Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~meiji ka intikhaab~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~meiji ka intikhaab~*~

    Jab dard puranay ho baithay..
    Jab `yaad ka jugnu`raakh hua
    Jab aankh main aaansoo barf huay
    Jab zakhm se dil manoos hua
    Jab tees ko chubhna bhool gia
    Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
    Phir dil ko dharhakna yaad aya!!!

    Jab karb ki lambi rahon main
    Ahsas k baal safaid huay
    Ya soch ki sarma dhoopon main
    Alaam ka mevah khushk hua
    Jab aankhain 'be sailaab'huin
    Jab neendain Aandhi ho baithin
    Jab khawabain b 'be khawab' huin
    Jab chaand charha be dardi ka
    jab tanhaii ka seena b
    Ser rakhnay ki aagosh laga
    Jab rait peh likhi yaadon ko
    Be mehr hawa ne cheen lia
    Jab hosh ki kachi dewarain
    Tasweeron se azad huin
    Jab 'yaad ruttain' be dad huin
    Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
    Phir dil ko dharakna yaad aya!!!

    Tab aankhain kuch abaad huin
    Jab mujh peh khula main zinda huun...
    Ahsas ka bachpan jaag para
    Phir jazbay be taqweem huay!!
    Phir waqt ne kuch angrhaii li..
    Phir soch ki qabar se dhool urhi
    Phir piyas ka barzakh bhool gya!
    Ik hijr se kia azad huay?
    So hijr naye ejaad huay!!
    Phir ik nazar siyyad bani
    Ik nazar ka taair said hua
    Phir ashk main darya qaid hua!!
    Phir dharkan main bhonchal paray
    Phir ishq ka jogi gallion main...
    Taqdeer kay saamp utha laya!!

    Phir hosh ka jungle sabz hua
    Phir `shoq_e_darinda` jag utha..
    Phir zulf ka tewar shaam banay
    Us shaam main phir mehtaab charha
    Phir hont ki larzish, geet bani..
    Phir sans ka naam saba thehra!!
    Phir sher,shaur ka wird hua..
    Phir zanjeerain,zawer thehrin..
    Phir taqreerain inaam huin
    Phir khoon se likhay jazbon ki
    Kuch tehreerain neelam huin!!
    Phir dard "Zulaikhaan"ban baitha..
    Phir qurb ka karb jawan hua
    Phir mujh pe khula main zinda huun!!!!

    Kuch wasl shabain `shab khaiz`huin
    Kuch hijr ki nabzain tez huin
    Jab qaid ko taza umr mili..
    Us qaidi umr k bakhton ne..
    Ik shaam_e-sahuur se pooch lia
    Mehjuur hi rehna tha...to hamain
    wo pichla hijr hi kafi tha!!
    Gar qaid hi ja` apnani thi..
    Kiun pichlay jaal ko chora tha??
    Kis ahed peh pinjra tora tha??
    Jab jaal teri qamzori thay...
    Siyyad ko kiun badnaam kia??
    Ik soch raha huun muddat se ...
    Kiun mujh pe khula main zinda huun ???
    KIun dil ko dharakna yaad aya ???


  • #2
    Re: Main Zinda Hun........!!!

    Assalaam-0-Alaikom:rose
    :welcome: here.....
    buht khobosorat alfaaz hain aur buht khobsorat poem.....


    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #3
      Re: Main Zinda Hun........!!!

      nice janab nice
      kea baat hai
      boaht hi khub surat nazab hai
      aru alfaz ka chunao to boaht hi peyara hai
      jetni bi taref ki jay boaht kab hai
      nice keep it up
      aur poetry ka wait kaoron ga

      Comment


      • #4
        Re: Main Zinda Hun........!!!

        simply superb:thmbup:

        Ik soch raha huun muddat se ...
        Kiun mujh pe khula main zinda huun ???
        KIun dil ko dharakna yaad aya ???
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: Main Zinda Hun........!!!

          nice poetry.
          keep it up.

          Comment


          • #6
            Re: Main Zinda Hun........!!!

            Originally posted by Rida View Post
            Assalaam-0-Alaikom:rose
            :welcome: here.....
            buht khobosorat alfaaz hain aur buht khobsorat poem.....

            Thank you for welcoming me and thank you for the comments on the post.................will try to contribute more...........purr as Faiz Says

            Duniyaa Nay Tairee Yaad Say Baigana Kar Diya
            Tujh Say Bhee Dilfaraib Hain Gham Roozgar Kay

            So as much time I can spare from Rozgar activities I spend in posting poems on different forums............:)

            Comment


            • #7
              Re: Main Zinda Hun........!!!

              Originally posted by phototech81 View Post
              nice janab nice
              kea baat hai
              boaht hi khub surat nazab hai
              aru alfaz ka chunao to boaht hi peyara hai
              jetni bi taref ki jay boaht kab hai
              nice keep it up
              aur poetry ka wait kaoron ga
              Thank you and I shall try to share some more poetry out of my collection:)

              Comment


              • #8
                Re: Main Zinda Hun........!!!

                Originally posted by yellowsky View Post
                simply superb:thmbup:
                Thank you for the encouragement:)

                Comment


                • #9
                  Re: Main Zinda Hun........!!!

                  Originally posted by saeeda View Post
                  nice poetry.
                  keep it up.
                  Thank you for the encouragement n I will try to keep shairing my collection:)

                  Comment


                  • #10
                    Sunaa Hai Log Ussay Ankh Bhar Kay Daikhtay Hain...

                    Sunna Hai Log Ussay Ankh Bhar Kay Daikhtay Hain
                    So Uss Kay Shaher Main Kuch Din Thaher Kar Daikhtay Hain

                    Sunna Hai Rabt Hai Uss Ko Kharab Haloon Say
                    So Apnay App Koo Burbaad Kar Kay Daikhtay Hain

                    Sunna Hai Dard Key Gahak Hai Chasm e Nazuk Uss Key
                    So Hum Bhee Uss Key Gali Say Guzar Kar Daikhtay Hain

                    sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shagaf
                    so ham bhii mojaze apane hunar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Date hai.n
                    ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai raat use chaa.Nd takataa rahataa hai
                    sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hai.n

                    sunaa hai hashr hai.n us kii Gazaal sii aa.Nkhe.n
                    sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai din ko use titaliyaa.N sataatii hai.n
                    sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai raat se ba.Dh kar hai.n kaakule.n us kii
                    sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai
                    so us ko surmaafarosh aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai us ke labo.n se gulaab jalate hai.n
                    so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai aa_iinaa tamasaal hai jabii.n us kaa
                    jo saadaa dil hai.n ban sa.Nvar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai jab se hamaa_il hai.n us kii gardan me.n
                    mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan me.n
                    palang zaave us kii kamar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai us ke badan ke taraash aise hai.n
                    ke phuul apanii qabaaye.N katar ke dekhate hai.n

                    vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
                    ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hai.n

                    bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
                    so rah_ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhate hai.n

                    sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
                    makiin udhar ke bhii jalve idhar ke dekhate hai.n

                    ruke to gardishe.n us kaa tavaaf karatii hai.n
                    chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hai.n

                    kise nasiib ke be-pairahan use dekhe
                    kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhate hai.n

                    kahaaniyaa.N hii.n sahii sab mubaalaGe hii sahii
                    agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhate hai.n

                    ab us ke shahar me.n Thahare.n ki kuuch kar jaaye.N
                    'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hai.n

                    Comment


                    • #11
                      Re: Sunaa Hai Log Ussay Ankh Bhar Kay Daikhtay Hain...

                      suna hy loog ussay ji bhr k daykhty hien......

                      khoobsoorat ghazal


                      Comment


                      • #12
                        Re: Sunaa Hai Log Ussay Ankh Bhar Kay Daikhtay Hain...

                        Originally posted by sumera View Post
                        suna hy loog ussay ji bhr k daykhty hien......

                        khoobsoorat ghazal

                        Thank you for liking:)

                        Comment


                        • #13
                          khud se bichaR gaa'ey teRi quRbat k shauq maiN

                          khush thay kuch aisay teRi rafaqat k shauq maiN
                          manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq maiN

                          nafRat hi pehaR-e-daaR mili haR makaam paR
                          jis daR pe ham gaa'ey haiN mohaabat k shauq maiN

                          ham baarga-e-ishq maiN maqbool youN hu'ey
                          khud se bichaR gaa'ey teRi quRbat k shauq maiN

                          lautay haiN ab tou saath hai ranj-o-alam ki bheeR
                          niklay thay ghar se ik musaRat k shauq maiN

                          apnay chamaN se raabta bilkul nahi raha
                          sehRa norad ho gaey daulat k shauq main

                          daamaN maiN hasRatooN k siwa kuch nahi
                          aisay lutay haiN ham teRi chahat k shauq maiN

                          Comment


                          • #14
                            Re: khud se bichaR gaa'ey teRi quRbat k shauq maiN

                            bauht khoob :clap:

                            Comment


                            • #15
                              Re: khud se bichaR gaa'ey teRi quRbat k shauq maiN

                              khud se bichaR gaa'ey teRi quRbat k shauq maiN


                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X