

        tum naghma-e-mah-o-anjum ho, tum soz-e-tamana kya jano
        tum dard-e-mohabat kya samjho, tum dil ka tarapna kya jano

        kub dard barha kub hook uthi, ku ashaq baha kyu ahh khichi
        tum gum ho baharoo'n mai apni, tum gham ka fasana kya jano


        ek moj-e-tabasum hontoo'n par, ek naghma rangee'n ankhoo'n mai
        tum raqs-e-surya kya samjho, tum barbat-e-zuhra kya jano

        tum roth gaye jub jub hum say, hum tum ko mana hi letay thay
        ek bar agar hum rooth gaye tum hum ko manana kya jano'o


        takhreeb-e-mohabat asaa'n hai, tameer-e-mohabat mushkil hai
        tum a'ag lagana sekh gaye tum agg bhujana kya jano'O

        tum door kharay dekha hi kiye aur dobnay wala doob gya
        sahil hi ko tum manzil samjhay, tum lazit-e-dardiya kya jano'o

        Comment


        • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

          kaha us ney K aa'khir kis lee'ye be-kaaR likhtay hAin?
          ye shair lOg kyOn Itnay dUkhii ashaaR likhtay hAin

          kaha hUm nay k az-khUd kuch nahien likhtay ye bechaRay
          inhieN majbOor jAb karta hAi dil nachaaR likhtay hAin


          [ye suN kaR mUskuraii ghOr say dekha hUmieN, bOlii
          tO acha aap bhi Is qism k ash'aar likhtay hAin


          wO kya gham hAi jisay dOhra rahay hAin aap baRsOn say
          wO Kya dUkh hAi Mitatay hAin JiSay Har Baar Likhtay hAin

          magaR afsOs hUm samjha nahi paa'ey usay kuch bhi
          k kyOn hUm bhi isii andaaz k ash'aaR likhtay hAin

          wO kaisii aag hAi lafzOn meiN Jis ko dhaaltay hAin hUm
          wO kya gham hAi jO raatOn ko pas e dewaaR likhtay hAin

          hAi aisa kOn jO saa'Ray JahaaN say hAi hUmien pay'ara ?
          wO kaiSa dUshmaN e jAan hAi Jisay gham-khwaaR likhtay hAin

          Comment


          • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

            sar mei sauda bhi nahi dil mei tamanna bhi nahi
            lekin is tark-e-muhabbat ka bharosa bhi nahi

            yuun toh hungame uThate nahi deewana-e-ishq
            magar ay dost kuch aeson ka Thikana bhi nahi

            mudaatein guzri teri bhi aayi na hame
            aur hum bhool gaye tujhko aesa bhi nahi

            dil ki geenti hae na apno mei na beghano mein
            lekin is jalwagaah-e-naaz se uThta bhi nahi

            shikwa-e-jor kare koi kya uss shaqs se jo
            saaf qa'ail bhi nahi saaf mukarta bhi nahi

            baat ye hae ke sukuun-e-dil-e-vehshi ka makaam
            koonj-e-zinda bhi nahi vusa'at-e-sehra bhi nahi

            muunh se hum apne bura to nahi kehte ke Firaaq
            hae tera dost magar aadmi achha bhi nahi

            Comment


            • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

              maiN kahti thei suno saahir meri hasrat teri aa'nkhaiN
              wo kahta tha maiN likhta hooN teri taqdeer ye aa'nkhaiN


              maiN kahti kia teray seenay maiN ab bhi zakham jaltey haiN
              wo bola haa'N kabhi bhojal kabhi madham se jaltey haiN

              maiN kahti thei suno saahir ye saray gham mujhay day do
              wo bola phir kaho ghi aa'nkhooN k saa'ray num mujhy day do

              maiN kahti haan in aa'nkhooN maiN ho num acha nahi lagta
              kaha seenay se dukh hooN kam mjuhay achaa nahi lagta

              maiN kahti thei janoo'N aur intiha achay nahi hotey
              wo bola in k biN jazabay kabhi suchay nahi hotey

              maiN kahti thei chalo itna kaho dukh meray bantoo gaye
              bohat hayrat se taab bola tumhaiN kis baat ka dukh hai

              maiN kahti be-panah yaadaiN teri dukh dard haiN meraa
              wo bola rah chalti yaa'dooN ko keoN ghar bulatey they

              maiN kahti thei tumhari aa'nkhooN ko likhnay ki chahat thei
              wo bola ye afsaa'nay kita'booN maiN he sajtey haiN

              Comment


              • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                Tumhara mera taluk bas aik lafz ka hai
                Lughat k ant main simta hoa faqt ek lafz
                Is aik lafz maiN sachai hai zamanooN ki
                Chalo kay aj yahi lafz ikhtayar karaiN
                Tamam umer pari hai munafqat k liyay
                Is aik lafz ka daman na daghdar karaiN
                Alm shumar karaiN, drd aashkar karaiN
                Chalo kuch hisab-e-ziyaaN jaaN ker laiN

                Comment


                • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                  Meiji kay pass intikhab tu buhat hai purr lagta hai yahan loogon ko passand nahee aata jo koi response hee nahee aata:tauba

                  Comment


                  • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                    Main Jahan Tum Koo Bulata Hun Wahan Tak Aaoo
                    Mairee Nazroon Say Guzar Kar Dil o Jaan Tak Aaoo

                    Phir Yeh Daikhoo Kay Zamanay Key Hawa Hai Kaisee
                    Saath Mairay Mairee Firdous e Jawaan Tak Aaoo

                    Taigh Key Tarah Chaloo Choor Kay Aaghoosh e Niyaam
                    Teer Key Tarah Say Aaghoosh e Kaman Tak Aaoo

                    Phool Kay Gird Phiroo Bagh Main Maannid e Naseem
                    Misl e Parvana Kisee Sham e Tapaan Tak Aaoo

                    Loo Woh Sadiyoun Kay Jahanum Key Haadain Khatm Hu_iin
                    Abh Hai Firdous He Firdous Jahan Tak Aaoo

                    Choor Kar Wayhum o Gumaan Husn e Yaqeen Tak Puhnchoo
                    Pur Yaqeen Say Bhee Kabhi Wayhum o Gumaan Tak Aaoo

                    Comment


                    • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                      jis tarah ki hai.n ye diivaare.n, ye dar jaisa bhi hai
                      sar chupaanay ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai

                      usko mujh se, mujko us se nisbate.n hai.n beshumaar
                      meri chaahat ka hai mehvar ye nagar jaisa bhi hai

                      chal para huu.N shauq-e-be-parvah ko murshad maan kar
                      raasta pur_pech hai yaa pur_Khatar jaisa bhi hai

                      sab gavaara hai thakan saari dukhan saari chubhan
                      aik Khushbu k liye hai ye safar jaisa bhi hai

                      vo to hai maKhsuus ek teri muhabbat k liye
                      tera 'Anwar' baa_hunar, ya be_hunar jaisa bhi hai

                      Comment


                      • Re: Sunaa Hai Log Ussay Ankh Bhar Kay Daikhtay Hain...

                        aap kuch kuch achay shair ho chokey hai:pagal:
                        So Uss Kay Shaher Main Kuch Din Thaher Kar Daikhtay Hain

                        Sunna Hai Rabt Hai Uss Ko Kharab Haloon Say
                        So Apnay App Koo Burbaad Kar Kay Daikhtay Hain

                        Sunna Hai Dard Key Gahak Hai Chasm e Nazuk Uss Key
                        So Hum Bhee Uss Key Gali Say Guzar Kar Daikhtay Hain

                        sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shagaf
                        so ham bhii mojaze apane hunar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Date hai.n
                        ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai raat use chaa.Nd takataa rahataa hai
                        sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hai.n

                        sunaa hai hashr hai.n us kii Gazaal sii aa.Nkhe.n
                        sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai din ko use titaliyaa.N sataatii hai.n
                        sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai raat se ba.Dh kar hai.n kaakule.n us kii
                        sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai
                        so us ko surmaafarosh aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai us ke labo.n se gulaab jalate hai.n
                        so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai aa_iinaa tamasaal hai jabii.n us kaa
                        jo saadaa dil hai.n ban sa.Nvar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai jab se hamaa_il hai.n us kii gardan me.n
                        mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan me.n
                        palang zaave us kii kamar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai us ke badan ke taraash aise hai.n
                        ke phuul apanii qabaaye.N katar ke dekhate hai.n

                        vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
                        ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hai.n

                        bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
                        so rah_ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhate hai.n

                        sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
                        makiin udhar ke bhii jalve idhar ke dekhate hai.n

                        ruke to gardishe.n us kaa tavaaf karatii hai.n
                        chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hai.n

                        kise nasiib ke be-pairahan use dekhe
                        kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhate hai.n

                        kahaaniyaa.N hii.n sahii sab mubaalaGe hii sahii
                        agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhate hai.n

                        ab us ke shahar me.n Thahare.n ki kuuch kar jaaye.N
                        'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hai.n[/quote]

                        Comment


                        • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                          very good keep it up

                          Comment


                          • Re: khud se bichaR gaa'ey teRi quRbat k shauq maiN

                            Originally posted by aquari View Post
                            bauht khoob :clap:
                            what,s mean by MODERATOR:donno:

                            Comment


                            • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                              Whay,s Mean By Moderator

                              Comment


                              • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                                Originally posted by dani_sialkoti View Post
                                very good keep it up
                                Thank u n Shukar hai kisse nay response to diya:)

                                Comment

                                Working...
                                X