Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~meiji ka intikhaab~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

    Dard-e dil, Paas-e-vafa, Jazba-e-emaan Hoona
    Admiyaat Yehi Hai Aur Yehi Insaan Hoona

    Nau Giriftaar-e-bala Tarz-e-Fugaan Kiya Jaanay
    Koi Nashaad Sikha Day Inhain Naalaan Hoona...................."Sighs"

    Reh Kay Duniya Main Yun Tark-e-Havas Key Kooshish
    Jis Tarah Apnay Hee Saiay Say Gureezaan Hoona

    Zindagee Kiya Hai? Anasir Main Zahoor e Tarteeb
    Maut Kiya Hai Inhii Ajzaa Ka Preshaan Hoona

    Dil Aseeri Main Bhee Azad Hai Azadoon Ka
    Vavaloon Kay Liay Mumkin Nahee Zinda Hoona

    Gul Ko Pamaal Na Kar Lal-o-Guhar Kay Malik
    Hai Issay Turrah-e-Dastaar-e-Ghareebaan Hoona

    Hai Maira Zabt-e-Janun Joosh-e-Janun Say Barh Kar
    Nang Hai Mairay Liay Chalk Giraybaan Hoona

    Comment


    • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

      wahh bohat khoob mashAllah, Ho sakay tu Poet ka naam bi likha karain aur URDU sharing ki bi try karain :)
      mein ne last wali sharing parhi bohat umda hai .
      Keep sharing.
      Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
      Sadly, common sense is not very common..!!

      Comment


      • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

        BOHOT ACHE KEEP SHARING

        Comment


        • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

          bohat khub bohat umda janab...
          :rosetujhay bhoul janay ki koshishain
          kabhi kaamyaab na ho sakien.....
          teri yad shakh-e-gulaab hay ......
          jo hawa chali tu mehak uhti......:rose

          Comment


          • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

            VERY NICE........

            Comment


            • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

              Comment


              • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                Originally posted by GumShuda View Post
                wahh bohat khoob mashAllah, Ho sakay tu Poet ka naam bi likha karain aur URDU sharing ki bi try karain :)
                mein ne last wali sharing parhi bohat umda hai .
                Keep sharing.
                Thank u for liking my choice n poets name is Brij Narain Hmmmmm urdu shairing..........I don't know how share in urdu n if I have to type in urdu vernacular then it will take lot of time...........n time is the only thing that has become so scarce that I doubt I will be able to have enough of it:)

                Comment


                • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                  Originally posted by ANEY View Post
                  BOHOT ACHE KEEP SHARING
                  Thank u for liking my choice Aney:)

                  Comment


                  • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                    Originally posted by ANEY View Post
                    VERY NICE........
                    Thank u again:)

                    Comment


                    • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                      Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                      Thanks a lot for the nice rose for my choice:)

                      Comment


                      • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                        Originally posted by kaainaat View Post
                        bohat khub bohat umda janab...
                        Thank u kaainaat:)

                        Comment


                        • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                          nice

                          Comment


                          • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                            Originally posted by baqarkashmiri View Post
                            nice
                            Thank u:)

                            Comment


                            • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                              Dard Jub Tairee Atta Hai Tu Gilla Kis Say Kaarain
                              Hijr Jub Tu Nay Diya Hai Tu Gilla Kis Say Kaarain

                              Aks Bhikhra Hai Taira Toot Kaay Aaeenay Main
                              Ho Gaiee Num Nazar, Aks Liya Kis Say Kaarain

                              Main Safar Main Hun Mairay Saath Judaii Tairee
                              Humsafar Gham Hai Tu Phir Taira Pata Kis Say Kaarain

                              Khil Uthay Gul Ya Khilee Dhasht-e-Hina Tairee
                              Her Taraf Tu Hai Tu Phir Pata Kis Say Kaarain

                              Tairay Lub, Tairee Nigahaain, Tairay Aariz, Tairee Zulf
                              Itnay Zindaan Hain Tu Iss Dil Ko Raha Kis Say Kaarain

                              Comment


                              • Re: ~*~meiji ka intikhaab~*~

                                Ek Tooti Howi Zanjeer Key Faryaad Hain Hum
                                Aur Duniyaa Yeh Samajhtii Hai Keh Azaad Hain Hum

                                Kyun Humain Log Samjhtay Hain Yahan Pardaisee
                                Ik Mudat Say Issi Shaher Main Abaad Hain Hum

                                Kahan Ka Tark-e-Watan Kahan Key Hijrat Baba
                                Issi Dhartii Key Issi Dais Key Aulaad Hain Hum

                                Hum Bhee Tameer-e-Watan Main Hain Barabar Kay Shareek
                                Dar-o-Devaar Agar Tum Hoo Tu Bunyaad Hain Hum

                                Hum Ko Iss Dour-e-Taraqi Nay Diya Kiya Meraj
                                Kal Bhee Barbaad Thay Or Aaj Bhee Burbad Hain Hum

                                Comment

                                Working...
                                X