Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~meiji ka intikhaab~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

    Originally posted by meiji View Post
    Okay me back from the mountains n here is my shairing

    kaho wo chaand kaisa tha
    jidhaR sab kuch luta aa'ey
    jidhaR aankhaiN ganwa aa'ey
    kaha sey'laab jaisa tha
    bohut chaha k bach niklaiN
    magaR sab kuch baha aay
    kaho wo hijR kaisa thak
    abhi choo kaR usay daikha
    to tum nay kia bhala paaya
    kaha bas aag jaisa tha
    usay choo kar to apni rooh
    ye tann mann jala aa'ey
    kaho wo wisl kaisa tha
    tumhaiN jab choo lee'ya us nai
    to kia ehsaas jaaga tha
    kaha aik rastay jasa tha
    jidhaR say bas ye guzaRa tha
    makaa'n laykin bana aa'ey
    kaho wo chaand kaisa tha
    Falak say jo utaR aa'eya
    tumhaRi ankhon main basnay
    kaha wo khuwaab jaisa tha
    nahi taabeer koi us ki
    usay aik shab sula aa'ey
    kaho wo ishq kaisa tha
    bina sochay, bina samjhay
    bina paRkhay kia tum nai
    kaha titli kay rang jaisa
    bohut kacha anokha sa
    jabhi us ko bhula aa'ey
    kaho wo naam kaisa tha
    jisay sehra'oon aur
    chanchal hawaoon pay likha tum nay
    kaha bas mau'samooN jaisa
    jisay na jaanay kis ghaRi
    kisi ro main mita aa'ey

    :welcome: back..


    and back with an awesome entry..:em:
    kaha woh wisl kaisa tha....:thmbup:

    Comment


    • #92
      Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

      Originally posted by aquari View Post
      :welcome: back..


      and back with an awesome entry..:em:
      kaha woh wisl kaisa tha....:thmbup:
      Thank u for the welcome.....n yeah it was a fantastic journey some will also try to post my experience somewhere on this page:)

      Comment


      • #93
        Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

        Darya Key Hawa Taiz Thee, Kishtee Thee Purani
        Rooka Tu Buhat, Dil Nay Magar Aik Na Maani

        Main Bheegti Ankhoon Say Ussay Kaisay Hataoon
        Mushkil Hai Buhat Abar Main Dewaar Uthaani

        Nikla Tha Tujhay Dhoondhnay Ik Hijr Kaa Taara
        Phir Uss Kay Taaqub Main Gaiee, Saari Jawani

        Kehnay Koo Naiee Baat Koi Hoo Tu Sunaain
        Soo Baar Zamanay Nay Sunii Hai Yeh Kahani!

        Yeh Pull Hai Yahan Phool Kahan, Phichlay Baras Kay
        Hai Din Tu Wohi Doost, Magar Oor Hai Paani

        Kis Tarah Mujhay Hoota Guman, Tarak e Wafa Ka
        Awaz Main Tehraoo Tha, Lehjay Main Rawani

        Comment


        • #94
          Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

          sakoot-e-jaan ka matlab bata do phir chale jana
          ya phir sargoshiya'N dil ki suna do phir chale jana

          jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone maiN
          usay poori tarah se tum bhula do phir chale jana

          kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
          jo hai ehsaas tum usko bhula do phir chale jana

          bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
          jo fun aata hai tum ko wo shikha do phir chale jana

          wo jo ek lafz-e-ulfat hai juda hai apne maa'iney se
          bus in alfaz-o-maa'iney ko mita do phir chale jana

          jo kehte kehte ruk ga'ye un sari batooN ki
          sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana

          na jane kyun hai lekin dekhne ki tum ko aadat hai
          meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana

          merey in roz-O-shab ka ek faQat unwaan bas tum ho
          mujhe tum doosra unwaan laa do phir chale jana

          Comment


          • #95
            Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

            Originally posted by meiji View Post
            Thank u for the welcome.....n yeah it was a fantastic journey some will also try to post my experience somewhere on this page:)
            u r :welcome:..thats gr8
            ya sure! looking fwd for ur sharings .

            Comment


            • #96
              Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

              Originally posted by meiji View Post
              sakoot-e-jaan ka matlab bata do phir chale jana
              ya phir sargoshiya'N dil ki suna do phir chale jana

              jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone maiN
              usay poori tarah se tum bhula do phir chale jana

              kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
              jo hai ehsaas tum usko bhula do phir chale jana

              bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
              jo fun aata hai tum ko wo shikha do phir chale jana

              wo jo ek lafz-e-ulfat hai juda hai apne maa'iney se
              bus in alfaz-o-maa'iney ko mita do phir chale jana

              jo kehte kehte ruk ga'ye un sari batooN ki
              sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana

              na jane kyun hai lekin dekhne ki tum ko aadat hai
              meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana

              merey in roz-O-shab ka ek faQat unwaan bas tum ho
              mujhe tum doosra unwaan laa do phir chale jana
              awesome....:clap:
              phir chaley jana..!

              Comment


              • #97
                Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                Originally posted by meiji View Post
                Darya Key Hawa Taiz Thee, Kishtee Thee Purani
                Rooka Tu Buhat, Dil Nay Magar Aik Na Maani

                Main Bheegti Ankhoon Say Ussay Kaisay Hataoon
                Mushkil Hai Buhat Abar Main Dewaar Uthaani

                Nikla Tha Tujhay Dhoondhnay Ik Hijr Kaa Taara
                Phir Uss Kay Taaqub Main Gaiee, Saari Jawani

                Kehnay Koo Naiee Baat Koi Hoo Tu Sunaain
                Soo Baar Zamanay Nay Sunii Hai Yeh Kahani!

                Yeh Pull Hai Yahan Phool Kahan, Phichlay Baras Kay
                Hai Din Tu Wohi Doost, Magar Oor Hai Paani

                Kis Tarah Mujhay Hoota Guman, Tarak e Wafa Ka
                Awaz Main Tehraoo Tha, Lehjay Main Rawani
                Amjad ISlam Amjad..:em:
                in ki book "Zara phr sey kehna sey " sey bauht zaberdast intekhan..rose:

                Comment


                • #98
                  Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                  Originally posted by aquari View Post
                  Amjad ISlam Amjad..:em:
                  in ki book "Zara phr sey kehna sey " sey bauht zaberdast intekhan..rose:
                  Thank u for liking:)

                  Comment


                  • #99
                    Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                    Assalaam-0-Alaikom:rose

                    jab bhi aap ka intikhaab pehrti hoon... bay ikhtiyaar wow kehti hoon...............her kalam aik say barh kar aik hai.........:clap:

                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                      Originally posted by *Rida* View Post
                      Assalaam-0-Alaikom:rose

                      jab bhi aap ka intikhaab pehrti hoon... bay ikhtiyaar wow kehti hoon...............her kalam aik say barh kar aik hai.........:clap:
                      Wsalam n Thank u for liking my collection, such response always keep me continue sharing my collection and also continue to increase my collection by reading more n more:)

                      Comment


                      • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                        Abhii Tu Rutt Badalni Thee Abhee Tu Phool Khilnay Thay
                        Abhee Tu Raat Dhalnii Thee Abhee Tu Zakham Silnay Thay

                        Abhee Tu Sir Zameen e Jaan Pay Ik Badal Ko Ghirna Tha
                        Abhee Tu Visl Key Baarish Main Nangay Paoon Phirna Tha

                        Abhee Tu Kisht e Gham Main Ik Khushi Ka Khawab Boona Tha
                        Abhee Tu Sainkaroon Soochi Howi Baaton Ko Hoona Tha

                        Abhee Tu Sahiloon Pay Ik Hawaiy Shad Chalnii Thee
                        Abhee Jo Chull Rahee Hai, Yeh Kuch Din Baad Chalnii Thee!

                        Comment


                        • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                          Abhee Tu Sir Zameen e Jaan Pay Ik Badal Ko Ghirna Tha
                          Abhee Tu Visl Key Baarish Main Nangay Paoon Phirna Tha
                          :em:...zaberdast

                          Comment


                          • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                            Originally posted by aquari View Post
                            :em:...zaberdast
                            Thank u aquari:)

                            Comment


                            • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                              Originally posted by meiji View Post
                              Thank u aquari:)

                              u r :welcome:

                              Comment


                              • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                                Originally posted by aquari View Post
                                u r :welcome:
                                :)

                                Comment

                                Working...
                                X